Memorable Lines from Amitabh Bachchan's Movies




If what appears below looks like Greek and Latin to you, its because the lines are in Hindi.


Situation: Amitabh points a gun at JK (Amrish Puri) in a hotel lobby and the gun is covered by his coat.
Amitabh: JK, Mere haath mein jo coat hai, uske neeche ek revolver hai, jiski nali tumhare taraf hai aur jisme che goliyan hain, jo itni mahangi nahin ki unhe chalane mein mujhe koi afsos ho.
JK: Tum chahte kya ho?
AB: Chup chap hotel ke bahar jo kaali gadi khadi hai, usme jaakar baith jao.
JK: Lekin tum aisa nahin kar sakte....
AB: Main sub kuch kar sakta hoon. Come on, let's go.
-Shakti

Situation: Amitabh (Vijay) buys the building where his mother worked when he was a kid. After the deal is done, he speaks with Sapru (the seller)
Sapru: Sauda to ho gaya Vijay sahab, lekin mein phir bhi yehi kahunga ki aapko sauda karna nahin aata. Aap is building ke liye ek-do lakh kam bhi dete, to bhi main bech deta.
Vijay: Sauda karna to aapko nahin aata, aap is building ke liye dus lakh bhi zyada maang lete, ti bhi main kharid leta. Ye building meri maa ke liye ek tohfa hai. -Deewar

Situation:: A gun shot is heard and all of Don's henchmen rush to his room. Seeing a man dead, and Don (Amitabh) with revolver in hand, someone asks what the matter was...
Don: Mujhe uske joote achche nahin lagte. Shoes! -Don

Situation: This is when Jeevan runs with a box of gold biscuits and Amitabh trip s him standing at a corner in Andheri, Bombay.

"Aisa to Aadmi Life mein Doich time bhaagta hai. Olympic ka race ho, yaa Police ka case ho. Tum kisliye bhaagta hai bhai?" -Amar Akbar Anthony

"Yeh koylei ki khaan ek azgar hai seth sahaab, jo roz , unginath logon ko nigalkar, usei peeskar, jissm se khoon ka ek-ek katra choosk ar, ek lash ke roop mein ugall deta hai." -Kaala Paththar

"Govardhan seth, Samundar mein tairne waale- kuon aur taalabon mein dubki nahin lagaya karte hain." -Sharabi

"Waqt ki bisaat pe kismat ne jo mohre bichaaye the, unka rukh palat gaya." -Kaalia

"Sahi baat sahi waqt pe kiya jaye to uska maza hi kuch aur hai, Aur main sahi waqt ka intezaar karta hoon." -Trishul

"You are right Mr. R.K. Gupta, yeh contract mujhi ko milegi. Aur haan, mere banaye hue colony me agar aap ko ghar chahiye, to taqalluf mat kijiyega, makaan aap ko mil jayega." -Trishul

"Jisne pachchees saal se apni Maa ko thoda thoda marte dekha ho, use maut se kya darna." -Trishul

"Jigar ka dard upar se kahin maloom hota hai (?), Jigar ka dard upar se nahin maloom hota hai." -Sharabi

"Muchchen hon to Nathulal jaise warna na hon." -Sharabi

"Govardhan seth, Samundar mein tairne waale- kuon aur taalabon mein dubki nahin lagaya karte hain." -Sharabi

"Sapne bhi samundar ki lahron ki tarah, haqeeqat ki chattanon se takra kar toot jaate hain." -Deewar

"Hum jaha pe khade ho jaate hein, line wahi se shuru hoti hai." -Kaaliya

"Rishte me to hum tumhare baap hote hain, naam hai Shahenshah." -Shahenshah

"Bachpan se hai sar par Allah ka haath, aur Allahrakha hai mere saath; Baazu par hai saathsochiyaasi ka billa, bees number ka beedi peetha hu, kaam karta hu coolie ka aur naam hai Iqbal." -Coolie

"Aaap ne jail ki deewaron aur zanjeeron ka loha dekha hai jailer sahab, Kaaliya ki himmat ka faulaad nahi dekha." -Kaaliya

"Don ko pakadna mushkil hi nahin, naamumkin hai." -Don

"Agar apni maa ka doodh piya hai to saamne aa." -Laawaris

"Tumhara naam kya hai, Basanti?" -Sholay

"Daaru peene se liver kharab ho jaatha hai." -Satte pe Satta

"Eh Caancha, saala bandook bhi dikhata hai aur peeche bhi hattha hai?" -Agneepath

"Aur aap, Mr. R.K. Gupta, aap mere najayaz baap hai? Meri maa ko aap se chahe zillat aur beizzati ke siva kuch na mila ho, lekin main apni maa, usi Shanti ki taraf se aap ki saari daulat vapas lauta raha hoon. Aaj aap ke paas aap ki saari daulat sahi, sab kuch sahi, lekin main aap se jaada garib aaj tak nahin dekha. Good bye, Mr. R.K. Gupta." -Trishul

"Lekin woh aayee kyon nahin?" -Naseeb

"Woh aayegee." -Sharaabi

"Mukhtaar Singh ka naam suna hai?" - Kaalia/Shahenshah

"Mai aur meri tanhaai - aksar ye baatein karte hai...." -Silsila

"Mai jo bhi hoon, is wakt tumhare maalik ka maalik hoon bete." -Shakti

"Pain is my destiny and I can't avoid it." -Kaala Patthar

"Mai feke hue paise ko nahi uthatha." -Deewar

"Jo mard hota hai, use dard nahi hota." -Mard

"Ye telephone bhi ajeeb cheez hai- aadmi sochta kuch hai, boltha kuch hai, aur karta kuch hai." -Agneepath

"Zindagi ka tambu teen bambuo pe khada hai." -Sharaabi