![]() ![]() ![]() ![]() |
ULJHANNE
ISHQ KE IMTEHAAN
sitaroon
se aage jahaan aur bhe hain
abhi ishq ke imtehaan aur bhe hain
Tahi(only yours) zindagi se nahi yeh fizaae
yaha saikdoon kaarvaan aur bhe hain
agar kho gaya ek nasheman to kya gham
makaamat-e-aah-o-fagaan aur bhe hain
tu shaheen hai parwaaz hai kaam tera
tere saamne aasmaan aur bhe hain
isi roz-o-shab mein ulhaj kar na reh jaa
ke tere zamaano-o-makaan aur bhe hain
gaye din ki tanha tha mein anjuman mein
yaha ab mere razdaan aur bhe hain
nasha pila ke giraana to sab ko aata hai
maza to jab hai ke girto ko tham le saaqi
kahi khaali pyaale hai kahi saaghar labaalab hai
yeh kya daur hai saaqi, yeh kya taqseem hai saaqi