" Murder aur Suicide? "

Postmortem karte hain murder ke baad, kaaran jan ne ke liye kya hua, kaise hua tha,
chhati chir ke jab dekha usme, pata chala dil hi nahi tha!
investigate kiya dil ka jab, pata chala kisiko de diya,
kisko diya pata chala, dil mehbooba ko diya!
lekin, Question ye hua ki, dil dene se bhala koi marta hain?
Answer ye tha ki dil dene se to pyar badhta hain!
fir confusion ye thi ki, to ye mara kaise?
bulaya mehbooba ko investigate karne office me again!
mehbooba boli, ha!, fight hue thi us din again!
dekha tha mujhe kisi aur ke saath,
yakin nahi aata tha use jab, main baithi thi kisi aur ke paas!
yakin tha use is baat ka, pyar karta tha woh mujse itna,
ki soch bhi nahi sakta tha, gir jaungi mai itna!
karta tha itna mujse woh pyar aur wafa,
ki bol bhi nahi saka ki, sanam!, hai tu bewafa!
mazak me kehta tha kabhi woh, banunga main poet, bechunga main kitaab,
mangna mujse tum, money check aur pal pal ka hisab!

socha hoga us bechara ne,
kya din the, jab chhup chhup ke mila karte the hum,
kuch baaten hoti thi ghanto tak, dekha karte the ek dusre ki ankho me hum!
kho jaate the us duniya main, jaha khushi hi khushi thi,
dono ki saanse bas waha ruki thi!
aata tha mai cycle pe, aur tum kinetik pe,
jab na tha ghar pe koi, bulaati thi mujhe chai pe!
aata tha der se kabhi milne ko, muh fer deti thi yu,
manata tha tumko pyar se, fir bolti thi tum I Love you!

kya kami thi mere paas, kyu gai us ladke ke paas?
maana ki mere paas gaadi nahi thi, bangla nahi tha,
bas dene ko kuch tha is garib ke paas, to sirf pyaar tha!
Pyar ke saaye yu guzar jayegi zindagi,
aarzu yahi thi, karta tha khuda se roz bandagi!

kasme khai thi, waada kiya tha saath jine ka, saath marne ka,
ye sab jaan ke ab kya hain faayda jine ka!
socha na tha tu kabhi bewafai bhi kar sakti thi,
meri wafa pe yu paani fer sakti thi!

ab shaq kare to bhi kispe kare, investigate kaha se shuru kare,
mara use kisne, question ab ye tha, kya kare hum?
ye mehbooba thi ya tha uska gum?
confusion ye hain ab ki faisla kaise kare hum?
woh jyada wafa tha ya mehbooba ki bewafai?
ya, woh sah nahi saka uski judaai!
marte marte pucha hoga us bechare ne rab ko, ya allah!

kya yahi hain teri khudai?

                                                                              


  Shayari of the Week
Shayari Page Back to main