Ek samay tha ki fizaaon mein sangeet ghula tha
hawaayein ghanere paidon mein chhup ke apni raaginiyaan sunaati thi
phool jhunte the, pattiyaan sarsaraati thi
nadiyaan, jharne, panchhi, sabhi to gungunaa rahe the
Ab jab tum nahin ho to apni aawaaz bhi sunaayee nahin deti...

Tu nahin to jaise mere hothon se geet hi kho gaye saare
tu nahin to mere liye mere sur ajnabee ho gaye saare

Sumle tu meri khaamoshiyon ki sadaa...
ab aa bhi jaa...
Sunle to woh bhi maine nahin jo kahaa...

Kaise main kahoon...
hairaan si hoon...
kaisi ajab si baat hai
lekin tere bin...
hote nahin din...
bas ek lambi raat hai.......
sunsaan raahein....sahmi hui hai fizaa...
ab aa bhi jaa....

Tu nahin to jaise mere hothon se geet hi kho gaye saare
tu nahin to mere liye mere sur ajnabee ho gaye saare

Waise to yahaaa...
ho ke meherbaan...
milne ko aaye log hain....
tu hai par kahaan...
mere humzabaan
yeh to paraaye log hain......
Mera nahin hai... koi bhi tere siwa...
ab aa bhi jaa....

Tu nahin to jaise mere hothon se geet hi kho gaye saare
tu nahin to mere liye mere sur ajnabee ho gaye saare

Sumle tu meri khaamoshiyon ki sadaa...
ab aa bhi jaa...
Sunle to woh bhi maine nahin jo kahaa...
ab aa bhi jaa...

Tu nahin to jaise mere hothon se geet hi kho gaye saare
tu nahin to mere liye mere sur ajnabee ho gaye saare

Tu nahin to jaise mere hothon se geet hi kho gaye saare
tu nahin to mere liye mere sur ajnabee ho gaye saare

Tu nahin to jaise mere hothon se geet hi kho gaye saare
tu nahin to mere liye mere sur ajnabee ho gaye saare

Other Songs
Lyrics main page... Sare sapney kahin kho gaye... Zara zara si baatein... Sagar se bhi gehri hain... Jab geet hawaaon ne gaye... Gunj raha hai dil mein... Pyaar mein humnein... Saanwli si ik ladki...

What's more
Shaayari Home Serious Shaayari Humorous Shaayari Hindi Shaayari In English Own Composed Shaayari Quotations