Peele patton ka mausam jaa chuka hai...
zameen par har taraf rang hi rang hain...
shokh, dilkash aur ujale aasmaan mein sawaid baadalon ki tukdiyaan tair rahin hain
Waadiyon mein hare ghaas ke kaaleen bichh gaye hain
Yehi sab kuch tha jab tum mile the...
Wahi sab kuch hai, lekin tum nahin ho...


Jab geet hawaaon ne gaaye, tum yaad aaye
jab khushbu ke baadal chhaaye, tum yaad aaye
jab subho ne rang chhalkaaye, tum yaad aaye
jab mehke shaamon ke saaye, tum yaad aaye

tum yaad aaye...

Jab geet hawaaon ne gaaye, tum yaad aaye
jab khushbu ke baadal chhaaye, tum yaad aaye

Jab koi sunhara din aaya
jab mausam jhuma lehraaya
jab rut ne li ik angdaayi
jab dhoop mein narmi si aayi
jab rang naye kaliyon ko mile
jab daali daali phool khile
jab raat mein bhanwre mandalaaye
tum yaad aaye

Jab geet hawaaon ne gaaye, tum yaad aaye

Jab koi suhaani raat aayi
jab sapnon ki baarat aayi
jab ambar mein taare damke
jab aangan mein jugnoo chamke
jab hui ghaneri khaamoshi
jab chhaayee halki behoshi
jab raat ne tanmann pighlaaye
tum yaad aaye

Jab geet hawaaon ne gaaye, tum yaad aaye

tum yaad aaye...
tum yaad aaye...
tum yaad aaye...
tum yaad aaye...
tum yaad aaye...



Other Songs
Lyrics main page... Sare sapney kahin kho gaye... Zara zara si baatein... Sagar se bhi gehri hain... Tu nahin to jaise mere... Gunj raha hai dil mein... Pyaar mein humnein... Saanwli si ik ladki...



What's more
Shaayari Home Serious Shaayari Humorous Shaayari Hindi Shaayari In English Own Composed Shaayari Quotations