Artist: Nusrat Fateh Ali Khan
Album: Benaqab (vol. 87)
Genre: Geets & Ghazals
Year: 2000
Comments: After hearing Nusrat's songs over and over, i found out there was more! Another album that i had not heard of, so totally new for me; the relaxing music plus his voice with now new lyrics. Aah! Just awesome. I say do listen to it if you can.

Tracks:
1. Phir Sawan Rut Ki Pawan ChaliHere
2. Aainon Main Yeh Jitne Chehre Here
3. Hijab Ko Benaqab Hona Tha Here
4. Din Mein Kabhi Socha Karte Here
5. Kabhi Dil Se Na Tera Dard Here
6. Raaten Shor Machati Hain Here
7. Jab Raat Dhali Aadhi Here
8. Jab Kisi Jaam Ko Here
9. Hisaab Umar Ka Itna Here
10. Goriya Chali Pee Ke Des Here


Title: Phir Sawan Rut Ki Pawan Chali
Poet/Lyrics: Qateel Shifai
Length: 5:06

phir sawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye
phir patton ki pazaid baji tum yaad aaye tum yaad aaye
phir sawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye...

phir kaga bola ghar ke soonay aangan mein
phir amrat ras ki boond pari tum yaad aaye tum yaad aaye
phir sawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye...

pehle to mein cheekh ke roya aur phir hasne laga
badal garja bijli chamki tum yaad aaye tum yaad aaye
phir sawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye...

phir sawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye
phir patton ki pazaid baji tum yaad aaye tum yaad aaye
phir sawan rut ki pawan chali tum yaad aaye tum yaad aaye...

Back To Top


Title: Aainon Mein Yeh Jitne Chehre
Poet/Lyrics: Allama Iqbal
Length: 6:42

aaino mei yeh jitne chehre hein
aaino mei yeh jitne chehre hein
aks tere hein, aks mere hein
aks tere hein, aks mere hein
aaino mei yeh jitne chehre hein
aaino mei yeh jitne chehre hein

itne pathar agar baham ho jaa'ein, rafat-e koh-e-aasman lagay
itne zarray hoon jama kaheen, wosat-e-dasht benishaan lagay
itne taray agar chamaktay hoon, zarf-e-khurshid becharagh lagay
itne gunchay agar mehekte hoon, mosam-e-zard besuragh lagay

neel se taaba-kash gh'er dekho aik he roshni ke ghere hein
aaino mei yeh jitne chehre hein
aks tere hein, aks mere hein
aks tere hein, aks mere hein
aaino mei yeh jitne chehre hein
aaino mei yeh jitne chehre hein

sub musafir hein aik raste ke, aik manzil pe sub ko jana hai
apni apni hadon mein rehte hoay, ik naya daira banana hai
roshni jo hira se photi thi, us mei rehna hai jagmagana hai
majd se uthne wali khushbo ka, phir se ub muntazir zamana hai

tara tara bikharte jain gay jitne sa'ay hein jo andehre hein
aaino mei yeh jitne chehre hein
aks tere hein, aks mere hein
aks tere hein, aks mere hein
aaino mei yeh jitne chehre hein
aaino mei yeh jitne chehre hein

Back To Top


Title: Hijab Ko Benaqab Hona Tha
Poet/Lyrics: Javed Akhtar
Length: 7:07

hijab ko benaqab hona tha
haan mujhee ko kharab hona tha
hijab ko benaqab hona tha, hijaab ko...

kheli bachpan mein aankh macholi bohot (bachpan = childhood; aankh macholi = hide and go seek)
aaya shabaab to hisaab hona tha (shabaab = juvenility)
hijab ko benaqab hona tha, hijaab ko...

saath rehte hein raat din ki tarah
tum ho mahtaab mujhe aftaab hona tha (mahtaab = moonlight, aaftab = sun)
hijab ko benaqab hona tha, hijaab ko...

meri aankhon ka kuch qusoor nahi (qusoor = fault)
husn ko lajawaab hona tha (lajawaab = matchless)
hijab ko benaqab hona tha, hijaab ko...

tha muqaddar mein hamara milna (muqaddar = fate, destiny)
magar na hum ne kahan kaamyaab hona tha
hijab ko benaqab hona tha, hijaab ko...

hijab ko benaqab hona tha
haan mujhee ko kharab hona tha
hijab ko benaqab hona tha, hijaab ko...

Back To Top


Title: Din Mein Kab Socha Karte
Poet/Lyrics: Ayub Khawar (hmm couldn't find a link on him e-mail me if you know)
Length: 7:44

din mein kab socha karte thay so'en gay hum raat kahan
ub aise aawara ghoomein apne wo halaat kahan

kab thay taiz-rawi per nadaan ub manzil per tanha hein
soch rahe hein in hathon se choota tha wo haath kahan

kia tum ne unko dekha hai kia unse baatein kii hein
tum ko kia samjha'en yaaro khayi hum ne maat kahan

barso baad mile hum unse dono thay sharminda se
dono ne chahaa bhi laikin phir aati wo baat kahan

din mein kab socha karte thay so'en gay hum raat kahan
ub aise aawara ghoomein apne wo halaat kahan

Back To Top


Title: Kabhi Dil Se Na Tera Dard
Poet/Lyrics: Purnam Allahbadi (hmm couldn't find a link on him e-mail me if you know)
Length: 6:16

kabhi dil se na tera dard nikle, nikalti hai to aah-e-sard nikle
kabhi dil se na tera dard nikle, nikalti hai to aah-e-sard nikle
kabhi dil se na tera dard nikle...

bari ummed thi tum se karam ki, magar tum bhi baray be-dard nikle
nikalti hai to aah-e-sard nikle
kabhi dil se na tera dard nikle...

khizaan ka khouf tha jin ke dilon mein, unhi pholon ke chehre zard nikle
nikalti hai to aah-e-sard nikle
kabhi dil se na tera dard nikle...

keeya barbaad armanon ne dil ko, mere dushman to ghar ke fard nikle
nikalti hai to aah-e-sard nikle
kabhi dil se na tera dard nikle...

kabhi dil se na tera dard nikle, nikalti hai to aah-e-sard nikle
kabhi dil se na tera dard nikle, nikalti hai to aah-e-sard nikle
kabhi dil se na tera dard nikle...

Back To Top


Title: Raaten Shor Machati Hain
Poet/Lyrics: Chukoo Lehri (hmm couldn't find a link on him e-mail me if you know)
Length: 7:31

raatein, raatein, raatein shor machati hain jane kise bhulati hain
raatein, raatein, raatein shor machati hain jane kise bhulati hain
raatein, raatein, raatein...

hmm... (Background Vocals)

kya koi rasta bhol gaya
kya koi rasta bhol gaya

aaa (Background Vocals)

kya koi rasta bhol gaya, kya koi rasta bhol gaya galiyen khaak urati hein
raatein, raatein, raatein shor machati hain jane kise bhulati hain
raatein...

aaa (Background Vocals)

aap he aap andheroon mein
aap he aap andheroon mein

aaa (Background Vocals)

aap he aap andheroon mein, aap he aap andheroon mein tasveerin bun jati hein
raatein, raatein, raatein shor machati hain jane kise bhulati hain
raatein...

aaa (Background Vocals)

mitti ki sab tehreerein
mitti ki sab tehrirein

aaa (Background Vocals)

mitti ki sab tehri-rein, mitti ki sab tehri-rein mitti mein mil jati hein
raatein, raatein, raatein shor machati hain jane kise bhulati hain
raatein...

aaa (Background Vocals)

sada samander aankhon mein
sada samander aankhon mein

aaa (Background Vocals)

sada samandar aankhon mein, sada samandar aankhon mein yaadein pyaas barhati hein
raatein, raatein, raatein shor machati hain jane kise bhulati hain
raatein, raatein, raatein...

Back To Top


Title: Jab Rat Dhali Aadhi
Poet/Lyrics: Anwar Farukhabadi (hmm couldn't find a link on him e-mail me if you know)
Length: 8:32

jab raat dhali aadhi maikhane ko hosh aaya
angrai li botal ne paimane ko hosh aaya

jab raat dhali aadhi maikhane ko hosh aaya
angrai li botal ne paimane ko hosh aaya

jab raat dhali aadhi maikhane ko hosh aaya
angrai li botal ne paimane ko hosh aaya

vocables

utha jo naqaab unka deewane ko hosh aaya
jab shamma howi roshan parwane ko hosh aaya
jab raat dhali aadhi maikhane ko hosh aaya...

phir dard utha dil mein phir yaad teri aayi
phir teri mohabbat ke afsanay ko hosh aaya
jab raat dhali aadhi maikhane ko hosh aaya...

vocables

in mast nigahon ne girtay ko sambhala hai
sagar ke saharay se mastanay ko hosh aaya
jab raat dhali aadhi maikhane ko hosh aaya...

wo daikho fana daikho jaam aa ga'ay gardish mein
wo mast nazar uthi maikhane ko hosh aaya
jab raat dhali aadhi maikhane ko hosh aaya...

jab raat dhali aadhi maikhane ko hosh aaya
angrai li botal ne paimane ko hosh aaya
jab raat dhali aadhi maikhane ko hosh aaya...

Aaa Aaa Aa aaA aaaA (Sufi Chants)

Back To Top


Title: Jab Kisi Jam Ko
Poet/Lyrics: Qateel Shafai
Length: 8:13

jab kisi jaam ko hoton se lagaya mein ne
raqs karta hoa dekha tera saya mein ne

mujh se mut poch mere mohtasib-e-shehar se poch
kiyoon teri aankh ko paimana banaya mein ne

loag kehte hein qasida woh tere husn ka tha
aam sa geet jo mehfil mei sunaya mein ne

maikada bund tha laikin joon he garja badal
apni tauba ko chatakh'ta hoa paya mein ne

shair-o-naghmat ka rishta kabhi tota na qateel
jab ghazal bun ke woh aaya usay paya mein ne

jab kisi jaam ko hoton se lagaya mein ne
raqs karta hoa dekha tera saya mein ne

Back To Top


Title: Hisaab Umar Ka Itna Sa Goshwara
Poet/Lyrics: Amjad Islam Amjad (link might not work in a few months) Link: Poetry, More
Length: 5:48

hisaab-e-umer ka itna sa goshwara hey
hisaab-e-umer ka itna sa goshwara hey
tumhaien nikal ke deekha to sub khasara hey
hisaab-e-umer ka itna sa goshwara hey

woh kiya wisal ka lamha tha jis kay nashay main
woh kiya wisal ka lamha tha jis kay nashay main
tamam umer ke furqat humaien gawara hey
hisaab-e-umer ka itna sa goshwara hey
tumhaien nikal ke deekha to sub khasara hey
hisaab-e-umer ka itna sa goshwara hey

ajab asool hain is karobar-e-duniya kay
ajab asool hain is karobar-e-duniya kay
kise ka qarz kise aur ney utara hey
kise ka qarz kise aur ney utara hey

yeh do kanaray to dariya kay ho gaye hum tum
yeh do kanaray to dariya kay ho gaye hum tum
magar woh koun hey jo teesra kanara hey
hisaab-e-umer ka itna sa goshwara hey
tumhaien nikal ke deekha to sub khasara hey
hisaab-e-umer ka itna sa goshwara hey

Back To Top


Title: Goriya Chali Pee Ke Des
Poet/Lyrics: Khawaja Parvez (hmm couldn't find a link on him e-mail me if you know)
Length: 7:36

goriya chali pee ke des re
goriya chali pee ke des re

poray sapnay hoay ghair apne hoay

barsay naina tarsay naina kisay milan ko dhonday sajan ko
goriya chali pee ke des re
goriya chali pee ke des re

poray sapnay hoay ghair apne hoay

barsay naina tarsay naina kisay milan ko dhonday sajan ko
goriya chali pee ke des re
goriya chali pee ke des re

raatein katay na din pyare sajan bin ho gayi re mein mawari

raatein katay na din pyare sajan bin ho gayi re mein maavri
pee ke nagar ka rasta bata do mohay de do joganya ka bhais

barsay naina tarsay naina kisay milan ko dhonday sajan ko
goriya chali pee ke des re
goriya chali pee ke des re

janay lagi re yeh kaise aganya, haye jalay re mora mun,urh gayi re nindya mori

janay lagi re yeh kaise aganya, haye jalay re mora mun, urh gayi re nindya mori
door kaheen baajay shehnai aise laagay jiya parkhay

barsay naina tarsay naina kisay milan ko dhonday sajan ko
goriya chali pee ke des re
goriya chali pee ke des re

howi re gum sum bolay na chun chun
bhooli payalya ko dhun
na he chamke bindiya mori

howi re gum sum, bolay na chun chun, bhooli payalya ko dhun, na he chamke bindiya mori
bolay na kangna babul ke angna more behno ko bhaya bhi de

barsay naina tarsay naina kisay milan ko dhonday sajan ko
goriya chali pee ke des re
goriya chali pee ke des re

poray sapnay hoay ghair apne hoay

barsay naina tarsay naina kisay milan ko dhonday sajan ko
goriya chali pee ke des re
goriya chali pee ke des re

Aaaa aaa (Sufi Chants)

Back To Top


back to nfak page: Click Here

pardon the errors
Feel free to E-Mail Me for anything
roOq Karachiite :)