Artist: Sabri Brothers
Album: Qawwali Masterworks
Title: Poshida Poshida (Discreetly, Discreetly)
Genre: Qawwali
Length: 28:51
Comments: hmm not corrected, so if you find mistakes lemme know.

Poshida Poshida
(Discreetly...)

do din bhi agar meri si halat ho jaye
maalom shab e gham ki haqiqat ho jaye
bejurm o khata mujh ko mitanay walay
Allah karay tujh ko mohabbat ho jaye

ub sabr karo nala e paiham na karo
jab mein he nahi hoon to mera gham na karo
yeh apni ruswai hai apne haaton
lillah meri laash pe maatam na karo

wo un ko mera marg e nagahan nadeeda nadeeda
sub ke hoonton pe tabassum tha mere qatl ke baad
jaanay kya sooch ke rota raha qaatil tanha
wo un ko mera marg e nagahan, nadeeda nadeeda

aur jigar mein chain laikin gufutu sanjeeda sanjeeda
ajab masti bhari aankhein magar tarseeda tarseeda
sar e baali tabassum lab pe dil ranjeeda ranjeeda
manaya ja raha hai mera gham posheeda posheeda

tamasha dekhiye meri rahd se sir nahi uth'ta
mujhe khud he mita baithe hein aur khud he pasehmaan hein
manaya ja raha hai mera gham posheeda posheeda

yeh kab se aa gayeen tabdeeliyan khayalon mein
huzoor kab se ghareebo ke khairkhuwah howay
manaya ja raha hai mera gham posheeda posheeda

dam e akheer qayamat yeh dha raha hai koi
ke mout aanay ko hai aur ja raha hai koi
mere khuda mujhe thori si zindagi de de
udaas mere janazay se ja raha hay koi, dekho
manaya ja raha hai mera gham posheeda posheeda

sabr o qaraar cheena, surat dikha ke tu ne
barbad ker dia dil, dil mein sama ke tu ne
basti ujaar dali, basti basa ke tu ne
aray apna bhi dil dukhaya, mujh ko mita ke tu ne
ub manaya ja raha hai mera gham posheeda posheeda

bohot badnaam hoga hashr mein tu naam ke badle
unhein shohrat se kya matlab jo hein Allah ke bande
yeh niyyat chor meri bandagi dekhein jahan walay
mazaa jab hai ke dunya per na ho zahir tere sajde
khuda ki tu ibadat ker magar poshida poshida

sajdo ka sail jannat maange
Allah se yeh ujrat maange
karta hai ibadat ka souda
zahid na hoa mazdoor hoa
bus! khuda ki tu ibadat ker magar poshida poshida

kya ibadat hai teri jab ke tu yaksu he na tha
rabb to moujood tha ay shaikh wahaan tu he na tha
dil hai bhatka hoa bekaif nazar aata hai
tu ibadat mein bhi dunya ki khabar rakhta hai

aik din majnu ka aisa haal tha
yaad e laila mein sarapa choor tha
khaak e sehra chanta phirta tha wo
wahaane laila her ghari karta tha wo

hoshiyari dekheiye deewane ki
sair karne chal dia veeranaey ki
aadmi aik parh raha tha wahan namaaz
dil mein kuch rakhta na tha sooz o guzaar
ker raha tha wo namaz e haq adaa
majnu us ke samnay ho ker chala
khatam ker ke phir namaaz us ne kaha
tujh ko doon is fail ki mein kya saza
aa gaya meri ibadat mein khalal
samnay se tu gaya mere nikal
bola majnu ke mein ne laila ki qasam dekha nahi

bola majnu ke mein ne laila ki qasam dekha nahi
warna samnay sajde ke mein aata nahi
bola majnu ishq e laila mein sarapa choor tha
aur dekhne se mein tujhe majboor tha
per tu khuda ke samnay kaisa juhka
apni aankhon se raha tu dekhta
mujh ko to hai ishq fani zaat hai
tujh ko to hai ishq hai maula zaat tha
kia isi ko kehte hein sooz o gudaas
kia isi ko kehte hein sooz o gudaas
ja namaazi dekh li teri namaaz
bus! khuda ki tu ibadat ker magar poshida poshida

kia isi ko kehte hein sooz o gudaas
ja namaazi dekh li teri namaaz
khuda ki tu ibadat ker magar poshida poshida

le ke tasbeeh aur musallah aik aabid chal diya
dhoondne Allah ko sehra mein wo rehne laga
aik hiran bhi saath mein us ke wahaan rehne laga
aur usi sehra mein wo bhi dorne phirne laga

aik din zahid ne pocha yaar ye kya baat hai
arsa e muddat se tera aur mera saath hai
tujh ko bethe dekhta hoon aur na sotay dekhta
ja baja phirta hai tu aur ya ke rehta hai khara

sun ke bola yeh hiran! ta'ajub ki kya baat hai
aashiqo ke wastay kya din hai aur kya raat hai
mere andar mushk hai mein is liyeh rehta hoon mast
tere ander ishq hai tu is liyeh rehta hai mast

mushk ki khushboo se hardam doorta phirta hoon mein
apni aankhon se khuda ko dekhta rehta hoon mein
us se milne ka tareeqa aa tu mujh se seekh le
ishq mein hasti mita de phir tu Allah dekh le

khuda ke waste zahid na ker numa'ishi sajde
khuda ki tu ibadat ker magar poshida poshida

jahan tak ho sakay mazloom ko ronay nahi dete
aur kisi nadaar ko bhooka kabhi sonay nahi dete
baqar e pardaposhi khalk per khone nahi dete
khabar is haath ki is haath ko honay nahi dete
sakhi khairat karte hein magar poshida poshida

tumhare samnay betha hoa hoon sakht mushkil mein
musafir jaisay aa jata hai wehshat na to manzil mein
bayaan karte hoay darta hoon jo kuch hai mere dil mein
buri kuch aur to baatein nahi hein teri mehfil mein
magar yeh chupke chupke guftugu poshida poshida

aur kisi ghar ki tarah takna kabhi phir mur ke ghabrana
kaheen per chandni ko dekh ker saaye mein chupp jana
qamar aik he na kya laakhon sitaro ne na pehchana
ajab andaaz se waday pe unka raat ko aana
dabay paaon nazar behki howi poshida poshida

manaya ja raha hai mera gham poshida poshida...


back to nfak page: Click Here

pardon the errors
Feel free to E-Mail Me for anything
roOq Karachiite :)