Artist: Sabri Brothers
Album: Legends - Sabri Brothers (Ghulman Farid Sabri & Maqbool Ahmed Sabri)
Title: Savere Savere
Genre: Qawwali
Year: 1988
Length: 8:01
Comments: Maqbool Sabri mentions a story about when he was performing this qawwali at 'savere savere' time in Ajmeri Darbar, some mysterious happenings occured. ;p

Savere Savere
(Early Morning)

aaa anmol heera paya ajmer ki gali mein
aaa anmol heera paya ajmer ki gali mein
aaa tareek dil mein khwaja ki roshni tumhe ne

andhere mein dil ke chiragh-e-mohabbat yeh kiss ne jalaya savere savere
tasawwur ke suraj ki aik aik kiran se naya noor paya savere savere
lagan jis ke dedar ki lag rahi thi qareeb aur aaya savere savere

aaa

kisi gham ke nale jo khuwaja piya ko tarap ker bulaya savere savere
khazana mohammad ka haathon mein le ker waheen un ko paaya savere savere
khazana mohammad ka haathon mein le ker waheen un ko paaya savere savere

ghalat hein ke bazar-e-ishq-o-mohabbat kabhi aashiqo ke samajh mein na aaya
khara maal hai to khare daam de ga aata-e-mohammad hai zehra ka jaya
ghareebo ke data hein mash'hoor khwaja koi hind mein un ka sani na paya

aaa

aqidat ki mandi ka basra diye hein isha parh ke gar haajti mein lagaya
ibadat ka sauda andhere andhere munafa kamaya savere savere
ibadat ka sauda andhere andhere munafa kamaya savere savere

muqaddas yoon samjhi kayi momino ne saher ki tiaa'at saher ki ibadat
farishte azaan-e-saher sun ke taqseem karte hein bando ko qudrat ki naimat
namaz-e-sehr mein namazi ke sir pe barasti hai masjid mein allah ki rehmat

aaa

tere roza-e-paak ki mere khwaja ziarat yoon karte hein sub keh ke sunnat
khuda ne mohammad ko mairaj ki shar falak per bulaya savere savere
khuda ne mohammad ko mairaj ki sharr falak per bulaya savere savere

tasawwur se chehre ke khuwaja piya ke ujalon se ho ker ke bharpoor chamka
azan-e-seher jab howi sara ajmer nazdeek kya door se door chamka
khare the jo rozay mei behr-e-ziarat nigahon mein unki naya toor chamka

aaa

khuda ki kasam yeh haqiqat hai sehrai ke be-noor aankhon mein bhi noor chamka
tere dhoul e gumbad ko suraj ki kirno ne jab jagmagaya savere savere
tere dhol e gumbad ko suraj ki kirno ne jab jagmagaya savere savere

aaa

tere doul e gumbad ko suraj ki kirno jab jagmagaya savere savere
tere dhoul e gumbad ko suraj ki kirno jab jagmagaya savere savere

aaa

...Allah! (<-- Sabri ™)


back to nfak page: Click Here

pardon the errors
Feel free to E-Mail Me for anything
roOq Karachiite :)