In the name of Allah who is most gracious and most merciful



 





 
 
  Set As Homepage | Add To Favrourite  
Home ::mastifestival.net.ms
Home
Downloads
Software

Pakistan

Guestbook

Astrology

 E-Cards

Sms

Game

Lovecal

TeleDir

                

                                                              Poetry Collection
 

KHAMOSH ZAKHM


    koi khamosh zakhm lagti hay

    zindagi aik nazm lagti hay

    bazme yaaran mein rehta hoon tanha

    aur tanhai bazm lagti hay

    hum se chaahe kahin ki baat karo

    hoti tum per hi khatm lagti hay

    apne saaye pe paaoon rakhta hoon

    chhaaon chhaalon ko narm lagti hay

    chaand ki nabz dekhta hoon mein

    raat ki saans garm lagti hay

    ye riwayat ke dard mehke rahein

    dil ki derina rasm lagti hay
     

WHO BHI PHOLOON MEIN THI
MAIN BHI PHOLOON MAIN THA
BAS FARAK SIRIF ITNA THA YAROO
WHO DOLI MAIN THI MAIN JANAZEY MAIN THA
 
Leher Ati Hai Kinaare Se Palat Jati Hai,
   yaad Ati Hai Aur Dil Main Simat Jati Hai,
   Leher Aur Yaad Main Farq Sirf Itna Hai Kay,
   Leher Bay Waqt Aur Yaad Har Waqt Ati Hai
Kaise Karoon Aetbaar Un Ka,
   Jo kar Saktay Dilshaad Nahi ,
   Woh Kya Nibhaye Ga Wada,
   Jinhien Ek Bhi Wada Yaad Nahi.

Hir Baat


 
 "Hir baat ka mutlab inkar nahi hota Hir Jhaga pir bathna intazar nahi hota Yoooin to miltin hain hazaroon se nazrian Hir nazar ka milna piyar nahi hota Dird-e-dil dakho kitna gham jhaly hai Marry masoom dil ma zakhmoon ka maly hain Mahfil ki Kwahish thi mujh ko yarroo Dakho zandagi ma hum ajj kitny Akaly hain Neend Ati to khwab aty Khwab aty tuto m ati Pir tari Judai ma ay dost Na neend ai or na khwab ay As dunia ma dost kam milain gain As dunia ma gham hi gham mily gain Jahan dunia nazar phry gi As moor pir dost hum milain gain Kiya jany kab moot a jay Na jany kab zandagi ki sham a jay Ay dost mujhy us din ka intazar ha Jis din meri zandagi tery kam a jay
 

ADAT SE HU GYE HAI


    JAB SE DIL LAGYA HAI TUM SE

    SAB KUCH SEHNY KI ADAT SI HU GYE HAI

    INTAZAAR KERTY HAI HUM APP KA DEER TAK

    OR APP KU NA ANY KI ADAT SE HU GYE HAI

    BAAT BAAT PE MUSKARATY THE HUM

    UB TU RUNY KI ADAT SI HU GYE HAI

    KABI TALAB KERTY THE TUMHARY HUM

    UB TU BERUHI SEHNY KI ADAT SI HU GYE HAI

    KABI EK HUMDARD CHATATY THE HUM BHI

    PER UB TU TANHA GAM SEHNY KI ADAT SE HU GYE HAI

    JAB SE SUCHANA SURU KYA HAI TUM KU

    SARI SARI RATT JAGANY KI ADAT SI HU GYE HAI

    UB TU CAHY CHOOR BHI DU HUMY

    TUM BIN REHNY KI ADAT SI HU GYE HAI

    JISY BHI CHAHA HUM NE WO CHOOR KER CHALA GYA

    UB TU KHUNY KI ADAT SI HU GYE HAI

    JAB SE TUM GYE HU HUMY CHOOR KE

    TAB SE CUP REHNY KI ADAAT SE HU GYE HAI

    TUM SE NA KOI SHEKWA NA KOI SHEKYAT HAI HUMY

    BAS HUD SE SHEKYAT KERNY KE ADAT SE HU GYE HAI

    MALOOM HAI KE SYED HUMARY KISMAT MAI TUM NAHI

    BAS KISMAT SE LERNY KI ADAT SE HU GYE HAI

    TUM JAHA BHI RAHU BAS KUSH RAHU NAINA

    YE DUWA MANGANY KI ADAT SE HU GYE HAI

TERE NAAM


 
 "Ji chahta hai tere naam aik kitab likhon .. Is kitab ka tere naam intisab likhon .. Tujhey sharminda karne ke liye main is main .. Tera aur mera, be baak hisab likhon .. Main soch soch kar pagal sa ho gaya hoon .. Jhele hain jo tere gham main ne, kaise woh azaab likhon ... De gi meri zindagi ko andhere wohi .. Khuahish thi jise main aaftab likhon .. Jo diye hain tu ne kanton ke bistar mujhey .. Bohat mushkil hai in kanton ko gulab likhon .. Mujh se munafqat na ho sake gi dil ki baat main .. Dukhon ke samandar ko main kaise sarab likhon .. Ajab karb main mubtila kar diya tu ne mujhe .. Samajh nahi aata tere khat ka kya jawab likhon .. Lafz to sab hi mita diye hain mere aansowon ne .. Apni kahani ab main kaise teh-e-aab likhon .. Aik aik lafz yaad hai mujhey teri guftugu ka .. Khuwahish hai teri har baat ko khitab likhon .. Jis ki tabeer bhi na mil saki mujh ko aye jana .. Main apni kitab main kaise woh khuwab likhon .. Lakhon chehron se haseen banaya tujhe khuda ne magar .. Jo mera nahi us chehre ko kaise mahtab likhon .. Yak tarfa faisla sunaya adalat-e-uzma ne .. Main is jajj ko kaise izzat-e-mab likhon .. Har baat to dil ki keh dali hai .. Is se ziyada aur kya main janab likhon

 

 

yAAD


    Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
    Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi


    Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
    Safeena doob raha hai, to koi baat nahi


    Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
    Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi


    Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
    Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi


    Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
    Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi

Kuch To Hua Hai


 
 " Kuch To Hua Hai

Kuch To Hua Hai
Kuch Ho Gaya Hai
Kuch To Hua Hai
Kuch Ho Gaya Hai

Kuch To Hua Hai
Kuch Ho Gaya Hai
Do Chaar Din Se Lagta Hai Jaise
Sab Kuch Alag Hai
Sab Kuch Naya Hai
Kuch To Hua Hai
Kuch Ho Gaya Hai

Cheezein Mein Rakh Ke
Bhool Jaati Hoon
Bekhayaali Mein Gungunati Hoon
Ab Akele Mein Muskuraati Hoon
Badli Hui Si Meri Ada Hai
Kuch To Hua Hai
Kuch Ho Gaya Hai

Pighla Pighla Hai Dil Mera Jab Se
Achcha Rehta Hain Mood Bhi Tab Se
Haske Milta Hoon Aaj Kal Sab Se
Khush Ho Gaya Hai Jo Bhi Mila Hai
Kuch To Hua Hai
Kuch Ho Gaya Hai

Rang Chamkilay Saaare Lagte Hai
Raah Mein Bhikre Tare Lagte Hai
Phool Ab Zyaada Pyaare Lagte Hai
Mehki Hui Si Jaisi Hawa Hai
Kuch To Hua Hai
Kuch Ho Gaya Hai

Dhyaan Ab Apna Zyaada Rakhta Hoon
Sochta Hoon Main Kaise Lagta Hoon
Aaina Ho To Dekh Leta Hoon
Kaise Yeh Chehra Aisa Khila Hai
Kuch To Hua Hai
Kuch Ho Gaya Hai

Yeh Nasha Jisme Dono Rehte Hai
Yeh Lehar Jisme Dono Behte Hai
Ho Na Ho Isko Pyaar Kehte Hai
Pyaar Mila To
Dil Kho Gaya Hai
Kuch To Hua Hai
Kuch Ho Gaya Hai