koshish jo gar karein to bhala kyon na milega |
mehnat ka sila aaj nahi kal to milega |
chhorein bhala koi kaam kyon kismat ke saharey |
rab aaj nahi kal to razamand milega |
yeh waqt ka pahiya na ruka hai na rukega |
is waqt gar na sambhley to mauqa na milega |
"Sartaj" tum gawao na youn waqt behisab |
ghuzra hua ek lamha bhi fir se na milega |
pyaar ahsaas hai ahsaas ko tum jaanchkar dekho |
yakeen aa jaayega aankhon meri jhankar dekho |
tume lag jaayega andaaza kitni khoobsurat ho |
kabhi meri nazar se khud ko zara aankar dekho |
churaya dil mera teri inhi masoom zulfon ne |
ye kitni shokh chanchal hain aaiina jhankar dekho |
miloge jab bhi tum "Sartaj" ko hamdard paaoge |
na sahi pyaar kam se kam ghamon ko baantkar dekho |
mahfil me meri aaj wo aaye kyoun hain? |
chahat nahi to palkein jhukaye kyoun hain? |
mohabbat thi, na hai gunaah agar |
aasmaan sar pe fir ye log uthaye kyoun hain? |
naya mausam to aata pattiyan girney ke baad hi |
jaankar log fir patjhad se ghabraye kyoun hain? |
chand kafi hai agar roshni karney ke liye |
kuhda ne taarey fir falak pe bichaye kyoun hain? |