Baaki
saare pages English mein hain, is baat ke liye Hindi bhasiyon se maafi
chahunga. Yeh page Devnagri mein nahin sahi lekin, Hindi mein zaroor hai.
Fihaal aap log Roman lipi se hi kaam chala lijiye.
Aakhir
maine yeh “Hindi” page banayi kyon? Iska hona zaroori tha. Is liye kyonki mere
Angl bhasa ke prayog se meri ek aisi chhavi banti hai ki mano mein keval
pashchatya sanskriti se hi prabhavit hoon aur Bharatvarsh ki sanskriti mere
liye koyi mayne nahin rakhti. Lekin aisa bilkul nahin.
Yeh sach
hai ki kuch had tak maine Angrezi bhasa mein nipunta hasil ki hai lekin iske
kayi karan hain. Pehli yeh ki main English medium ka padha hoon. Doosri yeh ki
maine apne shikshakon ki suni aur school time mein apne bandhuon se sirf shudh
Angrezi mein vartalap ki. Teesri baat yeh thi ki Calcutta pe Angrezon ka chhap
ab tak kayam hai. School aur anya patshalaon ke bahar bhi iska khul kar prayog
hota hai. In sab baaton ko jaankar aap zaroor samajh chuke honge ki maine kaise
English bhasa mein nipunta prapt ki. (Main kyon samjhana chah raha hoon
ki maine English mein nipunta prapt ki? Isliye kyonki jis bhasa mein nipunta
prapt hai, uska prayog hi zyadatar kiya jata hai- jo ki main kar raha hoon.)
Ha ha ha
ha… kya aap log yeh to nahin samajh baithe ki main isi tarah ki Hindi roz
doston ke sang use karta hoon? Arre baap re, aise to meri jeebh gale mein atak
kar rahe jayegi!
Kuch khud se banaye huye
chutkule:-
Ek aadmi ne doosre se kaha: “Kya aapne kisi se pyar kiya
hai? Kya aapne kisi ko dil diya hai?”
Doosre ne jawab diya: “Arre nahin, dil dena to door ki
baat hai… mera heart transplant hua hai!”
Teacher ne Raju se poocha: “Raju, do element aur ek
compound ke naam batao?”
Raju ne jhat se uttar diya: “Ma’am, K, G aur K3G!”
Watch
out for this space for additions in the future… oops… angrezi ke liye shama!