Paas rehta hai......door rehta hai..
Koi Dil mein..... zaroor rehta hai
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Baithey Baithey Ghabraaey Hum
Jaaney Kissey Yaad Aaiey Hum
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Yeh Soch ke hum ne Jaan de di
Mayyat pe meri "Woh" aaey gaa
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Mujh ko mehsoos hua hai aksar
' Toou ' Mujhey dekh raha ho jaisey
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Pehli si ab Milaap ki soorat nahin rahi
Aik doosrey ki Hum ko zuroorat nahin rahi
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
" Uss" sey Aik baar tou roothoon
Mein, Ussi ki tarha
Aur Meri tarha sey " Woh " Mujh ko manaaney Aey
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Hur lafz kitaabon mein Tera Aks liyey hai
Aik phool sa Chehra Mujhey parhney nahin deta
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Taqdeer bananey waley, Toou ne Kumi na kee
Ab kiss ko kya mila, Yeh muqadder ki baat
hai
Mujhey tou Apnon ne loota, Ghairon mein
kahaan Dum tha
Meri kashti thi doobi wahaan, jahaan Paani
kum tha
Merey Khuda, Mujhey itna tou Mo'tabar kar
dey
Mein jiss ' Makaan ' mein rehta hoon, uss ko ' Ghar' kar dey
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Agar talaash karoon, koi mil hi jaaey gaa
Magar Tumhaari tarah kaun Mujh ko chaahey gaa
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Aik cheez Qayamat bhi hai, Laugon sey suna
kartey thay
Tujhey dekh ke Hum ne Maana, Woh theek kaha kartey thay
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Ruka hua hai ajab Dhoop chhaa'on ka Mausum
guzar raha hai koi dil sey Baadalon ki tarah
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Mein nay dushman ko bhi ahsaas-e-mohabbat
bakhsha
Merey apney Mujhay Nafrat ki saza daitay hain
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Ab Dil ko Intezaar ki Aadat si hogaee
Yeh haal kardiya hai, Terey intezaar nay
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Na beeti thi kabhi jiss ki Chaand raat, Uss
ki.....
Suhaag Raat Humaarey baghair Beet gai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Shab-e-Wisaal mein roshan charaagh gul kar
do
Khushi ki buzm mein kya kaam jalney waalon ka
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Sab kuch Khuda sey maang liya Tujh ko Maang
kar
Uth'tay nahin hain haath Merey, Iss Dua ke baad
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
' Woh' jinn ki khaatir, Hum ne saari
sarhadein toreen
Unhi ne Aaj kaha hai ke apni " Had " mein raho
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Hai Dil ko yaqeen, aaein gey woh laut ke
aik Roz
Jaisey woh koi cheez yahaan bhool gaey hon
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Yoon hee bhar aaey Aankh mein Aansoo
Jaai'yay Aap.............. koi baat Nahin
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Toofaan kar raha tha Merey Azm ka tawaaf
Duniya samajh rahi thi ke, Kashti bhanwar mein hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Poocha Kuch iss tarah sey, USS ne Mera
Mezaaj
Kehna para ke, " Shukr hai, Parwardigaar ka "
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Jab bhi aata hai Tera naam, Merey naam ke
saath
Jaaney kiyon laug "Merey" Naam sey jal jaatey hain
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Doobna hi tha jo Kashti ka Muqaddar, Ya Rub
Aankh ke saamney, Aey Kaash, Na Saahil hota
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Manzil safar mein thi, qadam faaslon mein
tha
Mein door tha zaroor, Magar Raaston mein tha
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Mujhey Yaqeen tou nahin magar Yahi sach hai
Mein terey waastey Umrein guzaar sakta hoon
Yahi nahin ke tujhey jeetney ki khawaahish
hai
Mein terey waastey khud ko bhi haar sakta hoon
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Dua ke liyey Haath kab uthaana
tha.................
woh tou moonh chhupaaney ka aik bahaana tha
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Liptay kabhi Shaanon'n sey kabhi Zulf sey
uljhay
Kiyon dhoond'ta rehta hai sahaarey Tera aanchal
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Jab tak bikey na thay Hum, koi poochta na
tha
Toou ne Khareed ke Humein Anmol kar diya
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Mein khud pehel karoon yaa UDHER se ho
Ibteda
Barson guzar gaey hain yahi sohtey huey.......
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Khaamosh tum thay aur merey Hont bhi bund
Phir itni dair kaun tha jo bolta raha ??????
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Uss waqt Intezaar ka Aalum na poochiyay
Jab koi baar baar kahey," Aa raha hoon mein "
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Badla wafa ka dein gey bari Saadgi se Hum
Tum "Hum " se rooth jaao gey aur Zindagi se Hum
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Seeney se merey Zeher utarney nahin detey
Zinda rahein woh loug jo marney nahin detey
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Be-Aetebaar waqt pe Jhunjla ke ro parey
Kho ke kabhi ussey tou kabhi Paa ke ro parey
Kab tak kissi ke soug mein rouein gey umer bhur
Hum khud ko kitni baar yeh samjha ke ro parey
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Merey Daamun mein tou kaanton ke siwa kuch
bhi nahin
Aap Phoolon ke kharidaar nazar aatey hain
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Kaanton se mohabbat kartey hain , Kirdaar
tu dekho phoolon ka
Zakhmon se kaleja phut jaaey par saath Nibhaana parta hai
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Badla na Merey baad bhi mauzoo-e-Guftugoo
Mein ja chuka hoon, Phir bhi Teri Mehfilon mein hoon
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Ahsaas kaa andaaz badal jaata hai ,Warna
aanchal bhi ussi taar se banta hai, kafan bhi
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Hum subah paraston ki yeh reet puraani hai
Haathon mein qalam rakhna yaa haath qalam rakhna
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
yahaan kisi ko bhi kuch hasb-e-aarzoo na
mila
kisi ko hum na miley aur hum ko toou na milaa
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Ulfat tou hai aakhir " Unn " ko
bhi, Meri na sahi... Dusman ki sahi
Mujh sey na sahi, dusman sey sahi, "woh" bhi tou mohabbat kartey hain
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Shaam hotey hi charaaghon ko bujha detaa
hoon
Yeh dil hi kaafi hai teri yaad mein jalney ke liye
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Saara Shehar uss ke "Janaazey"
mein tha shareek
"Tanhaaiyon" ke khauf se jo shakhs mar gaya
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Acha Khaasa baithey baithey "Gum"
Ho jaata hoon
Ab Mein aksar "Mein" nahin rehta, "Tum" ho Jaata hoon
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Apni Zaat ke mehwar mein tujhey Zum kar
loon
Ibaadaton mein tera Ishq bhi raqam kar loon
Terey Ashkon se ho agar "Wazoo" na-mumkin
Mein terey Jissm Ki Matti se "Tayamum" kar loon
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Shab-e-Wisaal mein roshan charaagh gul kar
do
Khushi ki buzm mein, kya kaam jalney waalon ka
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Uss ke haathon mein Gulaabon ki Mehek hai
shayed
Uss ke chhooney sey hua hai Gulaabi Kaghaz
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Aana jo meri Qabar pe, "Ghairon"
ko na laana
" Murdey " Ko musalmaan Jalaaya nahin kartey
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Shumm'a Jalti hai , Parwaaney chaley Aatey
hain
Sar ke Bul ISHQ ke Deewaaney chaley aatey hain
Ab tu Aajaao meri jaan, ke Janaaza uthney ko hai
Loug tu ghairon ko bhi dafnaaney chaley aatey hain
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Mujh ko paana hai tou phir Mujh mein utar
kar dekho
Yoon Kinaarey sey Samandar nahin dekha jaata
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Mein kissi Sheher mein jab bhi koi Rusta
poochoon
Jaaney kiyon laug Terey ghar ka pata detey hain
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Zakhmi Huey Jo Hont Tu Mehsoos Yeh Hua
Chooma Tha Mein Ne Phool Ko Deewangi ke Saath
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Mein aik Aansoo hi sahi, hoon buhut Anmol
magar
Yoon na Palkon sey gira kar Mujhey matti mein mila
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Sab ke honton pe tabassum tha merey Qatal
key baad
Jaaney kiya soch ke rota raha Qatil Mera
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~ "Idher" Zindagi Ka Janaaza
Uthey Gaa
"Udher" Zindagi Unn ki Dulhan Buney gee
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~ Jaaney Uss shakhs ko kaisa yeh hunar aata
hai
Raat hoti hai tou, aankhon mein utar aata hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Meri Takmeel mein Hissa hai Tumhara bhi
buhut
Mein agar Tum sey na milta tou Adhoora rehta
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
"Toou"badalta hai tu be-saakhta
meri Aankhein
Apney Haathon ki Lakeeron mein ulajh jaati hain
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Waada "Woh" kur gaiey hain ke
"Aain gey Khawaab mein
Maarey khushi ke neend naa aiey tu kiya karoon
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Merey Mehboob , iss qadar Mein tujh se Pyar
karoon
"Toou" agar jhoot bhi boley tu Aitebaar karoon
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Shaakh se kutney ka ghum , unn ko buhut tha
Phool majboor thay, hanstey rahey Guldaanon mein
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~ Ander lagi thi Aag magar be-khabar thay
Log
Jultey huey Makaan ke bahar Dhooaan na Tha...
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
~ Woh Ashk bun ke Meri Chashm-e-Tur mein
rehta hai
Ajeeb shakhs hai... Paani ke Ghur mein rehta hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Liptay kabhi Shaano'n sey, kabhi Zulf sey
uljhay
Kiyon dhoond'ta rehta hai sahaarey Tera aanchal
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Tera saath hai tou mujhey kiya kumi hai
Andhairon se bhi mil rahi ROSHNI hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Aik cheez Qayaamat bhi hai, Laugon sey suna
kartey thay
Tumhein dekh ke Mein ne maana, woh theek kaha kartey thay
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Ya khuda log banaaye thay agar pathar kay
Meray ahsaas ko sheesha na banaya hota
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
kal Dhoop kay Mailey say khareedey thay
khiloney
Aik mom (wax) ka putla tha jo Ghur tak nahin pohancha
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Yeh Fakhar tou haasil hai, Burey hain ke
bhaley hain
Do chaar Qadam Hum bhi, Terey saath chaley hain
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
kabhi kabhie Woh humain Be-sabab bhi milta
hai
asar hua nahin Uss per abhi zamaaney ka
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Chehrey ka nisf hissa, Zair -e- Naqaab kur
ke
Kartey hain Husn waaley , Deedaar mein milaawat
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Kabhi kabhi tou chhalak parti hain yoonhi
be-sabab aankhein
Udaas honey ka koi sabab nahin hota
Mein Waledain ko yeh baat kaisey samjhaaoon
Mohabbaton mein " Hasab Nasab " nahin hota
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Aik Muddat se meri "Maan" nahin
Soi Tabish
Mein Ne Aik baar kaha tha mujhey "Darr" lagta hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Haath Uss ke bhi huey hon gey yaqeenun
Zakhmi
Jiss ne Kaantey Meri Raahon mein bich'haaey hongey
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Aik Deewaana yeh kehtey huey hansta jaata
Kaash Manzil sey bhi Aagey koi Rusta jaata
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Dhoondta phirtaa hoon Mein logon mein
shabahat uss ki
ke woh Khawaabon mein bhi lagti hai Khayaalon jaisi
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Hum " Aah" bhi kartey hain tou,
ho jaatey hain Bud-naam
Woh Qatal bhi kartey hain tou, Churcha nahin hota
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Tumharey Lums ki khushboo sey toot jaoon
gee
Qareeb aa ke bhi, thora sa faasla rakhna
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Kaisey keh doon ke Mulaqaat nahin hoti hai
miltey rehtay hain magar baat nahin hoti hai
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Iss shart pe khailoon gee Piya, Pyaar ki
baazi
Jeetoon tu tujhey paaoon, Harron tu Piya teri
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
woh Shakhs meri Laash pe aaya, Na ro saka
Uss ko merey sukoon ka kitna khayaal tha
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Tehni sey aik phool ki Patti bhi jab giri
Unn ke Qadam ki chaap ka dhoka hua Mujhey
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Aaney ka waada moonh se tu Unn ke nikal
gaya
poochi jagah jo mein ne, kaha hans ke, "Khawaab mein"
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Woh Khush-jamaal Jab bhi Tasawwur mein Aa
gaya
Aanchal ko Sar pe rakh diya, Hum ne Haiya ke saath
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Gumaa'n na kar ke Mujhey Jurrat-e-Sawaal
nahin
Faqat yeh darr hai Tujhey Lajawaab kar doon ga
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Apni Qismat se yeh Gila hai mujhey
Toou buhut dair se mila hai mujhey
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Mein kissi Sheher mein jab bhi koi Rusta
poochoon
Jaaney kiyon, loug Terey ghar ka pata detey hain
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Shumaar uss ki sakhaawat ka kiya karoon ke
woh shakhs
Charaagh baant'ta phirta hai Chheen kar Aankhein
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Woh Phool tha tou Roz Mehekta tha Khawaab
Mein
Khushboo bana tou taiz Hawa mein Bikhar gaya
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Kab tak kissi ke Soug mein Roain gey baith
kar
Hum khud ko kitni baar yeh samjha ke ro parey
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Suna hai Haath mein Taqdeer hua karti hai
Kal yoonhi haath pe aik naam likha dair talak
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Hum se aik baar bhi jeeta hai, naa jeetey
ga koi
Woh tu hum jaan ke kha letey hain Maatein aksar
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Neendain meri Aankhon se churaata hai wohi
shakhs
So jaaoon tou khawaabon mein bhi aata hai wohi shakhs
Hur zakhm ka khaaliq bhi koi aur nahin hai.............
hur zakhm pe marhum bhi lagaata hai wohi shakhs
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Dekhi hai uss ki Aankh mein pehli dafah
Numi
Yoon lag raha jaisey Samander udaas hai
Kehtay hain ke mil jaati hai, har cheez Dua
sey
Aik roz Tumhein maang ke dekhain gey Khuda sey
Tujh sey maangoon mein Tujhi ko ke sabhi
kuch mil jaaey
Sau sawaaloon sey yahi aik sawaal acha hai
~ Sab kuch Khuda se maang liya
"Tujh" ko maang kar
Uth'tay nahin hain haath Merey, iss Dua ke baad
Jal jaati hain Chhup saadhey huey, Aag mein
Apni
Hum " larkiyaan " Izhaar-e-tamanna nahin karteen
Iss shart pe khailoon ge Piya, Pyaar ki
baazi
" Jeetoon" tou Tujhey Paaoon, " Haaroon " Tou Piya Teri
Husn ke samajhney ko, Umer chahiyay Jaana'n
Do ghari ki chaahat mein, Larkiyaan nahin khulteen
Larkiyon ke dukh ajab hotey hain, Sukh uss
sey ajeeb
Hans rahi hain aur Kajal bheegta hai saath saath
Patthar Mujhey kehta hai Mera chahney wala
Mein " Moum" hoon Uss ne mujhey chhoo kar nahin dekha
Woh larki achi larki hai, Tum naam na lo,
Hum jaan gaey
Woh jiss ke laanbay gaisoo hain, Pehchaan gaey.... Pehchaan gaey
Haan saath humaarey Aik ghar mein, Woh bhi thi Mehmaan buni
Par uss sey tou kuch baat na ki, Anjaan rahey Anjaan rahey
Apni Aankhon Ke Samunder Mein Utar Jaaney
De
Tera Mujrim hoon, Mujhey Doob Ke Mur Jaaney De
Aankh Milney sey hur aik Raaz bikhar jaata
hai
Bhaid khul jaatey hain, Palkon ko jhukaaey rakhna
Ghalat gumaan na kar Meri khushk Aankhon
par
Samandaron Mein jazeerey zaroor Miltey hain
Mein tou Aansoo hoon, Kissi roz dhalak
jaaoon ga
Toou Mujhey ankh ke saahil pe sajaata kiyon hai?
Hur koi ro ke dikhaaey yeh zaroori tou
nahin
Khushk Aankhon mein bhi sailaab hua kartey hain
Ab tou Aankhon mein samaati nahin soorat
koi
Ghaur sey Mein ne Tujhey Kaash na dekha hota
Be-taab kar gai Mujhey Jaadoo bhari Nigaah
Mein unn ke " dekhney " ki Ada, dekhta raha
~ Saabit hua ke Mujh sey Mohabbat nahin
rahi
Woh shakhs Mujh ko dekh ke Aankhein chura gaya
~ Woh Aaj kiss ghazab ki banaawat sey aaey
thay
Meri taraf tha Rukh magar Nazrein churaaey thay
Palkein bhi chamak uthti hain sotay mein
Humaari
Aankhon ko abhi khawaab chhupaaney nahin aatay
Aankhein jhuki jhuki hai, tou Chehray pe
Noor hai
Zaalim ki Saadgi mein bhi kitna Ghuroor hai
Nigaahein tou buhut milti hain aksar Husn
waalon sey
Magar rona tou iss ka hai ke Dil sey Dil nahin milta
Aankh pe farz hai, hur waqt sawaali rehna
Iss ko sajta hi nahin, ashk sey khaali rehna
Laakh mein Khaana Kharabon ki tarha rehta
hoon
Par kissi aankh mein, Khoaabon ki tarha rehta hoon
~ Jaati hai kissi Jheel ki Gehraai kahaan
tak......
Aankhon mein teri "Doob" ke dekhain gey kisi Din
Rasm-e-Ulfat hi ijaazat nahin deti warna
Hum bhi aisa "Bhoolein" ke sada "Yaad" karo
Jab Yaad Tumhaari aati hai, Moonh Bistar
mein kar leti hoon
Sab kehtey hain " soti hai" , Mein chupkey chupkey roti hoon
Aik Muddat sey Teri yaad bhi Aai na Humein
Aur Hum bhool gaey hon Tujhey, Aisa bhi Nahin
Ab Bachpaney ki neend tou Aik khawaab ho
gai
Woh din kahaan ke Raat hui, aur so gaey
Koi Mujh ko Mera bhar-poor Saraapa laa dey
Merey Baazoo, Meri Aankhein, Mera Chehra laa dey
Kuch nahin chahiyey Tujh sey Aey Meri Umer-e-rawaa'n
Mera bachpan, Merey Jugnoo, Meri Guriya Laa dey
Ujaaley Apni Yaadon ke Humaarey saath
rehney do
Najaaney kiss gali mein Zindagi ki Shaam ho jaaey
Be-Rukhi iss sey barh kar aur Bhala kya ho
gee
Aik Muddat sey Humein, Uss ne sataaya bhi nahin
Unn ki yaadon ke diyay jab kabhi jal jaatey
hain
Hum khayaalon mein buhut door nikal jaatey hain
Qurbatein hain ke Faasley hain buhut
Teri Yaadon ke silsiley hain buhut
Sona chaahon tou so nahin sakti
Meri Aankhon mein rat-jagey hain buhut
Teri hi Yaad ne kuch Dil sey na jaana
chaaha
Warna Hum ne Tujhey sau baar bhulaana chaaha
Tark-e-Ulfat tou kiya hai Teri khaatir Mein
ne
Ab Teri yaad bhi kum ho, yeh zuroori tou nahin
Bhula baithey ho Hum ko Aaj laiken Yeh
samajh lena
Buhut pachhtaao gey, jiss waqt Hum kal yaad aaein gey
Rasm-e-Ulfat hi ijaazat nahin deti warna
Hum Tujhey iss tarah " bhoolein" ke sada " Yaad" karo
Chalo uss ne mujhey bura keh bhi diya tou
kiya
Yahi buhut hai mujhey yaad kar raha tha koi
Jab Raastey mein Woh kaheen Saaya na paaey
ga
Yeh aakhri Darakht buhut Yaad aaey ga
~ Kaash kuch dair yoonhi Waqt guzarta rehta
Mein ussey dekhta rehta woh sanwarta rehta
Uss ko jaana tha koi zakhm hi de kar jaata
Iss bahaaney, Mein ussey yaad tou karta rehta
~ Uss sey kehna ke badalta nahin jab tak
Mausum
Mein agar Yaad bhi aaoon tou bhulaaey rakhna
~ Yaad aai hai Teri aur bhi shiddat sey
Humein
Bhool jaaney ka Tujhey jab bhi Iraada chaaha
~ Mumkin nahin tha Jo, woh Iraada nahin
kiya
Hum ne Tujhey bhulaney ka Waada nahin kiya
~ Tapak partay hain Aansoo Jab tumhaari
Yaad aati hai
yeh woh barsaat hai jiss ka koi Mausum nahin hota
~ Aey dost Hum ko Hijr ki Raaton ka khauf
kya
Tera khayaal jaagey ga, Soya karein gey Hum
~ Yaad bhi uss ki yeh kehti hui Dil sey
nikli
Aisi Ujri hui basti mein bhala kya rehna
~ Suna hai Humein woh bhulaaney lagey hain
Tou kia Hum ' unhein ' yaad aaney lagey hain?
Aik zamaana tha hansey sub ko hansaaney ke
liyey
Aaj hanstey hain magar Ghum ko chhupaaney ke liyey
"Apney marney ka ghum nahin laiken,
Haaey....... Tujh sey Judaai hoti hai
( Bus.... Tum Ko Paana Hai )
~ Hum sey aaya na gaya, Tum sey bulaaya na
gaya
Faasla pyaar mein, Donon sey Mitaaya na gaya
~ Aaney ke waqt, Tum tou kaheen ke kaheen
rahey
Ab Aaey Tum tou Faaeda? Hum hi nahin rahey
Kabhi khud pe, Kabhi Haalaat pe rona aaya
Baat nikli tou har aik baat pe rona aaya
Aik door ki nisbat sey bhi jal jaaey gee
Duniya
Tum apni kahaani mein Mera naam na dena
Yoon Jurm-e-Mohabbat ki saza deti hai
Duniya
Hanstey huey chehron ko rula deti hai duniya
Marney ki Tamanna ho tou, marney nahin deti
Jeetey hain tou jeeney ki saza deti hai Duniya
Ussey tou kho hi chukey hain Phir khayaal
kya Uss ka
Yeh fikar kaisi ke Ab ho ga Haal kya Uss ka
Zindagi phool ki kaanton pe guzar jaati hai
Laug kehtey hain ke Gulshan mein bahaar aai hai
Humaarey ghar mein yoon tou Kya nahin hai
Bus itna hai, koi rehta nahin hai
Iss qadar Zarf tou rakhtey hain Zamaaney
waley
Zindagi chheen ke jeeney ki dua detey hain
Ab woh Toofaan hai na Shor Hawaa'on jaisa
Dil ka Aalum hai terey baad khalaa'on jaisa
Pehlay hi kaun si theen bahaarein Merey
liyey
Tum aur Meri Zindagi weeraan kar gaey
Chout lag jaaey toy kya hoti hai Dil ki
haalat
Aik Aaeeney ko Patthar pe gira kar dekho
Kaun aaey ga yahaan, koi na aaya ho ga
Mera darwaaza Hawaaon ne hilaaya ho ga
Woh Aik Shakhs, jiss ka saath, lamhey bhar
ka tha
Mein uss ke waastay kiyon Dil udaas karta hoon?
Merey Dukho'n sey na koi Udaas ho jaaey
Mein apney Chehray pe Khushiyaan saja ke milta hoon
Yeh Dard kum tou nahin hai ke Humein Toou
na mila
Yeh aur baat ke Hum bhi na ho sakey Terey
Labo'n pe geet tou Aankhon mein khawaab
rakhtey thay
Kabhi Kitaabon mein Hum bhi Gulaab rakhtey thay
Kabhi kissi ka jo hota tha Intezaar Humein
Bara hi Shaam-o-seher ka Hisaab rakhtey thay
Doobna tha jo Iss Kashti ka Muqaddar Ya Rub
Aankh ke saamney Aey kaash, na Saahil hota
Na-jaaney kaun sa aasaib Dil mein busta hai
Ke jo bhi Thehra, woh Aakhir Makaan chor gaya
Ajeeb khauf hai undar ki Khamoshi ka Mujhey
Ke Raaston sey guzarti hoon Gungunaatey huey
Hur cheez ki bohtaat mein nuqsaan buhut hai
Shiddat sey kissi shakhs ko chaaha na keejiyey
Dil Juda hoon tou Mulaqaat sey kya Haasil
hai
Yoon tou Saahil sey samandar bhi mila kartey hain
~ Ghum ki jaageer wiraasat mein mili hai
Mujh ko
Apni Jaageer mein rehta hoon Nawaabon ki tarah
~ Sooraj ke saath doob gaya Mera Dil bhi
Aaj
Itna udaas shaam ka manzar kabhi na tha
~ Tum, Merey liyey aur koi ilzaam na
dhoondho
Chaaha tha Tumhein, Aik yahi ilzaam buhut hai
~ Iss Hansney mein chhupey dard ko mehsoos
tou kar
Woh tou hans hans key yoonhi khud ko saza deta hai
~ Iss mein Qismat ki khata hai na Zamaaney
ka qusoor
Ghum tou insaan ke jeeney ki saza hotey hain
~ Apni saansein Meri saanson mein mila kar
rona
Jab bhi rona Mujhey Seeney sey laga kar rona
Aankhon Mein koi khawaab utarney nahin deta
Woh shaks Mujhey chayn sey marney nahin deta
Bichhray tou ajab Pyaar jataata hai khaton mein
Mil jaaey tou phir Had sey guzarney nahin deta
Neendein Meri Aankhon sey churaata hai wohi
Shakhs
Sou jaaoon tou khawabon mein bhi Aata hai wohi Shakhs
Hur Zukhm ka khaaliq bhi koi aur nahin hai
Hur Zakhm par Murhum bhi lagaata hai wohi Shakhs
Husn Waalon ki Adaa'on pe na marna Yaaro
Ishq dhoka hai, Kabhi ishq na karna Yaaro
Aik Be-wafa sey Dil ka lagaana fuzool hai
Paani pe koi Naqsh banaana Fuzool hai
Be-Wafa Hum hain tou AeyJaan-e-Wafa yoon hi
sahi
Dhoondh lena jo Tumhein koi Wafadaar miley
Kehta tha ke Hum saath jiyein, Saath Marein
gey
Ab rooth gaey hain tou Manaaney nahin aaya
Jiss ke Chehray pe sabhi Jhoot ki
Tehreerein hain
Dil ussi Shakhs ke waadon sey behelta kiyon hai
Paani Mein Aks dekh kar khush ho raha tha
Mein
Patthar kissi ne phenka tou Manzar badal gaya
Woh kar rahey thay Apni Wafaa'on ka tazkera
Dekha Mujhey tou baat ka pehloo badal gaey
Woh tou jaan le ke bhi waisa hi naik-naam
raha
Ishq ke baab mein sab Jurm Humaarey nikley
Aik kasak si hai Dil mein ke Maaloom tou ho
Chhor ke Mujh ko woh kiss haal mein rehta ho gaa
Mujh ko bhi shauq tha, naey Chehron ki deed
ka
Rasta badal key chalney ki Aadat ussey bhi thi
Pyaar kartey huey iss waastey darta hoon ke
Laug
Tor detey hain Yahaan Dil bhi, Usoolon ki tarah
Parhi Namaaz-e-Janaaza kissi ghair ne Aa
kar
Marey thay Jinn ke liyey, Woh rahey Wuzoo kartey
Tum takkalluf ko bhi Ikhlaas samjhtey ho
Faraz
Dost hota nahin hur haath milaaney wala
Dekh kar jo Humein chup chaap guzar jaata
hai
Kabhi Uss shakhs ko, Hum Pyaar kiya kartey thay
Pyaasey honton sey buhut karta hai meethi
baatein
Ho ke Sairaab..... Badal jaata hai Lehja Uss Ka
Agar woh mil ke bicharta tou koi baat bhi
thi
Jiss ko paaya hi nahin tha, ussey khona kaisa?
Sadiyon ka rat-jaga Meri raaton mein aa
gaya
Mein aik haseen shaks ki baaton mein aa gaya
Kissi be-wafa ki khaatir, yeh Junno'n
faraaz kab tak
Jo tumhein Bhula chuka hai, Ussey Tum bhi bhool jaao
Roey na lab hilaaey, na jhupki kabhi palak
Hum Tairey intezaar mein Patthar ke ho gaey
Kuch aur Ash'aar, issi Mauzoo ( Topic )
par.....
~ Tum Merey liyey aur koi Ilzaam na dhoondo
Chaaha tha Tumhein bus yahi Ilzaam buhut hai
~ Ghairon ki baat choriyay, Aakhir woh
" ghair hain "
Apna bana ke Aap tou ruswa na keejiyey
~ Ab Ussey Kaun bataaey Dilon ki majboori
Mein Kiya karoon ke Naya humsafar bhi acha hai
~ Utha kar phool ki patti, nazaakat se
masal daali
Ishaarey se kaha Hum dil "Aisa" haal kartey hain
Be-Atebaar Waqt pe Jhunjla key ro parey
Kho kar kabhi Ussey, tou kabhi paa ke ro parey
Khushiyaan humaarey pass kahaan Mustaqil raheen
Bahar kabhi hansey tou, Ghar aa ke ro parey
Chaley aatey hain Tairey pass laiken
Judaai Raasta rokey khari hai
Bichhra kuch iss ada sey ke Rut hi badal
gai
Woh Mujh sey bichhar kar bhi Juda kiyon nahin hota?
Jab tak humaari soch mein kuch Faasla na
tha
Woh Hum sey door ho kay bhi Hum sey Juda na tha
Faasley aisey bhi hongey yeh kabhi socha na tha
Saamney baitha tha Merey aur Woh Mera na tha
Milna tha Ittefaaq, Bichharna Naseeb tha
Woh utni door ho gaya, Jitna Qareeb tha
Tujh ko izhaar-e-Mohabbat sey agar nafrat
thi
Apney honton ko larazney sey tou roka hota
Hosla Tujh mein na tha Mujh sey Juda honey ka
Warna Kajal; teri Aankhon mein na Phaila Hota
Kuch bhi na raha yaad Humein, Tujh sey
bichar key
Muddat hui Khud apna pata dhoondh rahey hain
Dil ke rishtey ajeeb hotey hain
Door reh kar Qareeb hotey hain
Tum tark-e-ta'luq ka kaheen Ziker na karna
Mein laugon sey keh doon ga ke Fursat nahin milti
Koi sawaal jo poochey tou kya kahoon Uss
sey
Bicharney waaley sabab tou bata Judaai ka
Tum sey Juda huey tou kissi ko khabar Na
thi
Mur... Mur ke dekhney Humein bud-naam kar gaya
Pichley baras yeh darr tha.... Tujhey kho
na doon kaheen
Ab ke baras Dua hai .......Tera saamna Na ho
Haathon mein Tairey tha jo Khilona sa aik
Shakhs
Aik roz gir ke toot gaya rakh rakhaao mein
Agar woh mil ke bicharta tou koi baat bhi
thi
Jiss ko paaya hi nahin tha Ussey khona kaisa?
Judaaiyaa'n hon Aisi ke Umer bhar na milein
Faraib do tou zara Silsiley barha ke Mujhey
~ Uss ko chaaha bhi tou Izhaar na karna
aaya
Lut gaaey hum , magar Pyaar na karna aaya
Uss ne maanga bhi tou hum se, Judaai maangi
Aur hum thay , humein Inkaar na karna aaya
Hasrat hai ke Unn ko kabhi nazdeek sey
dekhein
Nazdeek hon tou Aankh uthaai nahin jaati
Chaahat pe kabhi bus nahin chalta hai kissi ka
Lag jaati hai yeh Aag, lagaai nahin jaati
Iqbal... Ishq ne Merey, sab Bal diyey
Nikaal
Muddat sey Aarzoo thi ke Seedha karey Koi
Uss ki khushi azeez thi, kuch Uss sey pyaar
tha
Apni "ana" ko tor ke jhukna para Mujhey
Jaaney kiss Raah sey aa jaaey woh aaney
wala
Mein ne hur simt sey deewaar gira rakhi hai
Mohabbat ke liyey kuch khaas Dil makhsoos
hotey hain
Yeh woh naghma hai, jo hur saaz pe gaaya nahin jaata
Kya bura hai ke Mein Iqraar-e-Mohabbat kar
loon
Loug waisey bhi tou kehtey hain Gunah-gaar Mujhey
Aik Shaksh iss tarah Merey Dil mein utar
gaya
Jaisey woh jaanta tha Merey Dil ke raastey
Mohabbat mein aisey zamaaney bhi aaey
kabhi ro diyey Hum, Kabhi Muskuraaey
Mohabbat Bundagee hai, Iss mein Tun ka Qurb
mat maango
Ke jiss ko chhoo liya jaaey, Ussey Pooja nahin kartey
Wafa mein ab yeh hunar ikhteyaar karna hai
Woh sach kahey na kahey, Aetebaar karna hai
Kuch zuroori tou nahin Izhaar-e-Mohabbat
aey dost
Shama khamosh jala karti hai parwaanon mein
Unhein yeh Zid ke Mohabbat ki bheek Mein
maangoon
Mujhey yeh zid ke Taqaaza Mera usool nahin
Palat kar Aankh Num karna, Mujhey hurgiz
nahin aata
Gaey lamhon ka ghum karna Mujhey hurgiz nahin aata
Mohabbat ho tou be-had ho, Nafrat ho tou be-payaa'n
Koi bhi kaam kum karna, Mujhey hurgiz nahin aata
Yoon jurm-e-Mohabbat ki saza deti hai dunia
Hanstey huey chehron ko rula deti hai dunia
~ Ishq ko Jurm samjhtay hain Zamaaney
waaley
Jo yahaan Pyaar karey ga woh Saza paaey ga
~ Pyaar, Mohabbat Khail Tamaasha sab kuch
dhoka hota hai
Sach kehta hoon maan lo kehna, kaun kissi ka hota hai
Muskura ke Mila karo Hum sey
Kuch kaha, kuch suna karo Hum sey
Baat karney sey baat barhti hai
Roz baatein kiya karo Hum sey
Aankhon mein jitney Ashk thay Jugnoo sey
bun gaey
Woh muskuraaya, aur Meri Duniya badal gaya
Jawaab soch ke Dil mein Woh muskuraatey
hain
Abhi Zubaan par Meri sawaal bhi tou na tha
~ Mast nazaron se dekh lena tha
agar tamanna thi aazmaane ki
Hum to behosh yoon hi ho jaatey
kiya zaroorat thi muskuraaney ki
~ Hujoom-e-Ghum meri haalat badal nahin
sakta
Mein kiya karoon, Mujhey aadat hai muskuraney ki
Zulfein Raaton see hain, Rangat hai Ujaalon
jaisi
Par tabiyat hai wohi bhoolney waalon jaisi
Toou ne chaira tou yeh kuch aur bikhar
jaaey gee
Zindagi Zulf nahin hai jo sanwar jaaey gee
~ Apni Zulfein sanwaar le warna....
Meri Hasti.... ulajh bhi sakti hai
~ Uljha hai Paa'on Yaar ka, Zulf-e-daraaz
Mein
Lo, Aap apney daam mein Saiyaad Aa gaya
~ Uss Zulf ke Kya kehney, jo dosh pe
Lehraaey
Simtey tou buney Naagun, Bikhrey tou Ghata chaaey
~ Iss Zulf-e-pareshaa'n ko sanbhaalo warna
Hum hai Gustaakh..... issey choom liya kartey hain
~ Kitney hi ghanerey hon Teri Zulf ke Saaey
Aik raat Mein sadiyon ki thakan Kum nahin hoti
~ Kar ke Ghayal Mujhey...Uss ka bhi bura
haal hua
Uski Zulfein bhi na "suljheen" Meri " Uljhan" ki tarah
~ Choom leti hein kabhi lab, tou kabhi
rukhsaar ko
Tum ne zulfon ko bara sur pe charha rakha hai
Poocha Jo UNN Se Chaand Nikalta hai kiss
tarha?
Zulfon ko rukh pe daal ke jhatka diya ke YOON
Din bhar khafa thi Mujh sey magar chaand
raat ko
Mehndi sey Mera naam likha Uss ne haath par
~ Rukay tou Chaand, chaley tou hawaaon
jaisa hai
Woh Shakhs dhoop mein dekho tou Chhaa'on jaisa hai
~ Kabhi kabhi tou woh iss Dilkashi sey
miltey hain
Ke jaisey Chaand nikalta hai Intezaar ke baad
Chaand badla hai kaheen Jheel badal jaaney
sey?
Aaaina koi bhi ho, Aks Tumhaara ho ga
Eid ka din hai, galey aaj to mil le zaalim
rasm-e-duniya bhi hai, mauqa bhi hai, dastoor bhi hai
Chehrey pe banaawat ka Ghussa
Aankhon se chhalakta pyaar bhi hai
Iss shauq-e-ada ko kiya kahiyey
Inkaar bhi hai Iqraar bhi hai
Hum na hongey tou kaho kaun manaaey ga
Tumhein?
Yeh buri baat hai........ hur baat pe rootha na Karo
Aap burhum hi sahi, Baat tou kar lein Hum
sey
Kuch na kehney sey Mohabbat ka gumaa'n hota hai
Ghussey mein jo nikhra hai Uss Husn ka kya
kehna
Kuch dair abhi Hum sey, Tum yoonhi khafa rehna
~ Inn Baarishon sey Dosti Achi nahin Faraaz
Kacha Tera makaan hai, Kuch tou khayaal kar
~ Be-sabab Aankh sey ab Ashk umad aaey hain
Hum ko be-waqt ki barsaat sey darr lagta hai
~ Maza barsaat ka chaaho tou meri Aankhon
mein aa baitho
Woh barson mein barsti hai, " yeh" barson sey barasti hain
Baat kirdaar ki hoti hai wagarna
"Arif"
Qad mein insaan se saaya bhi bada hota hai
Khawaab hotey hain dekhney ke liyey
Inn mein jaa kar magar Raha na karo
Husn waalon ko sanwarney ki zuroorat kya
hai
Saadgi mein bhi Qayamat ki Ada hoti hai
Fitrat ne jo likhey hain woh Katbay parha
karo
Mehngi hain gar Kitaabein tou chehray parha karo
Haseen Saanp ke naqsh-o-nigaar khoob sahi
Nigaah Zeher pe rakh, Khush-numa badan pe na ja
Ander ke mailey pun ka miley kiss tarha
Suraagh
Andaaza loug kartey hain ujley Libaas se
Aisey raha karo ke karein Laug Aarzoo
Aisa chilan chalo ke Zamaana misaal dey
Dhaanpey jo Nafraton ke barhana wajood ko
Aisi bhi koi Pyaar ki chaadar talaash kar
Auron ke liyey Pyaar ka Jazba nahin jinn
mein
Woh laug kabhi Pyaar ke Qaabil nahin hotay
Humesha Mil key rehney kay nateejey naik
hotey hain
Waheenpar Lutf aata hai jahaan sab Aik hotey hain
Reshum pehen key bhi Meri, Qeemat na barh
saki
Khaddar bhi Uss ke Jisem par Mehnga buhut laga
Khushi ki Aankh mein Aansoo ki jagaah bhi
rakhna
Burey zamaaney kabhi pooch kar nahin aatey
Aansoo Merey thum jaaein tou phir shauq sey
jaana
Aisey mein kahaan jao gey, Barsaat buhut hai
Hum Nafs
Soul Mate Ghazal 1
Unki har baat dil lubhaati hai,
Har adaa , har khataa bhi bhati hai.
Dil mai.n mere khayaal aaye to,
Baat unki zubaa.n pe aati hai .
Paas baithe.n to aisa lagataa hai,
Jaise woh har janam ki saathi hai.n
Sab Mere haal par pareshaan hai.n
Ek woh hain ki muskuraati hai.n .
Geet meraa likhaa hi hai shaayad,
Woh jo haule se gun gunaati hai.n ,
Hai agar sakht woh usulo.n ki,
To meri neend kyo.n churaati hai.n .
Mere rabba mujhe bataa to zara,
Ishq karake bhi kyo.n chupaati hai.n .
Haath deewane ke de allah kuchh aisi qalam
,
Aasman par likh ke jaoon hai unhi se pyaar hai !
Tu ne yeh mashvara suna hai kya ?
Zindagi ishq ke siwaa hai kya !
Kaatali sab sazaye.n ab to bataa,
E sitamagar, mera gunah hai kyaa ?
Aah mehfil main naa nikalane di ,
Chhup ke rona bhi kuchh gunah hai kyaa?
Umr bhar na mila hai mujhako suku.n ,
Maut hi aakhiri panah hai kyaa ?
Ai mere jurm ginaane wale
Tere ghar koi aaina hai kya ?
Chaand itna udaas dhundhala tu ,
Mujhase ziyada, tanhaa hai kyaa?
Ajanabi se woh aaj baithe hain ,
Qatl ka yeh hi din chuna hai kyaa ?
Mujh se achhe to hai.n teri rah ke pathhar
sanam,
Roz dikhati ho jinhe aate huye jaate huye !
Meri ghazal ko shikaayat hai mere shero.n
se ,
Jude hue hai.n is Qadr kyo.n andhero.n se.
Mai.n chaahtaa to bahut tha ki us se baat
karoo.n,
Woh is tarh se magar ghir gayi thi gairo.n se.
Gali ke mod tak to aagayi thi meri khushi,
Zaraa sa faasala bhi tai hua na pairo.n se.
Koi sawaal uthaaye to main jawaab bhi
doo.n,
Nahiv to kaunsi zubaa.n boloo.n beharo.n se.
Har ek baat ka matalab nikaalata hai.n woh
,
Khudaa nijaat dilaa de ye shaq ke peharo.n se.
Jo ho rahaa hai tamaasha abhi to hone do,
Utaar denge ek din naqab chehro.n se.
Gale milo ki milo to zara khushi se milo,
Milaa hai kya kisi ko besabab ke bairo.n se.
Ki tikk gayi ho jab nazar kisiki manzil
par,
Use hai wasta kya rasto.n ke dero.n se.
Hai LakhoN motiyo.n se keemati tumhari
hansi.
Zara sambhal ke rakhanaa is lutero.n se.
Gul mohar ki kataar jaisi ho,
Wadiyon main bahaar jaisi ho,
Paayalo.n ki chum chum chum si,
Chand meri yaar , kaisi ho?
Deewaro.n par jo tange hue hai.n,
Yeh khwaab kiske range hue hai.n.
Abhi abhi paunchhe tumane aansoo.n,
Abhi bhi dhabbe lage hue hai.n.
Yeh kiski baaho.n ki aarazu mai.n,
Tumhare sau rat-jage hue hai.n.
Kyon baadalo.n ko pukaratee ho,
Ye bolo kiske sage hue hai.n.
Woh 'Raj' kis se kare.n shikaayat,
Jo dil ke haatho.n thage hue hai.n.
Khoob aati hai jab bhi aati hai,
Yaad teri bahot sataati hai,
Dhoop main,chaanw main, ghataao.n mai.n,
Teri soorat ubhar ke aati hai !
Theharo magar ruko nahi.n tum thak ke kaam
se,
Zinda har aik cheez hai koshish-e-natamaam se.
Kuchh josh ho junoo.n ho , ho jeetane ki
zidd,
Dil main utthe ubaal sa, manzil ke naam se.
Kaanto.n se dosti ho, aur pathharo.n se
pyaar,
Badhata hua nashaa ho , himmat ke jaam se.
Mud mud ke hi badhe hai.n, pahado.n pe
raaste,
Har mod paar kar lo tum ibtisaam se.
Har shakhs main kamee hai, bande hain sab
khuda ke,
Tum dostee banaalo har khaas-o-aam se.
Maine dekhaa ek Nagamaa rah par chalate hue
Maine dekhaa ek Ghazal ko raat bhar jalate hue,
Maine dekhi ek Rubaai khud pe itraati hui,
Ek nanhaa Sher dil ki god main palate hue.
Pehali Nazar mili to, bas tham gayi tithak
kar,
Dil ne kahaa ki padh le, yeh hai tera muqaddar.
Khul kar mile bi naa the, ke door ho gaye
hain,
Is baar pyaar doonga, mere yaar tujh ko jee bhar
Kuchh roz se naa nikale ham sair ko bhi
kyonke,
Bagiyaa ke phool paudhe , tujhe poochate hai.n aksar
Ham ko to tum se koi shikawah nahin hai
lekin,
Naaraaz hai.n zaraa se, tum se tumhaare zevar.
Itnaa naa yaad aa ke tujhe bhool jaayen
ham,
Tasvir hi teri bas, ban jaaye meri dilwar.
Shab-e-aashiqi mai.n do dil yak jaan kiye
hue,
Muddat hui hai yaar ko mehman kiye hue.
Saaqi teri sharaab bhi fiki lage ke aaj,
Hai pyaas un labon ki pareshaan kiye hue.
Qatil ke waar jaise jhonke hawaa ke hain
Darya-e-dil main mere toofaan kiye hue.
Aaye nahin hai ab to woh Gham gusaar bhi
Mujh par jo umr bhar the sayyebaan kiye hue
Laakhon hain har shahr main tu ek hi nahin
Husne badr pe dil ko Qurbaan kiye hue.
Mahfooz honge woh to aaghosh-e-ghair main
Hai tu hi zindagi ko bayaabaan kiye hue
Gham-e-aashiqi ki meri ghazalain hain
Qeemati
Raahon main mat padho yun majmaa kiye hue
Raat bhar neend hi naa aaye to ,
Ashq aankhon main chhal chhalaaye to,
Kyaa hua hai bataaiye kaise,
Yaad koi bahot hi aaye to !

|