MY URDU POEMS
ghazal


aaj kal duniya bari be-rangeen si hai,
sookhay sehra aur matti palid si hai.

muhabbat mein kahan hai ab zor-e-farhad ka,
muntashar mahool har taraf be-sharmi si hai.

kehtay to thay himmat buland karo janab,
mehw-e-aitadal mein be-rehmi si hai.

maza aata nahin ab aik jaisi rangat mein,
aankhon pe parda aur galat fehmi si hai.

raastay simattay jarahay hein aik nuqtay par,
fizain shor machateein hain manzil sehmi si hai.

sheeshay kay gharon mein ab kya hai dekhna ,
lab khamosh aur izzat rasmi si hai.

nazrein nazaron ki bandish mein qaid hein,
qadeem hai zamana sham pheeki si hai.

ab kya rakha hai is gam kay samandar mein qawi,
kya karen huzoor khushi mausami si hai
.



ehsaas (nazam)



lamha lamha teray wajood ka ehsaas hota hai,
wehshat bhari ghari ka ehsaas hota hai,
teray dar say niklay sail ka ehsaas hota hai,
aik thukraiye huay aashiq ka ehsaas hota hai,
meray dard say ab shehnaiyan bhi khamosh hain,
aik jaltay huay darya ka ehsaas hota hai,
                 lamha lamha teray wajood ka ehsaas hota hai.

yeh husn-o-jamal mein quwat teray wasookh say hai,
iis aalam mein ranginyaan teray wasookh say hai,
sehra mein chashmay ki umeed teray wasookh say hai,
meri muhabbat mein kashish teray wasookh say hai,
shanasa hai yeh qudrat meri zaat say,
meri saanson mein yeh qalam teray wasookh say hai,
                 lamha lamha teray wajood ka ehsaas hota hai.

soi hui aankhon ko jagana aasan na tha,
fizaon mein bas kar raks karna aasa na tha,
maarfat ki bulandiyon par chalna aasan na tha,
wajood kay aks say bahar nikalna aasan na tha,
kashtiyan to doobti rahin hain samandar mein,
doobtay mallah ko bachana aasan na tha,
                 lamha lamha teray wajood ka ehsaas hota hai.


ghazal

simat kay nazaray chaldiye nigahon say door,
tanhai kay aalam mein fizaon say door.

dhoop ki chaadar ordhay rang pighalta hua,
manzil dhoondtay huay kehkashaon say door.

nikalta tha dam zillat kay khayal say,
zameen kay gird ghoomtay aasmanon say door.

rahat jo na mili mujh ko is taraptay jehan mein,
ik wasilay ki talash mein wehdaton say door.

khauf na tha mujhay is fani zandagi kay khayal say,
mastiyon mein jhoomtay sehrahon say door.

rahay gi sada yeh chubhan si meray dil mein,
duniya mein ho kar bhi insaanon say door.

keh chuko gay jab qawi yeh nusrat qalam,
reh jaye gi matti aur tum khayalon say door.



qatah



kafilay rawan hain doobti umeedon kay saath,
rah-e-haq par niklay kagzi wasilon kay saath,
bulandiyon par charhtay rahay thay khaksaar,
pash-e-ma  nazar girtay wajood kay saath.


qatah


wisal-e-yaar ka maza nahin ya rab,
hijr ki raat ka intizar nahin ya rab,
subah hoti hai kab kisay maloom hai,
aansuon kay ghoont ka piyasa nahin ya rab.


qatah


sham talay jab suraj dhalta hoga,
palkon sa jo kajal tapakta hoga,
na mehramon ki mehfil jo saji hai,
aaj tera husn ruswa hoga.


manzar (nazam)


aik haseen manzar ki talash thi mujhay,
dekha hai mein nay woh jehan,
jahan phoolon ki kalyon par titliyan,
zindagi say door khusboo chura raheen hain,
meri aankhon ka kya qasoor tha,
qaid-e-tanhai mein dal diya mujhay,
jahan na koi sahara hai na koi aas,
woh jahan qabil nahin meray,
mein hawa ka jhonka hoon jhoomta phiroon ga,
meray haath bandh do mujhay qaid mein daal do,
mein phir bhi farar ho jaon ga,
ab aik haseen manzar ki talash nahin mujhay.

meray udaas chehray par khamoshi ki jhalak,
kya nahin jaanta kay muhabbat hai mujhay,
labon par izhaar hi hai ab to,
inkaar sunnay ka hosla nahin mujh mein,
hijr mein guzra hai waqt apna,
wasl ka intizaar hai ab mujhay,
kaash meri umeedon ki roshni,
bujhaday sadiyon say bujha hua chirag,
suraj ki roshan kirnon ki tarah,
chaand ki madham chamak ki tarah,
ik patah darakht say gira hua,
khizaan kay mausam ki aamad hai,
ab kahan aik haseen manzar ki talash mujhay.


shair


dasht-e-veeran ka thikana nahin sakit,
rok lo isay fasla abhi baqi hai.


shair


shikasta dil mahoo hai ru-e-rooh mein,
pewasta hai hijr-o-wasl meray lahoo mein.
these were some of my poems and verses I wrote back in high school, I hope you liked them.