Apnee sochoon ke andheron main
safar karti hoi
Zehn per apne khayalaat ka
boajh liyee
Phir rahi hoon barri bojhal
bojhal
Sochtee hoon meri sochoon
ka yeh tareek safar
Jaane kab khatm ho
,Kaash ik doar naya aajae
Meri taqdeer ke aangan main,
Sahar kar jaae
jalti
bujhti dhoob mein sard hawaa mein rahna sikh liya
us se pichar ke hijar ka ik ik mausam sahnaa sikh liya
sahil
sahil tukraa ke jab choor huwe to hum ne bhe
dariyaa ki lahroon men lahreen ban kar bahnaa sikh liya
apna
dukh bas apna dukh hota hai ye jaan liya
apne aap se apni sarii bateen kahnaa sikh liyaa
nayi
nawelli tanhai ki banheen daal ke bahoon mein
raat gayee tak naher kinaare bethe behte rahnaa sikh liya
|