Abhi ghar najana
Abhi ghar na jana abhi ghar na jana
e' bhikri si zulfen e'pehla sa kajal
e' phika sa gajra e'simta sa acchal
tere haal se log pehchanlenge
tuje dekh kar sab muje jan lenge
muje jan lenge

Ye behke khadam ladkhadati jawani
ye betab dil aur mohabbat diwani
shapak jaise galon pe ubhri hui hai
mere hont ki ek mehekti nishani
tere jism se udtileri ye khushboo
sunadegi har ek ko sari kahani
na banjaye apna milan ek fasana milan
milan ek fasana

Jo puchega koyi to tum kiya kahogi
sawalon ki bochar me chup rahogi
pareshan ghabrayisi khamoshi me
jawano ki manzil bahut door hogi
buzurgon ki aahen udadegi rangat
saheli ke tane kaha tak sahogi
na banjaye khudjal har ek bahana
har ek bahana

Khuda na kare tere bin ab jiyun main
ye dunyan to kiya hai ke jannat la nu main
tere ashq main apni ankhon me bharlun
jo mout aaye to tere badle marun main
ye jeewan to kiya hai jo miljaye mujko
to ye chand suraj bhi sadkhe karun main
agar mar gaye phir janam leke aana
janam leke aana

abhi ghar najana abhi ghar najana.