bheege hue lamhoN
Album: Dil ki Baat/My Favourite Hits
Poet: Ibraheem Ashk
Music: Hariharan
bheege hue lamhoN ka ehsaas chura le ja
daulat ye mere dil kee chupke se uTHa le ja
tu ham se KHafa kyooN hai, tu ham se juda kyooN hai
ik pal ke liye aaja, sadiyoN ka maza le ja
ye rasm nibhaane meiN tera hee bhala hoga
maiN phool hooN tu meree KHushboo hee uDa le ja
aaNsoo nahee CHalkeN to rone ka maza kya hai
kar aur sitam mujh pe, ya apnee saza le ja
Glossary
lamhoN = moments
ehsaas = feeling/emotion
KHafa = displeased/angry
juda = apart
pal = a moment
sadiyoN = centuries
rasm = convention/an established practice
sitam = injustice
saza = punishment
Contributed by: Nalini