Daayam paDa hua
Album : Visaal
Poet: Asadullah Khan Ghalib
Music: Hariharan
Daayam paDa hua tere dar par naheeN hooN maiN
KHaak aisee zindagee pe ke patthar naheeN hooN maiN
Yaar-ab zamaana mujhko miTaata hai kis liye
Loh-e-jahaaN pe harf-e-muqarrar naheeN hooN maiN
KyooN gardish-e-mudaam se ghabra na jaaye dil
Insaan hooN pyaala-o-saagar naheeN hooN maiN
Had chaahiye saza meiN uqoobat ke vaaste
AaKHir gunaahagaar hooN, kaafir naheeN hooN maiN
Glossary
visaal = meeting
daayam = eternally
KHaak = dust/ashes
loh-e-jahaaN = stone/tablet of existence
harf-e-muqarrar = repetitive words
gardish = misfortune
mudaam = eternal
uqoobat = punishment/torment
kaafir = irreverent/non-believer
Contributed by: Nalini