ghar CHoD ke
Album: Sukoon
Poet: Mumtaz Rashid
Music: Hariharan
ghar CHoD ke bhee zindagee hairaaniyoN meiN hai
sheheroN ka shor dasht kee veeraaniyoN meiN hai
kitna kaha tha us se ke daaman sameT le
ab vo bhee mere saath pareshaaniyoN meiN hai
leheroN meiN DHooNDta hooN maiN khoye hue nageen
cheheroN ka aks behte hue paaniyoN meiN hai
Darta hooN ye bhee vaqt ke haathoN se miT na jaaye
halkee see jo chamak abhee peshaaniyoN meiN hai
Glossary
sukoon = peace
hairaaniyoN = perplexities
dasht = wilderness
veeraaniyoN = ruins
daaman sameT = disassociate/withdraw
pareshaaniyoN = distress
leheroN = waves
aks = reflection
chamak = glitter
peshaaniyoN = fate (as traceable in the lines of the forehead)
m
Contributed by: Nalini