MaiN KHayaal hooN kisi aur ka
Album: My Favourite Hits/Saptarishi
Poet: Salim Kausar
Music: Hariharan
MaiN KHayaal hooN kisee aur ka
Mujhe sochta koi aur hai
Sar-e-aaina mera aks hai
Pas-e-aaina koi aur hai
MaiN kisee ke dast-e-talab meiN hooN
To kisee ke harf-e-dua meiN hooN
MaiN naseeb hooN kisee aur ka
Mujhe maangta koi aur hai
Kabhee laut aaye to poochna
NaheeN dekhna use GHaur se
Jinhe raaste pe khabar huee
Ke ye raasta koi aur hai
Tujhe dushmanoN kee khabar na thee
Mujhe dostoN ka pata na tha
Teree daastaaN koi aur thee
Mera vaakaya koi aur hai
Glossary
Sar-e-aaina = in front of the mirror
Aks = reflection,
Pas-e-aaina = behind the mirror
Dast-e-talab = want/crave
Harf-e-dua = words of prayer
Naseeb = destiny
DaastaaN = tale
Vaakaya = experience
Contributed by: Nalini