KyooN hameiN maut ke paiGHaam
Album : Visaal
Poet: Shamim Jaipuri
Music: Hariharan
kyooN hameiN maut ke paiGHaam diye jaate haiN
ye saza kam hai ke jiye jaate haiN
nasha donoN meiN hai saaqee mujhe GHam de ya sharaab
mai bhee pee jaatee hai aaNsu bhee piye jaate haiN
ek tu hai ke hamaaree naheeN tujhko parva
ek ham haiN ke tera naam liye jaate haiN
zindagee apnee kashaakash meiN guzartee hai Shamim
jee naheeN chaahata jeene ko, jiye jaate haiN
Glossary
visaal = meeting
paiGHaam = message
mai = wine
kashaakash = conflict/struggle
Contributed by: Nalini