muddatoN baad
Album: Jashn
Poet: Qaiser-Ul-Jaferi
Music: Hariharan
muddatoN baad vo soorat jo dikhaaee dee hai
dil kee dhaDkan mujhe aaNkhoN se sunaaee dee hai
shaam se jaag rahee haiN vo nidaasee aaNkheN
Doobte chaaNd ne khiDkee se baDHaaee dee hai
us janam meiN bhee mulaaqaat kee ummeed naheeN
is janam ne to janam bhar kee judaaee dee hai
hamne pehle bhee ye KHwaaboN ka safar dekha hai
dhoop itnee thee ke sehra ne duhaaee dee hai
Glossary
jashn = celebration
muddatoN = lifetime
baDHaaee = good wishes
ummeed = hope
judaaee = separation
sehra = desert
duhaaee = cry for mercy
Contributed by: Nalini