sharaab la sharaab de
Album: Dil Nasheen/The Very Best of Hariharan Ghazals/Hariharan in Concert
Poet: Ibraheem Ashq
Music: Hariharan
tujhe qasam hai saaqiya, sharaab la sharaab de
uTHa suboo nazar mila, sharaab la sharaab de
har ek aisa jaam ho, ke jis pe tera naam ho
tu apne naam kee pila, sharaab la sharaab de
na dil meiN koee GHam rahe, na meree aaNkh nam rahe
har ek dard ko miTa, sharaab la sharaab de
bohat haseen raat hai, tera haseen saath hai
nashe meiN kuch nasha mila, sharaab la sharaab de
suroor hai, KHumaar hai, bahaar hee bahaar hai
magar zara ai dilruba, sharaab la sharaab de
Glossary
dil nasheen = someone dwelling in one's heart
saaqiya = beloved
suboo = glass/cup
jaam = (wine) goblet
nam = moist
haseen = beautiful
suroor = joy
KHumaar = intoxication
bahaar = spring/glory
dilruba = sweetheart
Contributed by: Nalini