taDap uThooN
Album: paighaam
Poet : Ahmed Faraz
Music: Hariharan
taDap uThooN bhee to zaalim teree duhaaee na dooN
maiN zaKHm zaKHm hooN, phir bhee tujhe dikhaaee na dooN
tere badan meiN dhaDakne laga hooN dil ki tarah
ye aur baat ke ab bhee tujhe sunaaee na dooN
khud apne aapko parkha to ye nadaamat hai
ke ab kabhee use ilzaam-e-bevafaaee na dooN
mujhe bhee DhoonD kabhee mehv-e-aaina-daari
maiN tera aqs hooN lekin tujhe dikhaaee na dooN
Glossary
paiGHaam = message
zaalim = cruel
zaKHm = wound
duhaaee = cry for mercy
parkha = examined
nadaamat = regret
ilzaam-e-bevafaaee = accusation of betrayal
mehv = wrapt/distracted
aaina-daari = one holding the mirror
aqs = reflection
Contributed by: Nalini