ye tajurba
Album: Paighaam
Poet: Mazhar Inam
Music: Hariharan
ye tajurba bhee karooN, ye bhee GHam uTaaooN maiN
ke KHud ko yaad rakhooN, usko bhool jaaooN maiN
farebkaar meiN kuch to hai, koi baat to hai
ke jaan-booj ke itne fareb khaaooN maiN
vo shaqs hai ke naseem-e-sahar ka jhoNka hai
bikhar hi jaaooN jo usko gale lagaaooN maiN
khabhee to ho mere ehsaas kamtaree meiN kamee
kabhee to ho ke use khul ke yaad aaooN maiN
Glossary
tajurba = experiment
farebkaar = fraudulence
shaqa = person
naseem-e-sahar = dawn's gentle breeze
Contributed by: Nalini