| Jai Ganesh Jai Ganesh Jai Ganesh Deva | |
| Mata jaaki Parvati pita Mahadeva | | Ladduan ka bhog lage santan kare sewa || Jai...|| |
| Ek dant daayawant char buja dhaari | | Mastak sindhur sohe muse ki savari || Jai...|| |
| Andhan ko aankh det kodhin ko kaya | | Banjhan ko putra det nirdhan ko maya || Jai...|| |
| Har chadhe phool chadhe aur chadhe mewa | | Sab kaam siddha kare Shri Ganesh Dewa || Jai...|| |
| Jai Ganesh Dewa Prabhu Jai Ganesh Dewa | | Vighna vinashak swami sukh sampatti dewa || Jai...|| |
| Parwati ke putra kahao Shankar sut swami | | Gajanand Gananayak Shankar Sut Swami || Jai...|| |