|
ISHQ…..(Pyaar ki ek kahani….a story of love and life…”
Mein deewangi banay deewanoon mein rheta hoon
Mein jhonka banay hawafoon mein pheta hoon
mein paani kay taeez dharoon mein rheta hoon
mein khuwab hoon shaeir hoon
mein har lafz ki taahan kitaagoon mein rheta hoon
mein phool hoon tuo kabhi kaali
mein khushoon ki manad gulistan mein rheta hoon
meri khaqeetat bhi hai kuch es tarhan
mein gham kay afsanoon mein rheta hoon
mein chayoon banta hoon tuo kabhi
tappish ki tarhan sehrayon mein rheta hoon
kabhi hota hoon mein chandni kay satth kabhi
roshni ki tarhan taroon mein rheta hoon
bhool jatay hain jo tareekh jeewan ko
mein mast un mastanoon mein rheta hoon
jo badnaam hain sadyoon say yahan
mein badnaam un mehkhanoon mein rheta hoon
kabhi mann mein basta hoon mein tuo
kabhi suuni nighahon mein rheta hoon
mein dil ki tamnayon mein basta hoon
mein dil ki har sadaa mein rheta hoon
kabhi
andheroon mein bhatakta hoon
kabhi sang e tanhayi weeranon mein rheta hoon
kabhi benaam ilfaaz say yaad kartay hain log
kabhi labon ki duwayon mein rheta hoon
mujhe mehsoos karnay walay kartay hain mehsoos
mein mehaki huai baharon mein rheta hoon
mujhe samjhay tuo samjhay koi
mein pyaar ki dastanoon mein rheta hoon
Kabhi
tootta hoon mein khuwab ki tarhan
Kabhi devtayoon ki tarhan aasmanoon mein rheta hoon
Zamanay walay tuo aksar khetay hain yeh
Mein bekhabar hoon beganoon mein rheta hoon
Mujhe phoolon ka bistar milta hai kabhi
Mein tuo aksar kantoon mein rheta hoon
Kabhi khushyon kay mausam mein basta hoon
Kabhi dard ki pannahon mein rheta hoon
Kabhi sham kay rang mein rangta hoon mein
Kabhi tanhayee kay aashiyanon mein rheta hoon
Mein kiya aur zikar karoon
Mein kiya aur beyan karoon
Waise tuo mera jeewan ek khuli kitaab hai
Mein ISHQ hoon aashiqon mein rheta hoon
|