1.Dil ka zakham zuban per laya nahin kartay
Hum apni ankhon say aansuu bahaya nahin kartay
Zakham kitnee gehray kyun na hoon
Hum apnay hontoon say muskarahat hataya nahin kartay
2.jinko rahe dhoondte dar-bader...
vo dil ke reh numa nikle...
ab tanhaii hum se nahi katt ti..
vo mile to humari jaan nikle...
3.Dil Ko Manana Gar Hota Aasaan
Na Karta Kisi Ko Yu Ye Pareshaan
Tanha Na Rehta Bhari Mehfil Mein
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Beyaan
4.Aansoon ko aankhon ki dehleez par laya na karo
Apne dil ki haalat kisi ko bataaya na karo
Log muthi bhar namak liye ghooma karte hain
Apne Zakham kisi ko dikhaaya na karo
5.Woh To Khushbu Hai, Hawaon Main Bikhar Jayega
Masla Phool Ka Hai, Phool Kidhar Jayega
Hum To Samjhe The Ke ik Zakham Hai Bhar Jayega
Kya Khabar Thi Ke Rug-E-Jaan Main Utar Jayega
6.Apna gum kya kum hain,Jo aapka gum bhi hum karein
Zindagi ka shiqwa kya kum hai,Jo dil-lagi ka jurm bhi hum karen
7.Dard kya hai, yeh humse poocho
Ke yaaro, hum dil ke maare hain
Pyaar kiya tha humne phool jaan kar
Unhon ne to pathar mare hain
8.Ashq Mile To Pee Lete Hain
Aap Kahe To Mar Jayen Hum
Aap Kahe To Jee Lete Hain
Hum To Hain Un Phoolon Jaise
Jo Kaaton Main Bhi Jee Lete Hain
9.Mera Ikraar Tere Inkaar Se Behatar Hoga
Mera Din Bhi Teri Raat Se Behatar Hoga
Yakeen Nahin To dollee Se Jhankke Dekhna
Mera Janazaa Teri Baaraat Se Behatar Hoga
10.Aapka har sitam seh lethe hai hum
Aapka har gham pee lethey hai hum
Aapka pyar mil jaye isi intezaar mein
Zindagi yoon hi jee lethey hai hum
