
1.Gum hi gum hain duniya mein,
kushi humko raas nahin,
yeh dil jinpe marta hai,
unke milne ki aas nahin.
2.dil na milte to mulakat adhuri rehti
baat to hoti magar baat adhuri rehti
shukriya tera,tere aane se ronak to badhi
nahi to yeh mehfil ek jasbat ki tarah adhuri rehti
Shukria tera tune apne daman mein chupaye mere aansu,
nahi to in annkho ki barsaat adhuri rehti
3.Zindagi jaise ek sazaa si ho gai hai ,
Gum ke sagar mein is kadar kho gai hai ,
Tum aa jaao vapis yeh gujaarish hai meri ;
Shaayad muje, Tumhaari aadat si ho gai hai...
4.Lekar hum duusroo ki hasi kya kare,
jo aapni naa ho wo khushi kya kare,
tanha rehne se to bahetar ke mar jaaye hum,
sang tu nahi to zindgi jeekar kya kare
5.Ek hi shehar mein rehte hain
phir bhi mil nahin paate hain
tumse to tumhare khwaab ache hain
jo aankh band karte hi chale aate hain.
6.Safar zindagi ka kate kisi bahane se,
humein siva gam ke na mila kuch zamane se,
yeh aur baat hai ki waqt juda kar deta hai
varna pyar mit ta nahin kisi ke mitane se...!
7.Ehsaans-e-judaai ko mita kyon nahi lete,
Dil main meri tasweer sajaa kyon nahi lete,
Tum hi to ho kehtay hai jisay log MAseeha,
To Beemaar ko marne se bachaa kyon nahi lete.
8.Aarzoo ab jine ki zyada nahi hai,
magar marne ka bhi koi irada nahi hai,
kya tumko yaad dilaon tumhari kasmein,
jab yaad tumko apna koi waada nahi hai.
9.Nigahein milakar kiya dil ko jakhmi
Aadayen dikhakar sitam dha rahe ho
Mohabbat ka kya khub badla diya hai
tarapata hua chor kar ja rahe ho
10.kab khayal unka dil mein nahi hota
kab dard dil se judaa nahi hota
kuch toh majbureeyan rahen hoge unki bhi
bhala yun he to koi bewafa nahi hota.
