1.Shamma Jalti hai , Parwaane chale Aate hain
Sar ke Bal ISHQ ke Deewaane chale aate hain
Ab to Aa jaao meri jaan, ke Janaaza uthne ko hai
Log to ghairon ko bhi dafnaane chale aate hain

2.Aasmaan aaj phir se roya hai,
Naakaam Aashiqon ke haar mein ek aur moti piroya hai,
Koi to bataaye kahan mera mehboob khoya hai,
mohabbat ki kabr mein mera yeh pyaar soya hai.

3.In haseeniyon se pyaar kya karna...
In adayon se pyaar kya karna...
Yeh Zakhm de kar hasa karti hain....
In bewafayon se pyaar kya karna

4.Teri bewafa hone ka pata tha mujhe,
Par behaya bhi hai is se hum anjaan the.
Teri bholi surat pe kai baar qurbaan huye hum,
Shayad dil masoom tha hum nadan the

5.Teri ankhon ki kashish khinch laya hai mujhe tere paas,
Tere pyare pyar ko pane ki hai mujhko aash,
gar tune mujhe dil mein basa liya,
kabhi tutne na doonga tumhara vishwas

6.Main tujhko bhi khatavaar kyon kahuu,
mere naseeb mein tera pyaar na tha,
apne-aap ko tum doshi mat kehna,
mere yaar tu kabhi bhi gunehgaar na tha

7.Hum to aajma kar dekh chukke 
kabhi koi humko bhi aajmaye to
fir hum batayenge kaise manaya jaata hai,
kabhi koi humse bhi ruth jaye to.

8.Sine se jalan mitaye nahi mit-ti,
Tasveer teri dil se hataye nahi hat-ti,
pyaar ki aag ka andaaj bhi niraala hai,
lag jaye to fir bhujaye nahi bhujhti.

9.Main tere ishq mein kitna badnaam hua
fir bhi chahto ka safar nakaam hua
zindgi kho gayi tujhse bichadkar kahin
kitna mashoor tha main magar gumnaam hua

10.Door jaa raha hu tere bedard shaher se,
ab kabhi na guzrunga teri raah-guzar se,
kafila lut gaya dilbhar ki saajish se,
main pyaar se marra hu na ki zehar se

                                                                                          

                                                                           

                                                               

Welcome to Goldy's Website

The trouble is not so much dying for a friend, it is finding a friend worth dying for - Unknown