1.kiya khaber tum ko dosti kiya hai.......
ye roshni bhi hai, andhera bhi,
khoahishon se bhara jazeera bhi,
bohat anmool ek heera bhi,

dosti ek haseen khawab bhi hai,
paas se dekh lo,saraab bhi hai,
dookha milne pe ye azaab bhi hai,
aur ye pyaar ka jawaaz bhi hai,

dosti yon tua maya jaal bhi hai,
jo aya phans gaya,wabaal bhi hai,
ek haqeeqat bhi hai,khayal bhi hai,
kabhi foorqat kabhi wisaal bhi hai,

dosti jhoot bhi hai,sach bhi hai,
kabhi zamee,kabhi falaq bhi hai,
do dilon mein chupi tarap bhi hai,
dil mein reh jaye tua kasak bhi hai,

dosti saaz bhi sangeet bhi hai,
sheir bhi ,nazam bhi hai,geet bhi hai,
naumeedi kabhi umeed bhi hai,
kabhi ye haar hai, kabhi jeet bhi hai,

wafa kiya hai,wafa bhi dosti hai,
dil se nikli dua bhi dosti hai,
bas itna samaj lo,
pyaar ki intehaa bhi dosti hai,

2.dosti tao sirf ek itefaq hai,
ye tao do dilon ki mulakat hai,
dosti nahi dekhti yeh din hai ki raat hai,
ismein to sirf wafadari aur jazbaat hai.

3.Khali dil izhaar ke kaabil na raha
koi bhi pyaar ke kabil na raha
dil mein bas gayi dosti teri
ab to chaand bhi dedaar ke kabil na raha

4.Mere dukh ki koi dawa na karo,
Mujhko mujhi se abhi juda na karo,
Yeh sikhaya hain dosto ne hume, 
Dost Bankar kabhi wafa na karo.

5.Gul gulzaar main hua karte hain
phool khusboodaar hua karte hain
kabhi yeh soch ke pyaar mat karna
ki sabhi dost wfadaar hua karte hain

6.Dosti to sirf eak etphak hai,
ye to dilo ki mulakat he.
dosti nahi dekhti ke ye din hai ki raat he,
isame to sirf vfadari aur jasbaat he. 

7.dosti ke bhi kuch andaaz hote hai,
jagti ankhon may bhi kuch khwab hote hai ,
zaroori nahi ki gum may aansu nikle,
muskurati ankhon may bhi saailab hote hain.

8.Bahar me ek phool nkila hai,
Zindagi ka bas yahi sila hai,
Khushnaseeb hain hum jo,
Aap jaisa dost hume mila hai.

9.Pyaar karnewalo ki kismat buri hoti hai
har mulakat judaai ki ghadi hoti hai
Waqt mile to rishto ki kitab padh lena
Dosti khoon ke rishto se badi hoti hai

10.Har tarah ke sikhwo ko seh lete hain
Zindgi ko yu hi jee lete hain
mila lete hain jinse haath dosti ka
un haatho se fir zehar bhi pee lete hain

11.Kahi ankahi batton ki ada hai dosti.
Her ranjo gam ki dawa hai dosti
Zameen per kami hai pooja kerney waloon ki,
Warna is zameen per khuda hai dosti.

12.Har raat ko Chand ka shingar nahi milta,
Har Bagh ko phool ka dulaar nahi milta,
Maine bhi duniya dekhi hai dost,
har insaan ko tere jaisa yaar nahi milta..!!


                                                                            

                                                                                                                     

Welcome to Goldy's Website

The trouble is not so much dying for a friend, it is finding a friend worth dying for - Unknown