
1.Daastaan-e-gum dil ki unko sunaii na gayi
baat bigdii kuchh aise ki banaii na gayi
Sab ko hum bhool gaye josh-e-junoon mein lekin
ek teri yaad thi aisi ki bhulaai na gayi
Ishq par kuch na chalaa didar-e-yaar ka jaadoo
usne jo lagaayi aag woh bujhaai na gayi
2.Tere dar se jab uth ke jaana parega
khud apna janaza uthana paRega
Bhale se mere gam na hoon un pe zaahir
jab aayenge vo to muskurana parega
3.Tera dewaana hu inkaar nahi
Kaise kehdu ki tujse pyaar nahi
Kuch shrarat teri aankho ki bhi hai sanam
Main akela to gunehgaar nahi
4.Yu achaanak se aa jaati ho saamne
ki main kuch bhi keh paata nahi
kya karu tere husn ke sajde main
ki koi shayer bhi yaad aata nahi
5.Surat teri na dekh kar kab tak sabar karu
aankhein to band kar lu par is dil ka kya karu
6.Jlaate hain hum apne dil ko diye ki tarah
teri zindgi mein khushiyo ki roshni laane ke liye
seh jaate hain har kaaton ki chubhan apne pairo mein
teri raahoo mein phool bichaane ke liye
7.Har raat raahoo mein chiraag jlaate hain hum
apni nazroo ko rahoo mein bichaate hain hum
Yu to arsaa beet chuka intzaar karte-karte
tum kabhi to aayoge yeh sochkar dil behlaate hain hum
8.Dbaa lete hain dil mein vo apne jazbaat yaroo
Band kar lete hain lab karni ho jab mulaqaat yaroo
Mulaqaat ke din na jaane kitne nikal chukke
Rok lete hain kadam jab karni ho mulaqaat yaroo
9.Aap muskuraate hue he achhe lagte ho
Aap hamesha hee aise muskuraaya karo
Maza aata hai hume aapko staane mein
Magar aap rooth kar maan jaaya karo
10.Mere pass na aa kar hai mujko tadpana aapka
door khade ho kar hai vo muskurana aapka
dekh lena jaa meri lelega ek din
vo palke utha kar hai phir jhukana aapka
