1.Tassavur mein mere aakar,aankho mein aansoo bhar jaate ho tum
Khwaaboo mein mere aa kar mujhko bohat staate ho tum
Kehte hain log ki shraab pee kar, bhulla sakte ho har kissi ko
Magar jab bhi pee lete hain hum, Aur bhi yaad aate ho tum

2.Yu to lakho hain haseen is duniya mein
tum jaisa koi is jmaane mein nahi 
kitne hii jaam yu to peete hain roz hii
teri aankho ka nasha magar kissi paimaane mein nahi

3.Mat pooch yaar ke kitni pee hai humne....
teri aankhon ki suroi mein zindgi dubo di hai humne,
ab kanch ke pyalon se hame kya lena..
tere hontho se peene ki kasam kha li hai humne....

4.Baad muddat unheN dekh kar yooN laga 
jaise betaab dil ko qaraar aa gaya 
aarzoo ke gul muskuraane lage 
jaise gulshan meiN bahaar aa gaya 
tishna nazrieN mili shokh nazroN se jab 
may(sharaab) barasne lagi jaam bharne lage 
saaqiyaa aaj teri zaroorat nahiN 
bin piyee bin pilaaye khumaar aa gaya 
raat sone lagi subah hone lagi 
shamma buJhne lagi dil machalne lage 
waqt ki roshni meiN nahaayee huyi 
zindagi pe ajab sa nikhaar aa gaya 

5.zulf ne bal khaya to bura maan gay.
chand badli main jo aaya to bura maan gay.
sab ko pila rahay thay mast aankhon say
hath humne jo brahya to bura maan gay. 

6.Mein Sharabi Hoon, Is Sharab Ko Chodu Kaise,
Gham Bhulati Hain Ye Botal, Ise Todu Kaise,
Dil Pyasa Hain Mera, Pi Ke Ye Botal,
Mein Pareshan Hoon, Botal Ko Nichodu Kaise.

7.baadalon se salaam leta hoon ,
wakt ke haath thaam leta hoon,
maut ruk jaati hai pal bhar ke liye ,
jab mein hathon mein jaam leta hoon 

8.Khatm hote' nahiN yeh chashm-e-tar ke paimaane!!!! 
Teri mast nigaahoN se ubhar aooN tau kya!!!!!
Kehte hai ki aarzooN kabhi khatm hoti nahiN!!!!!!
Teri aarzooN meiN maiN mar jaooN tau kya!!!!!!!!!

9.lufzooN mein fusaanay dhoondtay hein hum log 
lumhooN mein zamaanay dhoondtay hein hum log 
tau zeher hi de sharaab keh ker saqi 
jeenay ke bahaanay dhoondtay hein hum log

10.apne mekhane ki ajmat ko bachaye rakhiye,
jaam khali hi sahi hotho se lagaye rakhiye.
log be baat ka afsaana bana dete hain 
aap mehfil mein nazar humse churaye rakhiye.

11.Koi nahi tere jaisa zamane mein.
Ab to wo nasha bhi na raha maikhane mein,
Kitna imtehaan loge meri deewangi ka,
Koi kasar tumne na chodi aazmane mein 

12.hum un ashiqu mein se nahee 
jo ashiqee ka ashiqana na samjhe,
vo ashiq- ashiq hee kiya
jo apnee mashuk ki aakhon ko mahkana na samjhe...

13.Teri masti bhari aankho ko main kya kahu,
jinse pee thi humne beintehaa shraab jaanam
Gar ek jhalak dekh le to behoos ho jaaye
Jis khuda ne bhi bnaaya tera shbaab jaanam.

14.Kitna mayoos hai dil aap ke rooth jaane se
nahi bahalta hai dil kissi ke behlaane se
saaki aur sagar choot gaya mre hathoo se
ab to hii pila de apni aankho ke maikhane se

15.Utni to hum pi ke  chod dete hain paymaane mein
aap jitni pii nahi paate maikhane mein
utni lagi reh jaati hai humare pyaalo se
aap jitni jhel nahi paate khyaalo mein.

16.Kon kehta hai ki shraab buri cheez hai
tute dil ko zodne ki yeh sabse achi tarkeeb hai

17.Tera dewaana hu inkaar nahi
Kaise kehdo ki tujse pyaar nahi
Kuch shrarat teri aankho ki bhi hai sanam
Main akela to gunehgaar nahi

            

                                                                       

                                                                

 

Welcome to Goldy's Website

The trouble is not so much dying for a friend, it is finding a friend worth dying for - Unknown