Ek teri khushboo bhi hamein tadpaati rahi,
Jab bhi kari koshish tujhe bhulane ki..
Woh yaad teri dilaati rahi.
Aankhen khuli to chehra tumhara ho,
Aankhen band ho to sapna tumhara ho,
Hame marna manzoor hoga agar
kafan ki jagah dupatta tumhara ho.
Zindagi kya koi nisaar karey,
Kisse duniya mein koi pyaar kare,
Jab Apna Saaya hi ho apna dushmann,
To kaun ab kiska etbaar kare.
Chaho to dil se hume mita dena
Chaho to dil se hume bhula dena...
Par vaada karo ae dost
Jab bhi aaye yaad hamari to rona matt buss muskura denaa..
Mushqil nahi hai ishq ladana,
Usse bhi asaan hai kisi ka pyar paana.
Fir bhi darte hain hum ishq ladane se,
Kyunki sabse mushqil hai use bhula paana
Dhadkan bankar rahe hain,
voh hamare dil ke aashiyane mein..
Lag jaayengi humein mein sadiyan,
unhen dil se hataane mein..
Humne socha tha shayad hum hi chahte hai aapko,
par tumhe chahne waala to kafila nikla,
dil ne kaha shikayat kar khuda se,
par wo khuda bhi tera chahnewala nikala.