--MALE-- 
Hum logon ko samajh sako to - 2 
Samjho dilbar jaani 
Jitna bhi tum samjhoge 
Utni hogi hairaani 
Hum logon ko samajh sako to 
Samjho dilbar jaani 
Jitna bhi tum samjhoge 
Utni hogi hairaani 
Apni chhatri tumko dede 
Kabhi jo barse paani 
Kabhi naye packet mein beche 
Tumko cheez puraani 
Phir bhi dil hai hindustani - 4 

(Thode anaari hai thode khilaadi 
Ruk ruk ke chalti hai apni gaadi) - 2 
Hamein pyaar chaahiye aur kuch paise bhi 
Hum aise bhi hai hum hai vaise bhi 
Hum logon ko samajh sako to 
Samjho dilbar jaani 
Ulti seedhi jaisi bhi hai 
Apni yahi kahaani 
Thodi hum mein hushiyaari hai 
Thodi hai nadaani 
Thodi hum mein sachaayi hai 
Thodi beyimaani 

--CHORUS-- 
Phir bhi dil hai hindustani - 4 

--MALE-- 
(Aankhon mein kuch aansu hai kuch sapne hai 
Aansu aur sapne dono hi apne hai) - 2 
Dil dukha hai lekin toota to nahin hai 
Umeed ka daaman chhoota to nahin hai 
Hum logon ko samajh sako to 
Samjho dilbar jaani 
Thodi majboori hai lekin 
Thodi hai manmaani 
Thodi tu tu main main hai 
Aur thodi kheecha taani 
Hum mein kaafi baatein hai 
Jo lagti hai deewani 
Phir bhi dil hai hindustani - 4 

--CHORUS-- 
Dil hai hindustani 
Phir bhi dil hai hindustani - 3

Courtesy of Bollywood lYriCs