Back to Index
%
\startsong
\stitle{kis tarah bhuulegaa dil unakaa Kayaal aayaa huaa}%
\film{Village Girl (1945)}%
\starring{Noor Jehan}%
\singer{Noor Jehan}%
\music{Shyam Sunder}%
\lyrics{Wali Saheb}%
%
% Contributor: Hrishi Dixit
% Transliterator: Hrishi Dixit
% Date: October 8, 1999
% Credits:
% Editor:
% Comments: Geetanjali Series
%
\printtitle
#indian
%
kis tarah bhuulegaa dil unakaa Kayaal aayaa huaa
jaa nahii.n sakataa kabhii shiishe me.n daaG aayaa huaa
o ghaTaa kaalii ghaTaa ab ke baras tuu naa baras \-2
mere priitam ko abhii pardes hai bhaayaa huaa \-2
kis tarah bhuulegaa dil \threedots
aa chaman se he~e~e \threedots
aa chaman se duur bulabul jaake roye saath saath
teraa dil bhii choT hai merii tarah khaayaa huaa \-2
kis tarah bhuulegaa dil \threedots
Kush rahe duniyaa me.n vo jisane hai to.Daa dil meraa \-2
de rahaa hai ye duaa aa.Nkho.n me.n ashk aayaa huaa \-2
kis tarah bhuulegaa dil unakaa khayaal aayaa huaa
%
#endindian
\endsong
%
Back to Index