Artist: Nusrat Fateh Ali Khan
Album: Live In Paris
Title: Ghazal O Echanson, Je Boirai Meme Ta Colere
Genre: Ethnic/Folk
Lyrics/Poet: Shafai Qateel
Length: 14:55
Comment: Live in Paris
Others: Version From Chilman (with English Translation): Click Here...

Hum Apni Shaam Ko...

Aaa

Sir Jiss Pay Na Jhuk Ja'ay Usay Dar Nahi Kehtay
Her Dar Pay Jo Jhuk Ja'ay Usay Sir Nahi Kehtay

Kiya Tujh Ko Jahan Walay Sitamgar Nahi Kehtay
Kehtay To Hein Laikin Tere Moun Per Nahi Kehtay

Kaabe Mein Her Ik Sajday Ko Kehtay Hein Ibadat
Maikhane Mein Her Jaam Ko Sagar Nahi Kehtay

Kaabe Mein Musalman Ko Bhi Keh Daite Hein Kaafir
Maikhane Mein Kafir Ko Bhi Kafir Nahi Kehtay

Apne Dil E Sadchaak Ko See Sakta Hoon
Mehroom E Karam Ho Ke Ji Sakta Hoon

Mouqoof Nahi Jaam Pay Rindi Meri
Saqi Tere Ghussay Ko Bhi Pe Sakta Hoon

Mujh Ko Tasleem Hai Sharabi Hoon
Phir Bhi Fitrat Ajeeb Paaye Hai

Mein Nazar Say Sharab Peeta Hoon
Meri Rindi Bhi Parsayi Hai

Fikr E Sood O Zayaan To Chotay Gi
Minnat E Een O Aan To Chootay Gi

Khair Dozakh Mein Mai Milay Na Milay
Shaikh Sahib Say Jaan To Chootay Gi

Hum Apni Shaam Ko Jab Nazr E Jaam Kartay Hein
Adab Say Hum Ko Sitaray Salaam Kartay Hein

Saja'ein Kiyoon Na Isay Yeh Sara'ay Hein Dil Ki
Yahaan Haseen Musafir Qayaam Kartay Hein

Gale Lagaatay Hein Dushman Ko Bhi Suroor Mein Hum
Bahut Buray Hein Magar Naik Kaam Kartay Hein

Woh Jin Ko Daikh Ke Dil Mein Khuda Ki Yaad Aa'ay
Hum Un Butoon Ka Bara Ihtaram Kartay Hein

Hayaat Baich Day Thoray Say Pyaar Ke Badlay
Yeh Kaarobaar Bhi Tere Ghulaam Kartay Hein

Hamein Bus Aik Nazar Say Nawaaz Ey Saqi
Hum Apnay Hosh O Khirad Tere Naam Kartay Hein

Qateel Kitnay Sukhan Saaz Hein Wo Sannatay
Sukoot E Shab Mein Jo Hum Say Kalaam Kartay Hein

Hum Apni Shaam Ko Jab Nazr E Jaam Kartay Hein...


back to nfak page: Click Here

pardon the errors
Feel free to E-Mail Me for anything
roOq Karachiite :)