Artist: Fareed Ayaz (Ustad Fareed Ayaz and Humnawa)
Title: khabar e tahayyur e ishq sun (listen to the news of amazement of love)
Album: Live performance at BBCUrdu.com
Genre: Qawwali
Poet/Lyrics: Siraj Aurangabadi
Length: 9:34
English Translation: none
Comments: from bbc one hour live performance... (Listen at 36:26)

Khabar E Tahayyur E Ishq Sun
(listen to the word of amazement of love)


Intro Harmonium

Aaa

kuch kahoon to kaha nahi jata, na kahoon to raha nahi jata
khabar e taghayyur e ishq sun, na junoon raha na pari rahi

Aaa

//hum husn ko ba'hadde nazar dekhte rahay
//mushkil thi taab e deed magar dekhte rahay (kya dekha?)

//unki hareem e naaz kahan aur hum kahan
//naqsh o nigaar e pardah o dar dekhte rahay

//naqsh o nigar o pardah o dar sub faraib tha
//yeh jaante thay phir bhi udhar dekhte rahay

khabar e tahayyur e ishq sun, na junoon raha na pari rahi
na tou tu raha na tou mein raha, jo rahi so bekhabari rahi

khabar e tahayyur e ishq sun, na junoon raha na pari rahi
na to tu tuu raha na tou mei mein raha, bus jo rahi so bekhabari rahi

chali samt e ghaib se ik hawa, ke chaman suroor ka jal gaya
magar ik saakh e nihaal e gham jisay dil kaheen so hari rahi

**nazar e tagaful e yaar ka gilaa kis zabaan se bayaan karoon
**ki sharaab e sad qadaah aarazuu khum e dil mein thi so bhari rahi

wo ajab ghari thi ke jis ghari, liya dars nuskha e ishq mein
ke kitaab aqal ki taaq per jo dhari thi yoon he dhari rahi

**tere josh e hairat e husn ka asar is qadar se yahaan huwa
**ki na aa'ine mein rahi jila na pari kuun jalvaagarii rahi

keya khaak aatish e ishq nai, dil e benawaa e Siraj ko
na khatar raha na hazar raha, magar aik bekhatari rahi

khabar e tahayyur... Aaa


** = not performed in the qawwali
back to nfak page: Click Here

pardon the errors
Feel free to E-Mail Me for anything
roOq Karachiite :)