Bujhi Hui Shama
Ka
(I am the smoke of an extinguishd candle, and am going towards my grave)
Hum Apni Shaam Ko Jab Nazar E Jaam Kartay Hein
Adab Say Hum Ko Sitaray Salaam Kartay Hein
Saja'ain Kiyoon Na Isay Yeah Sara'ay Hai Dil Ki
Yahaan Haseen Musafir Qayam Kartay Hein
Dil Ko Kaisay Bata Tasalli Doon
Chain Is Ko Agar Nahi Aata
Chashm E Purnam Ko Kaisay Samjhaoon
Is Ko Agar Tu Nazar Nahi Aata
Bujhi Howi Shama Ka Dhuwaan Hoon
Aur Apnay Markaz Ko Ja Raha Hoon
Ke Dil Ki Hasrat To Mit Chuki Hai
Ub Apni Hasti Mita Raha Hoon
Teri Hi Soorat K Daikhnay Ko
Butoon Ki Tasveerin La Raha Hoon
Ke Khoobiyaan Sub Ki Jama Ker Ke
Tera Tasawwar Jama Raha Hoon
Kafan Mein Khudh Ko Chupa Dia Hai
Ke Tujh Ko Parday Ki Ho Na Zehmat
Naqaab Apne Liyeah Bana Ker
Hijaab Tera Utha Raha Hoon
Muhabbat Insaan Ki Hai Fitrat
Kahaan Hai Imkaan E Tark E Ulfat
Woh Aur Bhi Yaad Aa Rahay Hein
Mein Un Ko Jitna Bhula Raha Hoon
Zubaan Pay Labaik Her Nafaz Mein
Jabeen Pay Sajda Hai Her Qadam Pay
Yoon Ja Raha But-Kaday Ko Natik
Ke Jaisay Kaa'bay Ko Ja Raha Hoon
Bujhi Howi Shama Ka Dhuwaan Hoon
Aur Apnay Markaz Ko Ja Raha Hoon
Bujhi Hui
Shama Ka
(Version 2)
Aaa (Sufi Chants)
raat yoon dil mein teri khoyi howi yaad aayi
jaise veerane mein chupke se bahar aa jaye
jaise sehreaon mein haule se chalay baad-e-nasim
jaise beemar ko be-wajhe qaraar aa jaye
kitne badal gaye hein wo halaat ki tarah
jab bhi milay hein pehli mulaqat ki tarah
teri jafa kahoon ke inayat kahoon isay
gham bhi mila mujhe kisi saughat ki tarah
dil mein ghamon ki aag bharakne lagi to hum
roay hein phoot phoot ke basraat ki tarah
hum kya kisi ke husn ka sadqa utarte
ik zindagi mili woh khairat ki tarah
Bujhi Howi Shama Ka Dhuwaan Hoon
Aur Apnay Markaz Ko Ja Raha Hoon
Ke Dil Ki Hasrat To Mit Chuki Hai
Ub Apni Hasti Mita Raha Hoon
Teri Hi Soorat Ke Daikhnay Ko
Butoon Ki Tasveerin La Raha Hoon
Ke Khoobiyaan Sub Ki Jama Ker Ke
Tera Tasawwar Jama Raha Hoon
Kafan Mein Khudh Ko Chupa Liya Hai
Ke Tujh Ko Parday Ki Ho Na Zehmat
Naqaab Apne Liyeh Bana Ker
Hijaab Tera Utha Raha Hoon
Raga
Udhar wo ghar se nikal pare hein
idhar mera dam nikal raha hai
Ilahi kaise hai yeh qayamat
woh aa rahe hein mein ja raha hoon
Muhabbat Insaan Ki Hai Fitrat
Kahaan Hai Imkaan-E-Tark-E-Ulfat
Woh Aur Bhi Yaad Aa Rahay Hein
Mein Unko Jitna Bhula Raha Hoon
//woh aa rahe hein mein ja raha hoon
//rooz kehta hoon bohl jaon unhein
//rooz yeh baat bhol jata hoon mein
//woh aa rahe hein mein ja raha hoon
//woh aa rahe hein mein ja raha hoon
//nahi aati to unki yaad basroon tak nahi aayi
//magar jab yaad aatay hein to aksar yaad aatay hein
//woh aa rahe hein mein ja raha hoon
Zubaan Pe Labbaik Her Nafas Mein
Jabeen Pe Sajda Hai Her Qadam Pe
Yoon Ja Raha But-Kaday Ko Natik
Ke Jaisay Kaabe Ko Ja Raha Hoon...
back to nfak page: Click Here
pardon the errors
Feel free to E-Mail Me for
anything
roOq Karachiite :)