Artist: Rizwan Muazzam Qawwal (Rizwan-Muazzam Qawwali)
Title: In the name of love / Sub. hasratoon-ka... (altr. Sub Hasraton Ka)
Album: Day Of Colours (2004)
Genre: Qawwali
Length: 11:08
Comments: A spiritual love song by Nusrat Fateh Ali Khan's nephews Rizwan Mujahid Ali Khan and Muazzam Mujahid Ali Khan continuing the family lineage...

In The Name Of Love
(Sub Hasraton Ka...)

Aaa
Aaaaaa
Aaaaaaaaaa... (Chants)

Kharoon Se Pochiyeh Na Kisi Gul Se Pochiye
Sadma Chaman Ke Lutne Ka Bulbul Se Pochiye

Badal Gaya Hai Zamana Jo Phir Gayi Hai Nigah
Kisay Khabar Thi Yeh Inqilaab Dekhein Ge

Bismil Ke Lootne Ki Kisi Dil Ko Kya Khabar
Kis Per Churi Yeh Chalti Hai Qaatil Ko Kya Khabar

Aaa
Kiss Per Churi Yeh Chalti Hai Qaatil Ko Kia Khabar

Ghurbat Mein Kaun Lut Gaya Manzil Ko Kya Khabar
Kashti Ke Doob Janay Ki Saahil Ko Kya Khabar

Sub Hasraton Ka Khoon Kiyeh Ja Raha Hoon Mein
Sub Hasraton Ka Khoon Kiyeh Ja Raha Hoon Mein

Sub Hasraton Ka Khoon Kiyeh Ja Raha Hoon Mein
Sub Hasraton Ka Khoon Kiyeh Ja Raha Hoon Mein

Sub Hasraton Ka Khoon Kiyeh Ja Raha Hoon Mein
Ey Ishq Tera Saath Diyeh Ja Raha Hoon Mein 4x

Aaa 1x

Vocables 1x

Jin Ki Nigaah E Naaz Ne Barbaad Ker Dia
Phir Bhi Unhee Ko Yaad Kiyeh Ja Raha Hoon Mein

Vocables ^1x

Marne Ki Kya Hai Mar He Chuka Hoon Hazaar Baar
Ik Teri Yaad Hai Ke Jiyeh Ja Raha Hoon Mein

^ Repetitions

Maqtil Mein Ja Raha Hoon Mei Kiss Aan Baan Say
Unki Nazar Mein Sir Ko Liyeh Ja Raha Hoon Mein

Mujh Ko Nahi Hai Saakhir O Meena Ki Aarzoo
Aankhein Pila Rahi Hein Piyey Ja Raha Hoon

^ Repetitions

//Aankhein Saqi Ki Salamat Mere Dushman Tarse
//Dohre Maikhane Hein Niyyat Meri Bharne Ke Liyeh
//Ham Paraso Ke Mohabbat Hai Hamein Chand Se Kya

//Samander Se Milay Piyasi To Sub Rung
//Bakheelie Hai Yeh Razzaqi Laikin Yeh Yaqeen Hai Ke Teri
//Aankhein Pila Rahi Hein...

Vocables

//Sara Jahan Must Jahan Ka Nizaam Must
//Din Must Raat Must Sahar Must Shaam Must
//Khum Mast Sheesha Must Sabu Must Jaam Must
//Hai Teri Chashm-E-Mast Se Her Khaas-O-Aam Must...

Vocables

Aaa

Vocables

//Aankhein Pila Rahi Hein Piyey Ja Raha Hoon Mein

Ey Rehmat E Khuda Mujhe Apna Nahi Khayal
Tere Liyeh Gunah Kiyey Ja Raha Hoon Mein

Sub Hasratoon Ka Khoon Kiyeh Ja Raha Hoon Mein... Aaa!


kharoon se pochiyeh na kisi gul se pochiye
sadma chaman ke lutne ka bulbul se pochiye

badal gaya hai zamana jo phir gayi hai nigah
kisay khabar thi yeh inqilaab dekhein ge

bismil ke lootne ki kisi dil ko kya khabar
kis per churi yeh chalti hai qaatil ko kya khabar

ghurbat mein kaun lut gaya manzil ko kya khabar
kashti ke doob janay ki saahil ko kya khabar

sub hasraton ka khoon kiyeh ja raha hoon mein
ey ishq tera saath diyeh ja raha hoon mein

(In the name of love I am sacrificing all my wishes.)

jin ki nigaah e naaz ne barbaad ker dia
phir bhi unhee ko yaad kiyeh ja raha hoon mein

(I miss the one whose dazzling eyes have ruined my life.)

marne ki kya hai mar hee chuka hoon hazaar baar
ik teri yaad hai ke jiyeh ja raha hoon mein

(I am not scared of death since I have died a thousand deaths before
It is your memory that keeps me alive.)

maqtil mein ja raha hoon mei kiss aan baan say
unki nazar mein sir ko liyeh ja raha hoon mein

(I am entering the place of execution without fear
to face death in the name of love.)

mujh ko nahi hai saakhir o meena ki aarzoo
aankhein pila rahi hein piyey ja raha hoon

(I have no desire of alcohol as your intoxicating eyes make me drunk.)

ey rehmat e khuda mujhe apna nahi khayal
tere liyeh gunah kiyey ja raha hoon mein

(O, Lord I am conscious whilst I am committing these sins and have a great belief in your mercy.)

sub hasratoon ka khoon kiyeh ja raha hoon mein...


- English Translation from: Link

WOMAD 2005 live performance: Link to Listen
Concert Pictures: Link



back to nfak page: Click Here

 

pardon the errors
Feel free to E-Mail Me for anything
roOq Karachiite :)