Artist: Nusrat Fateh Ali Khan
Title: Ya Hayyu Ya Qayyum (Hamd 'O, Living And Eternal God')
Album: In Concert In Paris, Vol. 1-5
Length: 29:34
Genre: Qawwali
Comments: Live In Paris Hamd Ya Hayyu Ya Qayyum 'O, Living And Eternal God' With English Translation.

Aaa... (Sufi Chants)

Sana Bashar K Liyeah Hai Bashar Sana K Liyeah
Tamaam Hamd Saza Waar Hai Khuda K Liyeah
Ataa K Samnay Yaarab Khata Ka Zikr Hee Kya
K Tu Ataa K Liyeah Bashar Khata K Liyeah

Qounain Ka Masjood Hai Maa’bood Hai Tu
Her Shay Teri Shahid Hai K Mash'hood Hai Tu
Her Aik K Lab Per Hai Teri Hamd O Sana
Her Sooz Mein Her Saaz Mein Moujood Hai Tu

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

(nfak: Ya Rahim O Ya Rahman (Chorus: Allah)
(nfak: Ya Aadil O Ya Dayyan (Chorus: Allah)
(nfak: Ya Haafiz O Ya Sattar (Chorus: Allah)
(nfak: Ya Wahid O Ya Ghaffar (Chorus: Allah)

Ya Maalik O Ya Razzaq Tu Khaali E Her Khallaq
Her Raaz Tujhe Malom
Her Raaz Tujhay Maloom
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Aaa.. (Sufi Chants)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

(nfak: Be-Misl Hai Tu La Raib (Chorus: Allah)
(nfak: Tu Paak Hai Tu Be-Aib (Chorus: Allah)
(nfak: Khum Zeest Ka Hai Unwaan (Chorus: Allah)
(nfak: Tu Shaakir E Har Udwaan (Chorus: Allah)

Teri Zaat Hai Azzo Jal, Tu Her Mushkil Ka Hal
Her Simt Hai Teri Dhom
Her Samt Hai Teri Dhoom
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

...(Qawwali Vocables)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Rehmat Ki Nigaahon Ka Ishara Maango
Dunya Say Koi Shay Na Khudara Maango
Dunya Ki Wafa Jhoot, Saharay Hein Faraib
Allah Say Allah Ka Sahara Maango

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Aaa.. (Sufi Chants)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Mansab Ki Karo Chah, Na Sirwat Maango
Tum Ehl-E-Mohabbat Ho Mohabbat Maango
Her Haal Mein Thaamay Hoay Daamaan-E-Raza
Allah Say Allah Ki Rehmat Maango

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Aaa.. (Sufi Chants)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Ker Dil Ko Ataa Sooz-E-Tawami Yaarab
Her Saans Ho Rehmat Ki Payami Yaarab
Orang-E-Shahee Ki Nahi Haajat Mujh Ko
Kaafi Hai Mohammad Ki Ghulami.. Ya-Rub!

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

...(Qawwali Vocables)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

(nfak: Wo Nabiyoon Ka Sardaar (Chorus: Allah)
(nfak: Her Aalam Ka Mukhtaar (Chorus: Allah)
(nfak: Tu Saaz Hai Wo Aawaz (Chorus: Allah)
(nfak: Tu Raaz Wo Mehram Raaz (Chorus: Allah)

Tu Lafz Hai Wo Farhang, Tu Haakim Wo Aurang
Tu Lazim Wo Malzom
Tu Laazim Wo Malzoom
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Aaa... (Sufi Chants)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Aadat Hai Meri Hadh Say Guzarna Yaarab
Aata He Nahi Mujh Ko The-Herna Yaarab
Herfa-E-Gada Maan-E-Karam Per Tere
Sharminda Sar-E-Hashr Mein Kar Na Ya-Rub!

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Aaa... (Sufi Chants)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

(nfak: Mein Naqsh Hoon Tu Naqqaash (Chorus: Allah)
(nfak: Tu Mul'im Mein Mein Qallash (Chorus: Allah)
(nfak: Mein Aabid Tu Maabood (Chorus: Allah)
(nfak: Mein Sajid Tu Masjood (Chorus: Allah)

Mein Jism Aur Tu Dam, Tera Zikr Ilaj-E-Gham
Kyun Dil Ho Mera Maghmor
Kiyoon Dil Ho Mera Maghmoor
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Aaa... (Sufi Chants)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Mein Kia Hoon Mein Kiss Shay Ki Talafi Chahoon
Kia Baat Mein Fitrat K Manafi Chaahon
Kuch Paas Nahi Ashq-E-Nizamat K Siwa
Kiss Mo Say Gunahoon Ki Maafi Chaahon

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Aaa... (Sufi Chants)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum...


Title: Ya Hayyu Ya Qayyum (Hamd 'O, Living And Eternal God')
Album: In Concert In Paris
Length: 28:48
Genre: Qawwali
Year: 1994

Ya-Rub Ba-Tufail-E-Rasool Us Saqlain
Ya-Rub Ba-Tufail-E-Fatahe Badr-O-Hunain
Isi Aan-E-Mara Do Hissa Qun Dar Ara Saat
Neem-E-Ba Hasan Ba Bakhs Neem E Ba Hussain

(nfak: Ya Rahim O Ya Rahman (Chorus: Allah)
(nfak: Ya Aadil O Ya Dayyan (Chorus: Allah)
(nfak: Ya Haafiz O Ya Sattar (Chorus: Allah)
(nfak: Ya Wahid O Ya Ghaffar (Chorus: Allah)

Ya Maalik O Ya Razzaq Tu Khaali E Her Khallaq
Her Raaz Tujhe Malom
Her Raaz Tujhay Maloom
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Aaa.. (Sufi Chants)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

(nfak: Yeah Misl Hai Tu La Raib (Chorus: Allah)
(nfak: Tu Paak Hai Tu Be Aib (Chorus: Allah)
(nfak: Tu Zeest Ka Hai Unwaan (Chorus: Allah)
(nfak: Tu Saakhir E Har Udwaan (Chorus: Allah)

Teri Zaat Hai Azzo Jal, Tu Her Mushkil Ka Hal
Her Samt Hai Teri Dhom
Her Samt Hai Teri Dhoom
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Aaa.. (Sufi Chants)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

(nfak: Tanzeel Tera Paigham (Chorus: Allah)
(nfak: Hai Khaas Tera Inaam (Chorus: Allah)
(nfak: Hai Dard Ki Yeh Akseer (Chorus: Allah)
(nfak: Imaan Is Ki Taseer (Chorus: Allah)

Hai Silsila-E-Ihsas Ilhamd Say Tha Wannas
Hai Saf Is Ka Mafhom
Hai Saaf Is Ka Mafhoom
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Aaa... (Sufi Chants)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Rehmat Ki Nigaahon Ka Ishara Maango
Dunya Say Koi Shai Na Khudara Maango
Dunya Ki Wafa Jhoot Saharay Hein Faraib
Allah Say Allah Ka Sahara Maango

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum 9;00

Aaa.. (Sufi Chants)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Mansab Ki Karo Chah Na Sirwat Maango
Tum Ehl-E-Mohabbat Ho Mohabbat Maango
Her Haal Mein Thaamay Hoay Daamaan-E-Raza
Allah Say Allah Ki Rehmat Maango

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Aaa.. (Sufi Chants)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Ker Dil Ko Ataa Sooz-E-Tawami Ya-Rab
Her Saans Ho Rehmat Ki Payami Ya-Rab
Orang-E-Shahee Ki Nahi Haajat Mujh Ko
Kaafi Hai Mohammad Ki Ghulami... Ya-Rub!

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Aaa.. (Sufi Chants)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

(nfak: Wo Nabiyoon Ka Sardaar (Chorus: Allah)
(nfak: Her Aalam Ka Mukhtaar (Chorus: Allah)
(nfak: Tu Saaz Hai Wo Aawaz (Chorus: Allah)
(nfak: Tu Raaz Wo Mehram-Raaz (Chorus: Allah)

Tu Lafz Hai Wo Farhang, Tu Haakim Wo Aurang
Tu Lazim Wo Malzom
Tu Laazim Wo Malzoom
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Aaa... (Sufi Chants)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Sa Re Ga Re Ga...(Qawwali Vocables)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Aaa... (Sufi Chants)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Aadat Hai Meri Hadh Say Guzarna Ya-Rab
Aata He Nahi Mujh Ko The-Herna Ya-Rab
Herfa-E-Gada Maan-E-Karam Per Tere
Sharminda Sar-E-Hashr Mein Kar Na Ya-Rub!

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Aaa... (Sufi Chants)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

(nfak: Mein Aajiz Khaak Basar (Chorus: Allah)
(nfak: Tu Malik E Behr-O-Bar (Chorus: Allah)
(nfak: Mein Banda-E-Pur-Taqseer (Chorus: Allah)
(nfak: Tere Haath Meri Taqdeer (Chorus: Allah)

Mein Ah Ker Teer-E-(Khuwab? Khaak?), Tu Waris-E-Haf-Taflaak
Tu Hakim Mein Mehkom
Tu Haakim Mein Mehkoom
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Aaa... (Sufi Chants)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

(nfak: Mein Naqsh Hoon Tu Naqqaash (Chorus: Allah)
(nfak: Tu Mul'im Mein Mein Qallash (Chorus: Allah)
(nfak: Mein Aabid Tu Maabood (Chorus: Allah)
(nfak: Mein Sajid Tu Masjood (Chorus: Allah)

Mein Jism Aur Tu Dam, Tera Zikr Ilaj-E-Gham
Kyun Dil Ho Mera Maghmor
Kiyoon Dil Ho Mera Maghmoor
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Aaa... (Sufi Chants)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

(nfak: Is Daur Mein Her Insaan (Chorus: Allah)
(nfak: Be-Behra Hai Aur Be-Jaan (Chorus: Allah)
(nfak: Mein Deda-O-Dil Be-Noor (Chorus: Allah)
(nfak: Manzil Say Abhi Hein Door (Chorus: Allah)

Aisay Mein Mere Mabood, Hai Fazl Tera Maqsood
Rakh Is Se Na Ub Mehrom
Rakh Is Say Na Ub Mehroom
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Aaa... (Sufi Chants)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Mein Kia Hoon Mein Kiss Shai Ki Talafi Chahoon
Kia Baat Mein Fitrat Ke Manafi Chaahon
Kuch Paas Nahi Ashq-E-Nizamat Ke Siwa
Kiss Mo Say Gunahoon Ki Maafi Chaahon

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Aaa... (Sufi Chants)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Sa Ma Da Re Na Da... (Qawwali Vocables)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Mere Dil-E-Gumraah Ne Mara Mujh Ko
Darkaar Hai Rehmat Ka Ishara Mujh Ko
Sharminda Na Karna Sar-E-Mehshar Yarab
Tere He Karam Ka Hai Sahara Mujh Ko

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Aaa... (Sufi Chants)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

(nfak: Teri Zaat Yam-E-Ikraam (Chorus: Allah)
(nfak: Mera Zarf Hai Zarf-E-Khaam (Chorus: Allah)
(nfak: Tu Malik Mein Majboor (Chorus: Allah)
(nfak: Tu Noor Hai Aur Mein Toor (Chorus: Allah)

Ya Manzil-E-Ins-O-Jaan, Ker Mujh Pe Yeh Ub Ehsaan
Mera Jag Uthe Maqsom
Mera Jaag Uthay Maqsoom
Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Aaa... (Sufi Chants)

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum

Jaon To Kahan Jaon Tere Dar Ke Siva
Taskeen Kahan Paoon Tere Dar Ke Siva
Qounain Pay Hai Tere Karam Ka Saya
Daman Kahan Phailaon Tere Dar Ke Siva

Ya Hayyu Ya Qayyum, Ya Hayyu Ya Qayyum...


English Translation: Click Here

back to nfak page: Click Here

pardon the errors
Feel free to E-Mail Me for anything
roOq Karachiite :)