..
hotho se chhuulo tum meraa giit amar kar do ban jaao miit mere merii priit amar kar do na umar kii siimaa ho na janam kaa ho ba.ndhan jab pyaar kare koI to dekhe keval man na_I riit pe chalakar tum ye riit amar kara do ho.nTho.n se chhuulo tum ... jag ne chhiinaa mujhase mujhe jo bhii lagaa pyaaraa sab jiitaa kiye mujhase mai.n har dam hii haaraa tum haar ke dil apanaa merii jiit amar kar do ho.nTho.n se chhuulo tum ... aakaash kaa suunaa pan mere tanahaa man me.n paayal chhanakaatii tum aajaao jiivan me.n saa.nse.n dekar apanii sa.ngiit amar kar do ho.nTho.n se chhuulo tum ...click here to go back
Created on ... April 16, 2002