Jinko rahe dhundte dar-bader...
vo dil ke reh-numa nikle...
ab tanhaai hum se nahi katt ti..
vo mile to humari jaan nikle...


Ishq ka jahaa bhi naam hota hai
Tadapna sisakna aam hota hai
Karvatein badalna tamaam raat jaagna
Zakhmon ko dil se kaam hota hai
Khush-naseeb kabhi ishq ho nahi sakta
Ye to badnaseebiyo ka jaam hota hai


Ashiq marte nahi, jinda dafnaye jatein hain
Kabar khol kar dekho, to intzaar main paaye jatehain
Aayi thi meri kabar per, diya jala kar chali gayi
marne ke bad he sahi roshani to mili


Ek aap he to ho jis ke liye humne
khud apne aapko bhi bhula diya hai
aur kis ki himmat jo jhukata humko
aapke aage to khud sar jhuka diya hai


Jinki yaad hai dil mein nishaani ki tarah
Woh to bhool gaye hume kahani ki tarha


Pyar aaya ishq aaya,Aur aaya intzaar
Milan nahi hua aaj tak,Jinko kiya humne pyar


Dabaa lete hain dil mein vo apne jazbaat yaro
Band kar lete hain lab karni ho jab mulaqaat yaro
Mulaqaat ke din na jaane kitne nikal chukke
Rok lete hain kadam jab karni ho mulaqaat yaro


Har raat raahoo mein chiraag jlaate hain hum
apni nazroo ko rahoo mein bichaate hain hum
Yu to arsaa beet chuka intzaar karte-karte
tum kabhi to aayoge yeh sochkar dil behlaate hain hum


Jalaate hain hum apne dil ko diye ki tarah
teri zindgi mein khushiyo ki roshni laane ke liye
seh jaate hain har kaaton ki chubhan apne pairo mein
teri raahoo mein phool bichaane ke liye .


Tere dar se jab uth ke jaana parega
khud apna janaza uthana paRega
Bhale se mere gam na hoon un pe zaahir
jab aayenge vo to muskurana parega

More.....
Page-2