


Pyaar ki har rasam nibha di humne,
tujhe paane ke liye hasti mita di humne ,
tumne kadar na jaani meri vaffayo ki,
teri aarzoo mein har khushi luta di humne.

Door jaa raha hu tere bedard shaher se,
ab kabhi na guzrunga teri raah-guzar se,
kafila lut gaya dilbhar ki saajish se,
main pyaar se marra hu na ki zehar se

Main tere ishq mein kitna badnaam hua
fir bhi chahto ka safar nakaam hua
zindgi kho gayi tujhse bichadkar kahin
kitna mashoor tha main magar gumnaam hua
Main tujhko bhi khatavaar kyon kahhu,
mere naseeb mein tera pyaar na tha,
apne-aap ko tum doshi mat kehna,
mere yaar tu kabhi bhi gunehgaar na tha

Har nazar ko ek nigaah ka haq hai
har rooh ko ek aah ka haq hai
hum bhi dil le kar aaye hain is duniya mein
hume bhi ek gunaah ka haq hai

Kaash tum vaade apne nibha jaate
kissi surat dil mera behla jaate
kyon maikhane jaa kar hum jaam uthaate
agar tum aankho se apni pila jaate

Pyaar karne waale dil toot hii jaate hain
haath aa kar haatho se choot hi jaate hain
jinki vaffayo par hota hai bharosa
aksar vahi shakhs ruth hii jaate hain

Jisko dhundte hain vo makaam nahi milta
uthte hain haath magar salaam nahi milta
dard pe dard badhte chale jaate hain
dil ko magar aaraam nahi milta

Chale bhi aayo hum tumse pyaar karte hain
yeh woh gunah hai jo hum baar baar karte hain
jaga ke raah-e-mohabbat mein hasrato ke chirag
Bas har lamha tere aane ka intzaar karte hain

Dil hii dil mein tumeh pyaar kiya karte hain
khwaboo mein bhi tera didaar kiya karte hain
yu to namumkin hai tera har raah se guzarna
Fir bhi tera har raah par intzaar kiya karte hain

Page-5