INSAAN
EK ZAMAANA THA JAB SUKH SHANTI KA MAHOL THA
JAHAN DEKHO PYAR KA BASERA THA
HAR JAGAH PYAAR KE PHOOL BARASTE THE
AUR EK INSAANO KA BASERA THA

AB AGAR DEKHA JAAYE TO
WOH SAB NAZAR AATA NAHIN
SIRF NAFRAT KI AAG DEHAKTI HAIN
PYAAR KA RANG NAZAR AATA NAHIN

HAR GALI NUKKAD MEIN; MAZHAB KE NAAM PE DANGE HOTE HAIN
KAHIN HINDU KAHIN ISAAYI TO KAHIN MULMAA LADTE HAIN
KOI YEH NAHIN SOCHTA KI KYA HAASIL KAR RAHE HAIN WOH
BAS EK DOOSE KE KHOON PYAASE HO JAATE HAIN WOH

BHAGWAAN BHI ACHAMBIT HO GAYE HONGE KI
'INSAANO KO BANAAYA THA MAINE PAR KAHIN INSAAN NAZAR AATA NAHIN
KAHIN PE HINDU KAHIN PE MULIM KAHIN PE ISAAYI HAIN PAR
INSAANO KA BASERA KAHIN NAZAR AATA NAHIN

AISE ALAG DHARAMO KO MAINE TO RACHAYA NAHIN
SIRF INSAANO KA EK GHAR BANAYA THA MAINE
AUR SABKO PYAAR KA PAATH PADHAAKAR
INSAANIYAT KA DHARAM RACHAAYA THA MAINE

MERE BASERE KO UJAADNE WAALE
MERE SANTAAN HO SAKTE NAHIN
MAINE JO INSAAN BANAYA THA
WOH KAHIN MUJHE NAZAR AATE NAHIN'


SHRAVAN SWARUP

 

AAJ

 

BEETE DINO KO KABHIE,

YAAD NA KARNA TUM

JO HOGAYA USKE BAARE ME SOCHKE,

KHUDKO BARBAAD NA KARNA TUM

 

HONI KO JO MANZUR THA

WOHI TUMHARE SAATH HUA

ISILIYE DUKHI HOKE

KABHIE NA BETHNA TUM

 

VARTAMAAN PE DHYAN DHARO

ATEET KO NA PAKDNA

ATEET KI BAHEN THAM LI AGAR

TO BHAVISHYA KO HOGA TUMHE KHONA

 

JO AADMI ATEET KO NAHIN CHODTA

WOH JEEVAN MEIN ASAFAL HAI HOTA

USKI JEEVAN EK ADHURI KHANI HAI HOTI

JISME SIRF DUKH HAI BHARA HOTA

 

ISILIYE MAIN KEHTA HUN

KI...

 

APNE AANE VAALE KAL KELIYE

APNE AAJ KO SANVAARO

AGAR KAL KI BAAT LEKE BETH GAYE

TO BAADME BETHKE PACHTAO TUM

 

AAJ KI ZINDAGI JIYO

KAL KI NA SOCHO TUM

HO CHAHE WO AANE WALA

YA JO WOH HAI BEET GAYA

 

KYONKI AANE WALE KO TO SIRF

AAJ HAI SAVARSAKTA

AUR BEETHE HUE KO TO

KOI NAHIN BADAL SAKTA

 

 

BY SHRAVAN

 

DHIKAVA

 

DIKHAVE PE MAT JAYIYE

MAATH KHA JAOGE AAP

ROSHNI PHELANE WAALE CHEEZON KO

DAT KE PARAKHIYE AAP

 

ROSHINI PHELANE VAALI HAR CHEEZ KE PEECHE

CHIPA HOTA HAI AISA ANDHERA

JO AGAR PHELNE LAGE

TO UJAD JAAYE HAR BASERA

 

KABHIE KABHIE ACHCHE LOGON MEIN

CHIPE HOTE HAIN AISE DOSH

JO AAM TAUR PE DEKHNE PAR

NAHIN DEKH PAAOGE AAP

 

PAR JAB WOH UBHARNE LAGTE HAIN

TO HOGA HAMEIN PACHTANA

ISILIYE MAIN KEHTA HUN

BAHUT SAMBHALKE RAHIYE AAP

 

HAR SIKKE KE HOTE HAIN DO PEHLU

HAR AADMI KE HOTE HAIN DO ROOP

EK JO WOH SABKO HAI DIKHATA

AUR EK JO WOH HAI CHIPATA

 

ISSILIYE MAIN KEHTA HUN KI..

 

HAR CHAMAKTI CHEEZ KO

SONA NA SAMAJHYEGA

KISI BHI AADMI KO KABHIE

TRUTIHEEN NA SAMAJHYIGA

 

JO AADMI LAGE PARISHUDH

USE SAMBHAL KE PARIKHIYE AAP

VARNA SACH KEHTA HUN MAIN

EK DIN BAHUT PACHTAIYENGE AAP

 

-SHRAVAN

 

FAREWELL

 

KUCH HI DINO KI BAAT HAI

HUM AAPKO CHOD KE CHALE JAAYENGE

HAMARE IS COLLEGE SE KAHIN

DOOR CHALE JAAYENGE

 

AAPKE SAATH BITAYE HUE

YE SAAL BAHUT YAAD AAYENGE

AAP SABKO HUM KABHIE BHI

BHOOLA NAHIN PAAYENGE

 

AAPNE HUMEIN SHIKSHA DI

AAPNE HUMEIN PYAR DIYA

AAPNE HAMARE JEEVAN KO JAISE

EK NAYA AAKAR DIYA

 

AAPKE IN EHSAANO KA BADLA

HUM CHUKA TO NAHIN PAAYENGE

PAR YEH WAADA KARTE HAI KI

JEEVAN MEIN KUCH KAR DIKHAENGE

 

PHIR HUM JAISE GARV SE KEHTE HAI KI

HUM DAMODAR KE VIDHYAARTI HAI

AAP BHI KEH SAKOGE KI

HUM AAP HI KE SANTAAN HAI

 

-------

SHRAVAN

 

HAMARE GURU

 

SURAJ KI KIRNE JIS TARAH

HAME ROSHNI DETI HAIN

HAMARE GURU WAISE HI

JEEVAN KO UJWAL KARTE HAI

 

INKI SHARAN ME REHKAR

SAHI RAAH HAM PAATE HAI

INKI SALAH MAAN KAR

SAHI HAL HAME MILTE HAI

 

SAAGAR SE BHI VISHAL HAI

YE SAMUNDAR GYAN KA

INKI BUNDEIN CHIDAKKAR

WAE HAME INSAAN BANATE HAI

 

INKI IZZAT KARNA

HAMARA PARAM KARTAVYA HAI

INKI AAGYA KA PAALAN KARNA

KARM NAHI DHARAM HAI

 

- DEVULAPALLI SHRAVAN SWARUP

 

RAAT

 

RAAT KA YEH SUNDAR DRISHYA

DIL KO SUKKON PAHUNCHAYE

CHARO TARAF KI YEH KHAMOSHI

MANN KO THANDAK SI PAHUNCHAYE

 

DIN KA BHAG-DAUD AUR SHOR-SHARAABA

KAHIN BHI NAZAR NA AAYE

CHARON TARAF SUKH SHANTI KA

EK MAAHOL SA CHA JAAYE

 

WOH DOOR ASMAN MEIN TIMTIMATE TAARE

WOH HAR MOD PE LAGE HUE DEEP

KAHIN DOOR EK GHAR MEIN CHOTI SI BATTI

KAHIN KOTWAL DEKH RAHA HAI KI SAB KUCH HAI THEEK

 

KAHIN KONE MEIN KUTTON KA BHOKNA

KAHIN DOOR SE JHINGURON KI AWAAZ

KAHIN PE EK BACHCHE KA RONA

KAHIN EK DO MOTORON KI AWAAZ

 

YE CHOTI CHOTI AWAAZEN

IS RAAT KO AUR SUNDAR BANADE

RAAT KE IS DRISHYA KO

CHAR CHAAND LAGAADEIN

 

IS SUKH SHANTI KE MAHOL MEIN

JEEVAN BITAANE KO JI CHAHTA HAI

PAR PHIR YE YAAD AA JATA HAI KI

KUCH DER BAAD RAAT CHALA JAATA HAI

 

-SHRAVAN SWARUP


Back