Kahakasha

Wo Mere Hai Mujhe Muje Mil Jayenge
Aisi Bekar Ki Baaton Ne Dil Tod Diya

Ab Naa Koi Khushi Hai Naa Koi Gam Rulanewala
Hamane Apna Liya Har Ek Rang Jamanewala

Mujhe Wo Kya Raah Dikhayenge
Jinhe Khud Apna Pata Nahi Hai

Usne Bevafai Ki To Kya Hua
Aisa Duniya Me Bahut Baar Hua Hai

Ve Ungliyon Par Apne Karam Ginaate Hain
Jinke Julmo Ka Koi Hisab Nahi

Har Ashq Muhobbat Ka Sahara Nahi Hota
Har Kishti Ka Kinara Nahi Hota

Aisa Nahi Hai Ki Ab Unse Muhobbat Nahi Hai
Ha Ab Jajbat Me Wah Shiddat Nahi Hai

Tumhare Haath Itne Sundar Hai Ki
Unhone Sirf Mandir Me Diya Jalana Chahiye

Khwab Aankhon Me Rakhane Ke Liye Nahi Hote Hai
Aankhon Me To Wo Kanch Ki Tarah Chubhate Hai
Khwab Palako Par Sajane Ke Liye Hote Hai

Tumse To Tumhara Gam Achha Hai
Jo Meri Jindagi Ka Saath Nahi Chhodata

Tum Nahi Tumhari Yaad Nahi Sharab Nahi
Aisi Tanhai Ka To Jawab Nahi

Jhoote Jalwe Jhootie Jhankiyaan
Jhootie Sardie Jhootie Khasiyaan

Mere Mandir Ka Pata Kisise Paya Nahi Jaata
Main Jaha Hoon Farishton Ko Waha Aaya Nahi Jaata

Muhobbat Wo Nagma Hai
Ki Har Najm Par Use Gaya Nahi Jaata

Har Baat Pe Hairaan Hai Moorakh Hai Ye Nadaan Hai
Mai Dil Se Pareshan Hoon Dil Mujhse Pareshan Hai

Chhoone Se Jal Jayega Yah To Aag Hai
Wah Kahata Hai Yah Shahad Ka Rang Hai

Tera Aanchal Chhoo Gayi Hawa
Aur Pagal Ho Gayi Pagal Hawa

Tera Yaad Aana Aake Chala Jaana

Wah Chandani To Khushbuon Ka Saaya Hai
Hame Bahut Ajeej Hai Lekin Paraya Hai

Mere Dil Ki Tamanna Thi
Ki Abki Baar Baarish Me Sharab Barsegi
Baarish Hui Aur Mera Dil Toot Gaya

Hamane Jab Jab Tumhara Naam Liya
Hamane Apne Dil Se Intkaam Liya

Ham Chale To Saaya Bhi Naa Apna Saath De
Wo Chale To Jameen Chale Asmaan Chale

Ham Gire To Bahut Baar Gire
Par Ye Sikh Liya
Ki Kaise Kisi Ko Thaam Le
Jab Koi Gire

Jab Hamari Barbadi Ke Afsane Chale
To Unme Hame Yaaron Ke Naam Mile

Tum Hame Mout Se Kya Darate Ho
Kya Mout Me Jindagi Nahi Hoti

Ghar Se Chale The Housle Lekar
Laut Aaye Khuda Khuda Karke

Log Demag Ke Sath Chalte Hain
Hum Chale Dil Ko Rahanuma Karke

Mili Naa Jindagi Lekin
Mout Jara Jarasi Mili

Jane Na Jane Ik Gul Hamara Haal Na Jane Hain
Har Ik Patta Har Ik Buta Haal Hamara Jane Hain

Har Jheel Me Paani Hai Har Jheel Me Tarange
Har Jheel Ke Mukaddar Me Kamal Kyon Nahi Hota

Gar Usne Likha Hai Diwan Is Duniya Ka
To Har Aadmi Ek Pyarisi Gazal Kyon Nahi Hota

Uske Dushman Hai Bahot
Aadmi Achha Hoga
Meri Tarah Wah Bhi Kahi
Shahar Me Tanha Hoga

Aankho Me Savan Chhalka Hua Hai
Aankho Me Koi Aansoo Atka Hua Hai
Aankho Ki Hichki Rukti Nahi Hai
Rone Se Kab Ye Dil Halka Hua Hai

Waqt Ki Raftar Kadmo Ki Raftar Se Bahot Jyada Hai
Isliye Unse Abhi Mulaqat Nahi Hoti

Kyon Khamosh Hai Deeware Ghar Ki
Kya Phir Koi Shisha Toota
Usne Samajha Tooti Chudi
Main Samajha Ke Dil Hi Toota

Dil Ki Baat Jubaan Par Laake
Hum Yoon Hi Dard Sahate Hai
Hume To Lagata Tha Ki
Is Shahar Me Dilwale Bhi Rahate Hai

Mere Dil Ki Baat Sunkar Mujhe Aawara Kahate Ho
Log To Dilwalo Ko Aur Bhi Kya Kya Kahate Hai

Tumhari Muhobbat Me Aise Barbaad Hue
Pahale To Dil Ke Liye Roye Ab Zindagi Bhi Gayi

Tumhari Yaado Ki Khushbuon Se Hamane Muhobbat Ke Baag Khilaye
Par Tum Nahi Aaye

Ab To Aap Aisa Bhi Koi Karam Farmaiye
Apne Kadamo Se Mera Mukkaddar Sajaiye

Sabane Kiya Hai Mujhse Jafao Ka Tajurba
Ab Aap Bhi Apni Kismat Aajmaiye

Dil-e-Nadaan Tujhe Hua Kya Hai
Aakhir Is Dard Ki Dawa Kya Hai
Hume Unse Chahat Hai Wafaon Ki
Jinhe Nahi Pata Wafa Kya Hai

Safar Me Dhoop To Hogi
Tum Chal Sako To Chalo
Raah Me Bhid To Hogi
Tum Nikal Sako To Chalo
Yahan Deta Nahi Hai Koi Saath Magar
Tum Khud Sambhal Sako To Chalo
Khwab Tamanna Khwahishe Khiloine Hai Dil Ke
Gar Dil Tumhara Bahal Sake To Chalo
Kab Badala Hai Yaha Jamana Kisike Khatir
Gar Tum Khudko Badal Sako To Chalo

Bahut Ho Chuki Isharo Ki Guftagu
Jara Khul Ke Kaho Ki Justju Kya Hai

Naa Meri Aankhon Ka Kasoor Tha Naa Mere Dil Ka Kasoor
Jo Samane Aaya Wo Tha Mera Gooroor

Khwab Dekha Karo Magar Uske Charche Na Kiya Karo
Tumhe Suraj Ki Tamanna Hai Sunkar Log Naa Jal Jaye

Beete Hue Yaadon Ki Raakh Kureda Na Karo
Kahin Bevajah Ungliyaan Na Jal Jaaye

Itna Bhi Na Tanha Karo Kabhi Khudko
Ke Tum Khudko Hi Ajnabi Samajhane Lago

Shahar Me Charche Hain Uski Ranaiyon Ke
Meri Ruswaiyon Ka Charcha To Kahi Nahi

Yaa Rab Ab Na Mangenge Kabhi Zindagi Tujhse
Bahut Pachhataye Hai Yah Jindagi Jee Kar

Raste Bhar Puchha Hamase
Paav Ke Gahare Chhalo Ne
Basti Kitni Dur Basai
Dil Me Rahane Walo Ne

Manzil Se Wo Dur Hi Achhe
Jinhe Manzil Raas Naa Aayi

Bazm Se Unke Hum Kya Laaye
Pyase Gaye Aur Pyase Aaye

Itna Bhi Badhe Yah Joonoon Kabhi
Bhoolnewala Yaad Naa Aaye

Kabhi Khushbu Bankar Aawara Hue
Kabhi Aansoo Bankar Jale
Unke Pyar Ki Khaatir Hamane
Naa Jaane Kitne Roop Badle

Jinhe Hum Chahate The Apni Jindagi Ki Tarah
Wo Ashna Bhi Mile Hamase Kisi Ajnabi Ki Tarah

Ab Jo Hum Bichhade To Milenge Kabhi Khwabon Me
Jaise Sookhe Hue Phool Milte Hai Kitabon Me

Ye Dil Ye Pagal Dil Mera
Ye Bujh Gaya Aawaaragi

Is Shakhs Me Ik Shahar Tha
Wo Kya Hua Aawaargi

Jinke Hotho Par Hansi
Paavo Me Chhale Honge
Wahi Log Tere Chahanewale Honge

Aapne Julfo Me Jo Phool Sajaya Hai
Jaise Andhere Me Koi Diya Jalaya Hai

Yadi Aapka Jee Nahi Bhara Meri Mout Se
To Kaha Bhi Dijiye Aur Imtihaan Kya Hai

Tumne Achha Nahi Kiya Yoo Chup Raha Kar
Tumse To Achhe Hai Mere Haal Par Hasane Wale

Parchhayion Ke Shahar Ki Tanhai Naa Puchho
Wahan Khudka Gam-e-Shareeq Koi Aur Nahi Hota

Mere Chehare Par Jo Gam Ashikara Nahi Hai
To Aisa Nahi Hai Ki Dil Mera Gam Ka Mara Nahi Hai

Aise Ghoor Kar Dekh Raha Hai Bagbaan Hame
Jaise Gul Par Kuchh Bhi Haq Hamara Nahi Hai

Agar Aap Mil Jaye To Kya Kijiye
Bas Chehara Aapka Dekha Kijiye

Meri Itnisi Baat Ka Itna Gila Karate Ho
Aapne Jo Kaha Wah To Aapko Yaad Nahi

Muskura Kar Mila Karo Humse
Kuchh Kaha Kuchh Suna Karo Humse

Kuch Kahane Se Baat Badhati Hai
Yu Chup Naa Raha Karo Humse

Chandani Raat Ko Badduayen Na Dijiye
Doosaron Ko Apni Sajaye Na Dijiye

Ashiqi To Phool Se Sikhiye
Titliya Khud Ayegi Sadaye Naa Dijiye

Sipiyon Se Sambhale Motiyon Ko
Bevafaon Ko Apni Vafaen Na Dijiye

Naa Jee Bhar Ke Dekha Naa Kuchh Baat Ki
Phakat Aarjoo Thi Mulaqat Ki

Main Chup Tha To Chalti Hawa Ruk Gai
Jubaan Sab Samajhate Hai Jajbaat Ki

Tumhari Aakhon Me Ek Jangal Hai
Jisme Mai Kahi Kho Jaata Hoon
Tum Jo Aati Ho Kabhi Rail Ki Tarah
Mai Kisi Poolsa Thar Tharata Hoon

Kabhi Chand Utar Aye Dharti Par Jaam Ban Jaaye
Koi Shaam Hamari Kabhi Aapke Naam Ho Jaaye

Muhobbat Karane Wale Kam Naa Honge
Teri Mehafil Me Lekin Ham Naa Honge

Ek Tera Gam Aur Jamane Ke Sare Gam
Jo Tera Gam Hoga To Baki Gam Naa Hoge

Tu Yadi Mil Bhi Jaaye
Teri Furkat Ke Sadame Kam Naa Honge

Sabhi Nagme Saaz Me Gaaye Nahi Jaate
Sabhi Log Mahafil Me Bulaye Nahi Jaate
Kuch Paas Raha Kar Bhi Yaad Nahi Aate
Kuch Dur Raha Kar Bhi Bhulaye Nahi Jaate

Har Ek Aadmi Yaha Musafir Hai
Koi Jaldi Me Koi Der Se Jaane Wala

Mout Ka Ilaj Ho Shaayad
Jindagi Ka To Koi Ilaj Nahi

Chahe Chandi Me Jado Ya Sone Me
Aina Jhoot Bolta Hi Nahi

Har Kisi Ko Tu Milte Chal Aye Jafar
Koun Kaisa Hai Yaha Pata To Chale

JabSe Aye BulBul Tune Do Tinke Liya
Tootati Hai Bijliya Fakat Inke Liye

Ab Aur Baat Badhane Ki Jarurat Kya Hai
Hum Roothe Hi Nahi To Manane Ki Jaroorat Kya Hai

Aye Meri Jaane Gazal Chal Mere Saath Hi Chal
In Samajo Ke Banaye Hue Bandhan Se Nikal Chal

Chal Jaha Pyar Pe Koi Pahare Naa Ho
Dil Ko Lootne Wale Koi Lootere Na Ho

Chand Tanha Hai Asmaan Tanha

Jindagi Kya Isi Ko Kahate Hai
Jism Tanha Hai Jaan Tanha

Wafa Karenge Nibhayenge Aajma Lenge
Tumhe Bhi Yaad Hai Yah Kalam Kiska Tha

Gujar Gaya Wo Jamana Kahe To Kisse Kahe
Khayal Subaha Shyam Mere Dil Ko Kiska Tha

Meri Juban Se Meri Dastaan Suno To Sahi
Yakin Karo Naa Karo Suno To Sahi

Umra Jalwo Me Basar Ho Yaha Jaroori To Nahi
Har Shabegam Ki Sahar Ho Yaha Jaroori To Nahi

Neend To Dard Ke Bistar Pe Bhi Aa Sakti Hai
Unke Aagosh Me Sar Ho Ye Jaroori To Nahi

Shekh Karta To Hai Masjid Me Khuda Ko Sajde
Uske Sajdo Me Asar Ho Ye Jaroori To Nahi

Sabki Najaro Me Ho Saki Ye Jaroori Hai Magar
Sab Pe Saki Ki Najar Ho Ye Jaroori To Nahi

Meherbaan Ho Ke Bula Lo Mujhe Chaho Jis Waqt
Mai Gaya Waqt Nahi Hoon Ki Aa Bhi Naa Saku

Jeet Le Mujhko Koi Naseebowala
Jindagi Ne Mujhe Dawo Pe Laga Rakha Hai

Jane Kab Aa Jaye Koi Dil Me Jhaknewala
Isliye Maine Girebaan Khula Rakha Hai

Imtihaan Mere Waqt Ki Tum Aur Kya Loge
Maine Dhadkan Ko Sine Me Chupa Rakha Hai

Tum Agar Ab Bhi Naa Aate Mout Aane Hi Ko Thi
Yaar Tumse Ab Muhobbat Ruth Jane Hi Ko Thi

Wo Jaane Jigar Jane Tamanna Sa Lage Hai
Wo Apna To Nahi Hai Par Apna Sa Lage Hai

Kyon Bachate Ho Mushkilo Se Ise
Dil Ka Bachana Bhi To Ek Mushkil Hai

Tut Jane Do Kuch Nahi Dil Hai
Mera Dushman Hai Mera Katil Hai

Doston Ki Tarah Milo Anjum
Jindagi Dushmano Ki Mahafil Hai

Main Jaa Chuka Hu
Phir Bhi Teri Mehphilo Me Hoon

Itna Sitam Hai
Ki Ehsas Bhi Kam Hai

Kabhi Na Kaha Kisise Tere Phasane Ko
Na Jaane Kaise Khabar Ho Gayi Jamane Ko

Dua Bahar Ki Mangi To Itne Phool Khile
Kahi Jagah Na Mili Mere Ashiyane Ko