Time Pass: MANOJ
1.      naqsh fariyaadee hai kiskee shoKHee-e-tehreer ka
        kaaGHazee hai  pairhan  har  paikar-e-tasweer ka

        [ naqsh = copy/print, fariyaad = complaint, tehreer = hand
          writing, kaaGHazee = delicate, pairhan = dress,
          paikar = appearance ]

2.      kaave-kaave saKHt_jaanee haay tanhaaee na pooch
        subah  karna  shaam ka laana hai joo-e-sheer ka

        [ kaave-kaave = hard work, saKHt_jaanee = tough life,
          joo = canal/stream, sheer = milk, joo-e-sheer = to create a
          canal of milk, here means to perform an impossible task ]

3.      jazba-e-be_iKHtiyaar-e-shauq    dekha   chaahiye
        seena-e-shamsheer se baahar hai dam shamsheer ka

        [ iKHtiyaar = authority/power, shamsheer = sword ]

4.      aagahee daam-e-shuneedan jis qadar chaahe bichaaye
        mudda'a  'anqa   hai   apne   aalam-e-taqreer   ka

        [ aagahee = knowledge/intution, daam = net/trap,
          shuneed = conversation, 'anqa = rare, aalam = world/universe,
          taqreer = speech/discourse ]

5.      bus ke hooN 'GHalib' aseeree meiN bhee aatish zer-e-pa
        moo-e-aatish_deeda   hai   halqa   meree  zanjeer   ka

        [ aseeree = imprisonment/captivity, zer-e-pa = under the feet,
          moo = hair, aatish_deeda = roasted on fire, halqa = ring/circle ]


1.      kabhee nekee bhee uske jee meiN gar aa jaaye hai mujhse
        jafaayeN  karke  apnee  yaad   sharma  jaaye hai mujhse

        [ jafaayeN = opression/tyranny of a beloved ]

2.      KHudaaya ! jazbaa-e-dil  kee   magar   taaseer  ulTee hai
        ki jitna khiNtchataa hooN aur khiNtchtaa jaaye hai mujhse

        [ jazbaa-e-dil = emotions, taaseer = impression ]

3.      woh   bad_KHoo   aur  meree  daastan-e-ishq   tulaanee
        ibaarat muKHtasar, qaasid bhee ghabra jaaye hai mujhse

        [ bad_KHoo = bad habits, tulaanee = long, ibaarat = diction/
          admonishing, muKHtasar = concise, qaasid = messenger ]

4.      udhar woh bad_GHumaanee hai, idhar yeh naatavaanee hai
        na  poocha jaaye hai us'se,  na bola jaaye hai  mujhse

        [ badGHumaanee = suspicion, naatavaanee = weakness ]

5.      sambhalne de mujhe 'ei na_ummidee  kya qayaamat hai
        ki daamaan-e-KHayaal-e-yaar chooTa jaaye hai mujhse

6.      takalluf bartaraf nazzaaragee meiN bhee sahi, lekin
        woh dekha jaaye, kab ye zulm dekha jaaye hai mujhse

        [ taqalluf = hesitation/formality, bartaraf = suspend ]

7.      hue  haiN  paaNv hee pehle nabard-e-ishq  meiN zaKHmee
        na bhaaga jaaye hai mujhse, na Thehra jaaye hai mujhse

        [ nabard-e-ishaq = struggle in love ]

8.      qayaamat  hai  ke  howe  muddaee  ka  ham_safar 'GHalib'
        woh kaafir, jo KHuda ko bhee na sauNpa jaaye hai mujhse

1.      miltee hai  KHoo-e-yaar se  naar  iltihaab meiN
        kaafir hooN gar na miltee ho raahat 'azaab meiN

        [ KHoo-e-yaar = lover's nature/behavior/habit, naar = fire,
          iltihaab = flame, 'azaab = sorrow ]

2.      kab  se hooN, kya bataaooN jahaan-e-KHaraab meiN ?
        shab  haaye hijr ko bhee rakhooN gar hisaab meiN

        [ jahaan-e-KHaraab = world of problems, shab = night,
         hijr = separation ]

3.      taa fir  na  intezaar meiN neeNd aaye 'umr bhar
        aane  ka 'ahad  kar  gaye  aaye  jo KHwaab meiN

        [ taa = so that, 'ahad = promise ]

4.      qaasid  ke aate-aate KHat ik aur likh rakhooN
        maiN jaanta hooN  jo woh likhenge jawaab meiN

        [ qaasid = messenger ]

5.      mujh tak kab unkee bazm meiN aata tha daur-e-jaam
        saaqee ne  kuchch mila  na  diya ho  sharaab meiN

        [ bazm = meeting/"mehafil", saaqee = bar tender ]

6.      jo   munkir-e-wafa   ho  fareb  us  pe  kya  chale ?
        kyooN badGHumaaN hooN dost se dushman ke baab meiN ?

        [ munkir-e-wafa = one who denies loyalty, fareb = illusion/fraud
          badGHumaaN = suspicious, baab = company ]

7.      maiN muztarib hooN wasl meiN KHauf-e-raqeeb se
        Daala hai  tumko weham ne kis pech-o-taab meiN

        [ muztarib = anxious/disturbed, wasl = meeting with the lover,
          KHauf = fear, raqeeb = opponent, pech-o-taab = predicament ]

8.      mai aur haz'z-e-wasl, KHudaa_saaz baat hai
        jaaN nazr  denee bhool  gaya iztiraab meiN

        [ mai = bar, haz'z-e-wasl = joy of meeting, KHudaa_saaz = god's gift,
          iztiraab = anxiety ]

9.      hai  tevaree  chaDee  huee andar  naqaab ke
        hai ik shikan paDee huee tarf-e-naqaab meiN

        [ shikan = wrinkle, tarf = eyelid ]

10.     laakhauN lagaav, ik churaana  nigaah ka
        laakhauN banaav, ik bigaaDna itaab meiN

        [ itaab = anger ]

11.     woh naala_dil meiN KHas ke baraabar jagah na paaye
        jis   naale    se   shigaaf   paDe   aaftaab  meiN

        [ naala_dil = crying heart, KHas = hay/grass, shigaaf = crack,
          aaftaab = sun/face ]

12.     woh sehar muddaa talbee meiN na kaam aaye
        jis sehar se safina ravaaN ho saraab meiN

        [ sehar = magic, muddaa talbee = fulfillment of a desire,
          safina = boat, ravaaN = move, saraab = mirage ]

13.     'GHalib' chutee sharaab, par ab bhee kabhee-kabhee
        peeta  hooN   roz-e-abr -o- shab-e-maahtaab   meiN

        [ abr = clouds, roz-e-abr = cloudy day, maahtaab = moon ]

1.      woh  aake KHwaab meiN taskeen-e-iztiraab to de
        wale mujhe tapish-e-dil, mazaal-e-KHwaab to de

        [ taskeen = satisfaction, iztiraab = anxiety, tapish = burn/passion,
          mazaal = strength ]

2.      kare hai  qatl lagaawat meiN  tera ro dena
        teree tarah koee teGH-e-nigah ko aab to de

        [ lagaawat = affection, tegh = sword, aab = cool ]

3.      dikhaake jumbish-e-lab  hee tamaam kar  hamko
        na de jo bosa, to muNh se kaheeN jawaab to de

        [ jumbish = motion/vibration, bosa = kiss ]

4.      pila  de oak se saaqee jo hamse  nafrat hai
        pyaala gar naheeN deta na de, sharaab to de

        [ oak = palm of the hand contracted so as to hold water ]

5.      'Asad' KHushee se mere haath paaNv phool gaye
        kaha  jo  usne  zara mere  paaNv  daab to  de

1.      shauq  har rang raqeeb-e-sar-o-saamaaN  niklaa
        qais tasveer ke parde meiN bhee uriyaaN niklaa

        [ raqeeb = opponent, sar-o-saamaaN = with belongings,
          qais = 'majanooN', uriyaaN = nude ]

2.      zaKHm ne  daad na  dee, tangee-e-dil ki yaarab !
        teer bhee seena-e-bismil se par_afshaaN niklaa

        [ daad = justice, seena-e-bismil = wounded heart, par = wings,
          afshaaN = rattle ]

3.      boo-e-gul, naala-e-dil, dood-e-charaaGH-e-mehfil
        jo  teree  bazm  se nikla,  so parishaaN  niklaa

        [ boo = fragrance, gul = flower, naalaa = cry, dood = smoke, esp.
          from a lamp that's been extinguished ]

4.      thee nau_aamoz_fana'a  himmat-e-dushwaar_pasand
        saKHt mushkil hai ki yah kaam bhee aasaaN nikla

        [ nau_aamoz = beginner, dushwaar = difficult ]

5.      dil meiN fir giryaaN ne ik shor uThaaya 'GHalib'
        aah  jo qatra na  nikla tha, so  toofaaN  nikla

        [ giryaaN = weeping, qatra = drop ]

1.      na tha kuchch to KHuda tha, kuchch na hota to KHuda hota
        duboya  mujhko  hone  ne,  na  hota  maiN  to  kya  hota ?

2.      huaa jab GHam se yooN behis to GHam kya sar ke kaTne ka
        na  hota  gar juda  tan  se to  zaanooN  par dhaRa hota

        [ behis = shocked/stunned, zaanooN = knee ]

3.      huee muddat ke  'GHalib' mar gaya par yaad aata hai
        wo har ek baat pe kehana, ke yooN hota  to kya hota ?

        [ muddat = duration/period ]

1.      ye jo ham hijr meiN deewaar-o-dar ko dekhte haiN
        kabhee saba ko  kabhee  naamaabar ko dekhte haiN

        [ hijr = separation, dar = door, saba = wind,
          naamaabar = messanger ]

2.      woh aaye  ghar meiN  hamaare KHuda ki kudrat  hai
        kabhee ham unko, kabhee apane ghar ko dekhte haiN

3.      nazar  lage  na  kaheeN  uske  dast-o-baazoo  ko
        ye log  kyoN mere zaKHm-e-jigar ko dekhtaiN haiN ?

        [ dast-o-baazoo = hands & shoulders ]

4.      tere  jawaahir-e-tarf-e-kulah  ko  kya dekhaiN ?
        ham auj-e-taal'a-e-laal-o-guhar ko dekhte haiN

        [ jawaahir = jewels, tarf = golden belt, kulah = crown,
          auj = height/position, taal'a = luck, laal-o-guhar = diamonds
          & pearls ]


1. meharbaaN ho ke bulaa lo mujhe chaaho jis waqt
maiN gayaa waqt nahiN hooN ke phir aa bhi na sakooN

2. zauf meiN taanaa-e-aGHyaar ka shikwaa kyaa hai?
baat kuchh sar to nahiN hai ke uThaa bhi na sakooN

        [ zauf = weakness, taana = taunt, aGHayaar = enemy,
          shikawa = complaint ]

3. zahar miltaa hi nahiN mujhko sitam_gar warnaa
kyaa qasam hai tere milne ki ke khaa bhi na sakooN

        [ sitamgar = oppressor ]

1.      rone  se  aur ishq meiN  be_baak ho gaye
        dhoye gaye ham 'eise ki bas paak ho gaye

        [ be_baak = outspoken/bold, paak = pure/clean/holy ]

2.      sarf-e-baha-e-mai  hue  aalaat-e-maikashee
        the; ye hee do hisaab, so yoN paak ho gaye

        [ sarf = expenditure, baha = value/price, mai = bar,
          aalaat = instruments/apparatus, maikashee = boozing ]

3.      ruswa-e-dahar  go hue aawaargee  se tum
        baare tabeeyatoN ke to chaalaak ho gaye

        [ dahar = world, baare = atlast ]

4.      kehta  hai kaun  naala-e-bulbul ko  be_asar
        parde meiN gul ke laakh jigar chaak ho gaye

        [ chaak = slit/torn ]

5.      pooche hai kya wujood-o-adam 'ehl-e-shauq ka
        aap apnee  aag  se KHas-o-KHaashaak  ho gaye

        [ wujood = existence, adam = non existence,
          KHas-o-Khaashaak = destroyed ]

6.      karne gaye the; usse taGHaaful ka ham gila
        kee ek  hee  nigaah  ki bas  KHaak ho gaye

        [ taGHaaful = negligence, gila = complaint, KHaak = dust/ashes ]

7.      is DHang se uTHaayee kal usne 'Asad' ki laash
        dushman  bhee jisko  dekhke GHamnaak  ho gaye

        [ GHamnaak = grief stricken ]

1.      woh  firaaq aur  woh wisaal  kahaaN ?
        woh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaaN ?

        [ firaaq = separation, wisaal = meeting, shab = night,
          roz = day, maah = month, saal = year ]

2.      fursat-e-kaarobaar-e-shauq  kise ?
        zauq-e-nazzaraa-e-jamaal  kahaaN ?

        [ zauq = delight/joy, jamaal = beauty ]

3.      dil to dil wo  dimaaGH  bhee na rahaa
        shor-e-sauda-e-KHatt-o-KHaal   kahaaN ?

4.      thee woh ik shaKHs ke tasavvur se
        ab woh  raanaai-e-KHayaal  kahaaN ?

        [ tasavvur = imagination, raanaai-e-KHayaal = tender thoughts ]

5.      'eisa   aasaaN   naheeN   lahoo   rona
        dil meiN taaqat jigar meiN haal kahaaN ?

        [ haal = spiritual ecstasy ]

6.      hamse    chooTa   qamaar_KHaana-e-ishq
        waaN jo jawaiN, girah meiN maal kahaaN ?

        [ qamaar_khaana = casino, girah = knot/joint ]

7.      fikr-e-duniyaaN meiN sar khapaata hooN
        maiN   kahaaN  aur  ye  wabaal  kahaaN ?

        [ wabaal = calamity ]

8.      muzmahil  ho  gaye quwa'a 'GHalib'
        wo  anaasir  meiN 'eitdaal kahaaN ?

        [ muzmahil = exhausted/idle, quwa'a = limbs, anaasir = elements,
          'eitdaal = moderation ]

1.      ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
        agar  aur  jeete  rehte   yahee   intezaar  hota

        [ wisaal-e-yaar = meeting with lover ]

2.      tere  waade par jiye ham  to ye jaan jhooT jaanaa
        ke  KHushee se  mar na jaate  agar 'eitabaar hota

        [ 'eitabaar = trust/confidence ]

3.      teree naazukee se jaana ki bandha tha 'ehed_booda
        kabhee  too  na toD  sakta  agar  oostuwaar  hota

        [ 'ehed = oath, oostuwaar = firm/determined ]

4.      koee mere  dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
        ye KHalish kahaaN se hotee jo jigar ke paar hota

        [ teer-e-neemkash = half drawn arrow, KHalish = pain ]

5.      ye kahaaN ki dostee hai ke bane haiN dost naaseh
        koee  chaarasaaz  hota,   koee  GHamgusaar  hota

        [ naaseh = councellor, chaarasaaz = healer,
          GHamgusaar = sympathizer ]

6.      rag-e-sang se Tapakta wo lahoo ki fir na thamta
        jise GHam samajh rahe  ho, ye agar sharaar hota

        [ rag = nerve, sang = stone, sharaar = flash/gleam ]

7.      GHam agarche jaaN_gulis hai, pe kahaaN bachaiN ke dil hai
        GHam-e-ishq    gar   na   hota,    GHam-e-rozgaar    hota

        [ jaaN_gulis = life threatning ]

8.      kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai
        mujhe   kya   bura   tha   marna ?  agar  ek   baar  hota

9.      hue mar ke ham jo ruswa, hue kyoN na GHarq-e-dariya
        na  kabhee janaaza  uThata, na  kaheeN  mazaar hota

        [ GHarq = drown/sink ]

10.     use;  kauN  dekh  sakta  ki yagaana  hai wo yaktaa
        jo dooee ki boo bhee hotee to kaheeN do chaar hota

        [ yagaana = kinsman, yaktaa = matchless/incomparable, dooee = duality ]

11.     ye   masaail-e-tasawwuf,  ye  tera bayaaN  'GHalib' !
        tujhe ham walee samajhate, jo na baada_KHwaar hota

        [ masaail = topics, tasawwuf = mysticism, walee = prince/friend,
          baada_KHwaar = boozer ]

1.      koee  ummeed  bar naheeN aatee
        koee soorat nazar naheeN aatee

2.      maut  ka  ek  din   mu'ayyan  hai
        neeNd kyoN raat bhar naheeN aatee ?

        [ mu'ayyan = definite ]

3.      aage aatee thee haal-e-dil pe haNsee
        ab   kisee  baat  par  naheeN  aatee

4.      jaanta hooN sawaab-e-taa'at-o-zahad
        par  tabeeyat  idhar  naheeN  aatee

        [ sawaab = reward of good deeds in next life, taa'at = devotion,
          zahad = religious deeds or duties ]

5.      hai kuchch 'eisee hee baat jo chup hooN
        warna  kya   baat   kar  naheeN   aatee ?

6.      kyoN na cheeKHooN ki yaad karate haiN
        meree   aawaaz   gar   naheeN   aatee

7.      daaGH-e-dil  gar  nazar   naheeN  aata
        boo bhee 'ei chaaraagar ! naheeN aatee

        [ chaaraagar = healer/doctor ]

8.      ham  wahaaN  haiN jahaaN se hamko bhee
        kuchch  hamaaree KHabar  naheeN  aatee

9.      marte haiN aarzoo meiN marne ki
        maut aatee hai par naheeN aatee

10.     kaaba'a kis muNh se jaaoge 'GHalib'
        sharm  tumko  magar  naheeN  aatee

1.      nuktaacheeN hai GHam-e-dil usko sunaaye na bane
        kya  bane  baat jahaaN  baat  banaaye  na  bane

        [ nuktaacheeN = critic/sweetheart ]

2.      maiN bulaata to hooN  usko magar 'ei jazba-e-dil
        uspe ban jaaye kuchch 'eisee ki bin aaye na bane

3.      khel samjha hai kaheeN choD na de, bhool na jaay
        kaash ! yooN bhee ho ki bin mere sataaye na bane

4.      GHair firta  hai liye yooN  tere KHat ko ki agar
        koee pooche ki yeh kya hai ? to chipaaye na bane

5.      is nazaakat ka bura ho, woh bhale haiN to kya
        haaNth aaye to unhaiN haaNth lagaaye na  bane

        [ nazaakat = elegance ]

6.      keh sake kaun ki yeh jalwaa_garee kiskee hai
        parda choDa hai woh  usne ki uTHaaye na bane

        [ jalwaa_garee = manifestation ]

7.      maut kee raah na dekhooN ki bin aaye na rahe
        tumko chaahooN ki na aao, to bulaaye na bane

8.      bojh woh sar pe gira hai ki uTHaaye na uTHe
        kaam  woh aan paDa  hai, ki banaaye na bane

9.      ishq par zor naheeN, hai ye woh aatish 'GHalib'
        ki  lagaaye  na  lage  aur  bujhaaye  na  bane

        [ aatish = fire ]

1.      ishq mujhko  naheeN, wehshat hee sahee
        meree wehshat, teree shohrat hee sahee

        [ wehshat = solitude, shohrat = fame ]

2.      qata`a   keeje  na  ta`alluq   ham   se
        kuchch naheeN hai to `adaavat hee sahee

        [ qata'a = break/intercept, ta'alluq = relation/connection,
          'adaavat = hatred/animosity ]

3.      mere   hone   meiN   hai  kya  ruswaaee ?
        'ei woh majlis naheeN KHalwat hee sahee

        [ majlis = assembly, KHalwat = isolation ]

4.      ham bhee dushman to naheeN haiN apne
        GHair ko tujh se mohabbat  hee sahee

5.      apnee hastee hee se ho, jo kuchch ho !
        aagahee gar naheeN GHaflat hee sahee

        [ hastee = existence, aagahee = knowledge/information,
          GHaflat = negligence ]

6.      'umr harchand  ke  hai  barq-e-KHiraam
        dil ke KHooN karne ki fursat hee sahee

        [ barq = lightning, KHiraam = manner of walking ]

7.      ham  koee tarq-e-wafa  karte haiN
        na sahee ishq, museebat hee sahee

        [ tarq = relinquishment ]

8.      kuchch  to de  'ei falak-e-na_insaaf
        aah-o-fariyaad ki ruKHasat hee sahee

        [ falak = sky ]

9.      ham bhee tasleem kee KHoo Daalenge
        be_niyaazee teree `aadat hee sahee

        [ tasleem = greeting/saluting, KHoo = habit,
          be_niyaazee = independence ]

10.     yaar se  cheDa  chalee jaay, 'Asad'
        gar nahee wasl to hasrat hee sahee

        [ wasl = meeting, hasrat = desire ]

1.      muddat  huee hai yaar ko mehmaaN kiye hue
        josh-e-qadah se bazm chiraaGHaaN kiye hue

        [ qadah = goblet ]

2.      karta hooN jama'a fir jigar-e-laKHt-laKHt ko
        arsa  hua  hai  daawat-e-mizhgaaN  kiye  hue

        [ laKHt = piece, mizhgaaN = eyelid ]

3.      fir waz'a-e-'ehtiyaat  se rukane laga hai dam
        barsoN  hue  haiN  chaak  girebaaN  kiye  hue

        [ waz'a = conduct/behaviour, 'ehtiyaat = care, chaak = torn,
          girebaaN = collar ]

4.      fir garm_naala  haay sharar_baar  hai nafas
        muddat huee hai sair-e-chiraaGHaaN kiye hue

        [ sharar_baar = raining sparks of fire, nafas = breath ]

5.      fir pursish-e-jaraahat-e-dil ko chala hai ishq
        saamaan-e-sad_hazaar   namakdaaN    kiye   hue

        [ pursish = enquiry, jaraahat (or jiraahat) = surgery, sad = hundred,
          namakdaaN = container to keep salt ]

6.      fir bhar raha hai KHaama-e-mizhgaaN ba_KHoon-e-dil
        saaz-e-chaman_taraazee-e-daamaaN      kiye     hue

        [ KHaama = pen, mizhgaaN = eyelid, saaz = disposition,
          taraazee = consenting ]

7.      baa_ham_digar hue haiN dil-o-deeda fir raqeeb
        nazzaara-o-KHayaal   ka  saamaaN   kiye   hue

        [ ham_digar = mutual/in between, saamaaN = confront ]

8.      dil fir tawaaf-e-koo-e-malaamat ko jaai hai
        pindaar  ka  saman_kada  weeraaN  kiye  hue

        [ tawaaf = circuit, koo = lane/street, malaamat = rebuke/blame,
          pindaar = pride/arrogance, saman_kada = house of jasmine flowers,
          here it means temple ]

9.      fir shauq kar raha hai KHareedaar kee talab
        arz-e-mata'a-e-'aql-o-dil-o-jaaN  kiye  hue

        [ talab = search, mata'a = valuables ]

10.     dauDe hai fir harek gul-o-laala par KHayaal
        sad_gul_sitaaN nigaah  ka saamaaN  kiye hue

11.     fir chaahta hooN  naama-e-dildaar  kholna
        jaaN nazr-e-dil_farebee-e-unwaaN kiye hue

        [ naama-e-dildaar = love letter, unwaaN = title/preface ]

12.     maange hai fir kisee ko lab-e-baam par hawas
        zulf-e-siyaah  ruKH  pe pareshaaN  kiye  hue

        [ lab-e-baam = the corner of a terrace, siyaah = black/dark ]

13.     chaahe fir kisee ko muqaabil meiN aarzoo
        soorme se tez dashna-e-mizhgaaN kiye hue

        [ muqaabil = confronting, dashna = dagger, mizhgaaN = eyelids ]

14.     ik nau_bahaar-e-naaz ko taaqe hai fir nigaah
        chehra  furoGH-e-mai se  gulistaaN kiye  hue

        [ nau_bahaar-e-naaz = lover, furoGH = light/bright ]

15.     fir jee meiN hai ki dar pe kisee ke paDe rahaiN
        sar  zar-e-baar-e-minnat-e-darbaaN   kiye   hue

        [ zar = money/wealth, baar = burden/load, minnat = supplicate ]

16.     jee DhoonDta hai fir wohee fursat ke raat din
        baiTHe  rahaiN  tasavvur-e-jaanaaN  kiye  hue

        [ tasavvur = imagination ]

17.     'GHalib' hameiN na cheD ki fir josh-e-ashq se
        baiTHe haiN  ham  tahayya-e-toofaaN  kiay hue

        [ tahayya = determined ]

1.      kisee  ko  de ke dil  koee  nawaa_sanj-e-fuGHaaN   kyoN   ho ?
        na ho jab dil hee seene meiN to fir muNh meiN zubaaN kyoN ho ?

        [ nawaa_sanj = singer, fuGHaaN = clamour ]

2.      woh apnee KHoo na  choDenge, ham apnee waz'a  kyoN  badleiN ?
        subak_sar banke  kya  poocheiN ki ham se sar_giraaN kyoN ho ?

        [ KHoo = habit, waz'a = conduct/behaviour, subak_sar = light headed/
          unsteady, sar_giraaN = arrogant/proud ]

3.      kiya GHam_KHwaar ne ruswa,  lage aag is muhabbat ko
        na laaye taab jo GHam ki, woh mera raazdaaN kyoN ho ?

        [ GHam_Khawaar = comforter, taab = courage/patience,
          raazdaaN = friend ]

4.      wafa kaisee ? kahaaN ka ishq ? jab sar phoDna THehra
        to fir 'ei sang_dil tera hee sang-e-aastaaN kyoN  ho ?

        [ sang_dil = hard hearted/merciless, sang-e-aastaaN = threshold ]

5.      qafas meiN mujh se roodaad-e-chaman kehte na Dar hamdam
        giree hai jis pe kal bijlee woh mera  aashiyaaN kyoN ho ?

        [ qafas = cage/prison, roodaad = report/statement ]

6.      ye kah sakte ho "ham dil meiN naheeN haiN" par ye batlaao
        ki jab dil meiN tumhee-tum ho to aaNkho se nihaaN kyoN ho ?

        [ nihaaN = hidden ]

7.      GHalat hai jazba-e-dil ka shikwa,  dekho juRm kiska hai
        na khiNcho gar tum apne ko kashaakash darmiyaaN kyoN ho ?

        [ jazba = desire/feeling, shikwa = complaint,
          kashaakash = struggle/dilemma, darmiyaaN = betwwen ]

8.      ye fitna aadmee ki KHaana_weeraanee ko kya kam hai ?
        hue tum dost jiske, dushman uska  aasmaaN  kyoN ho ?

        [ fitna = quarrel, KHaanaa_weeraanee = ruinning of home ]

9.      yahee  hai aazmaana to sataana kis  ko kehte haiN ?
        `adoo ke ho liye jab tum to mera imtihaaN kyoN ho ?

        [ 'adoo = enemy, imtihaaN = examination ]

10.     kaha  tumne ki  "kyoN  ho GHair  ke  milne  meiN ruswaaee ?"
        baja kehte ho, sach kehte ho, fir kahiyo ki "haaN kyoN ho ?"

        [ ruswaaee = disgrace, baja = right/correct ]

11.     nikaala chaahata hai kaam kya taa'anoN se too 'GHalib'
        tere be_mehar kehne se wo tujh par meharabaaN kyoN ho ?

        [ taa'an = taunter, be_mehar = unkind/repulsive ]

1.      zulmat_kade meiN mere  shab-e-GHam ka josh hai
        ik shamma'a hai daleel-e-sahar, so KHamosh hai

        [ zulmat = darkness, daleele = proof, sahar = morning ]

2.      nai  muzda-e-wisaal  na  nazzaara-e-jamaal
        muddat huee ki aashtee-e-chashm-o-gosh hai

        [ muzda = good news, wisaal = meeting, nazzaara-e-jamaal = seeing
          a beautiful face, aashtee = harmony/friendship/peace, chashm = eye,
          gosh = ear ]

3.      mai ne kiya hai, husn-e-KHud_aara ko be_hijaab
        'ai shauq, yaaN  ijaazat-e-tasleem-e-hosh  hai

        [ mai = bar, KHud_aara = self adorer, hijaab = veil,
          tasleem = greeting ]

4.      gauhar ko ikd-e-gardan-e-KHubaaN meiN dekhna
        kya  auj   par  sitaara-e-gauhar_farosh  hai

        [ gauhar = pearl/gem, ikd-e-gardan = necklace, KHubaaN = a beautiful
          person/sweetheart, auj = highest point/summit, farosh = merchant ]

5.      deedaar, waada, hausla, saaqee, nigaah-e-mast
        bazm-e-KHayaal    maikada-e-be_KHarosh    hai

        [ deedaar = appearance, be_KHarosh = quite/dead ]

6.      'ei taaza  waaridan-e-bisaat-e-hawa-e-dil
        zinhaar gar tumhaiN hawas-e-na-o-nosh hai

        [ waaridan = arrivals, bisaat = chess, hawa = desire/greed,
          zinhaar = be warned !, hawas = lust/greed, na-o-nosh = feasting/
          drinking ]

7.      dekho  mujhe jo  deeda-e-ibrat_nigaah ho
        meree suno jo gosh-e-naseehat_niyosh hai

        [ deedaa= sight, ibrat = admonition, gosh = ear, naseehat = advice,
          niyosh = listener ]

8.      saaqee   ba_jalwa  dushman-e-imaan-o-aagahee
        mutrib ba_naGHma rahzan-e-tamkeen-o-hosh hai

        [ aagahee = wisdom, mutrib = singer, rahazan = robber,
          tamkeen = authority/power ]

9.      ya shab ko dekhte the; ki har gosha-e-bisaat
        daamaan-e-baaGHbaan-o-kaf-e-gul_farosh   hai

        [ gosha = corner, baaGHbaan = gradener, kaf = sleeve,
          gul_farosh = florist ]

10.     lutf-e-KHiraam-e-saaqee-o-zauq-e-sada-e-chang
        yeh  jannat-e-nigaah  woh firdaus-e-gosh  hai

        [ KHiraam = speed, zauq = taste, sada = sound, chang = lute,
          firdaus = paradise, gosh = ear ]

11.     ya subh  dam jo dekhiye aakar to bazm meiN
        nai woh suroor-o-soz na josh-o-KHarosh hai

        [ suroor = pleasure, soz = passion/heat ]

12.     daaGH-e-firaaq-e-sohabat-e-shab kee jalee hooee
        ik shamma`a reh gaee hai so wo bhee KHamosh hai

        [ firaaq = separation, sohabat = company ]

13.     aate haiN GHaib se ye mazaameeN KHayaal meiN
        'GHalib',  sareer-e-KHaama nawa-e-sarosh hai

        [ GHaib = hidden/mysterious, mazaameeN = topics, sareer = scratching
          sound made by a pen, KHaama = pen, nawa = sound, sarosh = angel ]

1.      jaur se  baaz aaye  par baaz  aayaiN  kya ?
        kehte haiN, ham tumko muNh dikhlayaiN kya ?

        [ jaur = opression/tyranny ]

2.      raat din  gardish  meiN haiN  saat aasmaaN
        ho rahega kuchch-na-kuchch ghabraayaiN kya ?

        [ gardish = misfortune/wandering about ]

3.      laag  ho  to   usko  ham   samjaiN   lagaav
        jab na ho kuchch bhee, to dhoka khayaiN kya ?

        [ laag = love/affection ]

4.      ho  liye   kyoN   naamaabar  ke  saath-saath ?
        yaarab ! apne KHat ko ham pahooNchaayaiN kya ?

        [ naamaabar = messanger ]

5.      mauj-e-KHooN sar se guzar hee kyoN na jaaye
        aastaan-e-yaar    se    uTh   jaayaiN   kya ?

        [ mauj = wave, mauj-e-KHooN = bloody waves, aastaan = abode ]

6.      umr  bhar dekha  kiye marne kee raah
        mar gaye par dekhiye dikhlaayaiN kya ?

7.      poochchte haiN woh ki 'GHalib' kaun hai ?
        koee  batlao   ki  ham  batlaayaiN  kya ?

1.      us bazm meiN mujhe naheeN bantee haya kiye
        baiThaa  raha  agarche  ishaare  huwa  kiye

2.      dil hee to hai, siyaasat-e-darbaaN se Dar gaya
        maiN,  aur jaaooN  dar se tere  bin sada  kiye ?

        [ siyaasat = politics, darbaaN = doorkeeper/sentry, dar = door,
          sada = sound, here it means conversation ]

3.      rakhta firooN hooN KHirqa-o-sajjaada rahn meiN
        muddat  huee   hai   daavat-e-aab-o-hawa  kiye

        [ KHirqa = a patched garment, sajjaada = a prayer carpet,
          rahn = mortgage, aab-o-hawa = climate ]

4.      be_sarfa hee guzartee hai, ho garche umr-e-KHijr
        hazarat  bhee  kal kahenge  ki ham kya kiya kiye ?

        [ be_sarfa = simple life, umr-e-KHijr = everlasting life ]

5.      maqdoor ho to KHaak se poochchooN, ke 'ei laeem
        toone  woh  ganj  haay  giraaN_maaya  kya  kiye ?

        [ maqdoor = capable, KHaak = dust/earth, laeem = miserly,
          ganj = treasure/wealth, giraaN_maaya = valuble/precious ]

6.      kis roz tohamataiN na taraasha kiye 'adoo
        kis din hamaare sar pe na aare chala kiye

        [ tohamataiN = accusitions, 'adoo = enemy ]

7.      sohbat meiN GHair kee na paDee ho kaheeN yeh KHoo
        dene  laga   hai   bose   baGHair   iltijaa  kiye

        [ sohbat = company, KHoo = habit, bose = kisses, iltijaa = request ]

8.      zid kee hai aur baat magar KHoo buree naheeN
        bhoole  se  usne   saikDoN  waade-wafa  kiye

        [ KHoo = habit ]

10.     'GHalib' tumheeN kaho ki milega jawaab kya ?
        maana ki tum kaha  kiye, aur woh suna kiye

1.      dekhna  qismat  ki aap  apne  pe  rashk  aajaaye hai
        maiN use; dekhooN, bhalaa kab mujhse dekha jaaye hai

        [ rashk = envy ]

2.      haath dho dil se yahee garmee gar andeshe meiN hai
        aabgeena  tundee-e-sahbaa   se  pighla  jaaye  hai

        [ andesha = suspicion, aabgeena = a crystal glass,
          tundee = heat, sahbaa = red wine ]

3.      GHair ko yaarab ! woh kyoNkar mana'a-e-gustaaKHee kare ?
        gar haya  bhee  usko  aatee  hai  to sharma  jaaye hai

4.      shauq ko ye lat ke hardam  naala KheeNche jaayiye
        dil ki woh haalat ki dam lene se ghabra jaaye hai

5.      door chashm-e-bad ! teree bazm-e-tarab se waah-waah
        naGHma ho  jaata hai waaN  gar naala mera jaaye hai

        [ bad = wicked, tarab = joy, naala = lamentation ]

6.      GHarche hai tarz-e-taGHaaful, pardaadaar-e-raaz-e-ishq
        par ham  'eise  khoye jaate  haiN ki woh paa jaaye hai

        [ taGHaaful = negligence, pardaadar = one who puts on a veil ]

7.      uskee bazm_aaraaiyaaN sunkar dil-e-raNjoor yaaN
        misl-e-naqsh-e-muddaa-e-GHair baiTHa jaaye  hai

        [ aaraaiyaaN = decorations, raNjoor = sad/distressed, misl = record,
          naqsh = copy/print ]

8.      hoke aashiq woh  paree_ruKH aur naazuk ban gaya
        rang khulta jaaye hai, jitna ki uData jaaye hai

        [ paree_ruKH = angel faced ]

9.      naqsh  ko uske  musawwir  par bhee  kya-kya  naaz hai
        kheeNchta hai jis qadar, utana hee khiNchta jaaye hai

        [ naqsh = copy/print, musawwir = painter ]

10.     saaya meraa mujhse  misl-e-dood bhaage hai 'Asad'
        paas mujh aatish_bazaaN ke kisse Thahra jaaye hai

        [ misl-e-dood = like smoke ]

1.      maze  jahaan  ke apnee  nazar meiN  KHaak naheeN
        siwaay KHoon-e-jigar, so jigar meiN KHaak naheeN

2.      magar  GHubaar  huve   par  hawa   uDaa  le  jaaye
        wagarna taab-o-tavaaN baal-o-par meiN KHaak naheeN

        [ GHubaar = clouds of dust, taab-o-tavaaN = courage/strength,
          bal-o-par = feathers & wings ]

3.      yeh kis  bahisht_shamaail  kee  aamad-aamad  hai ?
        ke GHair jalva-e-gul  rahguzar meiN KHaak naheeN

        [ bahisht = heaven, shamaail = habits, aamad = arrival,
          jalva-e-gul = display of flowers, rahguzar = path ]

4.      bhala use; na sahee, kuchch mujhee ko raham aataa
        asar  mere  nafas-e-be_asar  meiN   KHaak  naheeN

        [ nafas = breath ]

5.      KHayaal-e-jalva-e-gul  se KHaraab  hai maikash
        sharaabKHane ke deewar-o-dar meiN KHaak naheeN

6.      huwa hooN  ishq ki  GHaaratgaree  se sharminda
        siwaay hasrat-e-taameer ghar meiN KHaak naheeN

        [ GHaaratgree = destructiveness, taameer = construction ]

7.      hamaare  sher haiN ab sirf  dil_lagee ke 'Asad'
        khulaa ki faayda arz-e-hunar meiN KHaak naheeN

        [ arz-e-hunar = display of talents ]

1.      laazim tha ki dekho  mera rasta koee din aur
        tanha gaye kyoN ? ab raho tanha koee din aur

        [ laazim = necessary, tanha = alone ]

2.      mit jaayega sar, gar tera patthar na ghisega
        hooN dar pe tere naasiyaa_farsa koee din aur

        [ dar = door, naasiyaa = forehead, farsa = to kneel down and touch
          the forehead on the ground as in prostrate ]

3.      aaye  ho kal  aur aaj  hee kehte  ho ki jaaooN
        maana ki hamesha naheeN, achchaa, koee din aur

4.      jaate  huve  kahte  ho,  qayaamat  ko milenge
        kya khoob ! qayaamat ka hai goya koee din aur ?

5.      haaN 'ei falak-e-peer, javaaN tha abhee 'aarif'
        kya  tera  bigaData  jo na marta  koee din aur ?

        [ falak = sky/heaven, falak-e-peer = reffering to the sky ]

6.      tum maah-e-shab-e-char_dahum  the;  mere  ghar ke
        phir kyoN na raha ghar ka woh naqsha koee din aur ?

        [ maah-e-shab-e-char_dahum = moon of the fourteenth night ]

7.      tum kaun se 'eise the; khare daad-o-sitad ke ?
        karta  malak_ul_maut  taqaaza  koee  din aur ?

        [ daad = justice, sitad = to take (Note : the word 'sitad'
          is not used by itself, but is used along with 'daad' as
          in 'daad-o-sitad', meaning 'buyling and selling'/'settlement
          of accounts'. I have given separate meanings of the words
          for the benefit of the readers.), malak = an angel,
          malak_ul_maut = angel of death, taqaaza = demanding/pressing
          settlement of a claim ]

8.      mujhse  tumhaiN nafrat sahee, 'nayyar' se laDaayee
        bachhoN  ka bhee  dekha na  tamaasha koee  din aur ?

9.      guzree na baharhaal yah muddat KHushee-naaKHush
        karna tha,  javaaN_marg !  guzaara koee din aur

        [ baharhaal = in any case, javaaN_marg = one who dies young ]

10.     naadaaN ho jo kehte ho ki kyoN jeete ho 'GHalib'
        qismat  meiN hai marne ki tamanna  koee din aur ?

1.      jis bazm meiN too naaz se guftaar meiN aave
        jaaN  kaalbud-e-soorat-e-deewaar  meiN aave

        [ naaz = blandishment/pride/grace, guftaar = speech/discourse,
          kaalbud = the body/form/model ]

2.      saaye kee tarah saath firaiN,  sarv-o-sanobar
        too iss qad-e-dilkash se jo gulzaar meiN aave

        [ sarv-o-sanobar = pine & cypress, qad = stature/size/figure,
          gulzaar = bed of roses/garden ]

3.      tay   naaz-e-giraaN_maaygi-e-ashq   baja  hai
        jab laKHt-e-jigar deeda-e-KHooNbaar meiN aave

        [ tay = decided/ended, giraaN = precious, giraaN_maaya = of great
          value, ashq = tears, baja = right/correct, laKHt = piece/fragment,
          deeda = sight, KHooNbaar = shedding blood ]

4.      de mujhko  shikaayat kee ijaazat  ki sitamgar
        kuchch tujhko maza bhee mere aazaar meiN aave

        [ sitamgar = oppressor, aazaar = illness/harm ]

5.      uss chashm-e-fusooN_gar ka agar paaye ishaara
        tootee  kee tarah  aaeena  guftaar meiN  aave

        [ chashm = eye, fusooN_gar = magician, tootee = bird (could be
          a parrot), guftaar = speech ]

6.      kaatoN kee zabaaN sookh gayee pyaas se, yaarab !
        ik  aablaa_paa  waadee-e-pur_KHaar  meiN  aave

        [ aablaa = blister, aablaa_paa = having blisters on the feet,
          waadee = valley, pur_KHaar = full of thorns (KHaar = thorn) ]

7.      mar jaaooN na kyoN rashk se jab woh tan-e-naazuk
        aaGHosh-e-KHaam-e-halqa-e-zunnaar    meiN   aave

        [ rashk = jeaously, tan-e-naazuk = having delicate body,
          aaGHosh = embrace/bosom, KHaam = raw/unripe/crude, halqa = circle,
          zunnaar = the sacred thread worn by hindus ]

8.      GHaarat_gar-e-naamoos  na ho gar  hawas-e-zar
        kyoN shaahid-e-gul baaGH se baazaar meiN aave

        [ GHaarat = plunder/ravage, naamoos = reputation/honour,
          zar = money/wealth, shaahid = sweetheart ]

9.      tab chaak-e-girebaaN ka maza hai, dil-e-naadaaN
        jab ik  nafas  uljha  huaa  har taar  meiN aave

        [ chaak = torn, girebaaN = collar, nafas = breath ]

10.     aatish_kada hai seena mera raaz-e-nihaaN se
        de waaye ! agar maa'ariz-e-izhaar meiN aave

        [ raaz-e-nihaan = hidden secrets, maa'ariz = boundary ]

11.     gaNjeena-e-maa'anee ka talism usko samajhiye
        jo  lafz  ki 'GHalib' mere ash'aar meiN aave

        [ gaNjeena = treasure, maa'anee = meaning, talism = magic,
          ash'aar = couplets ]

1. Taskin ko ham na roen jo zauq-e-nazr mile,
Huraan-e-khuld mein teri surat magar mile.

2. Apni gali mein mujhko na kar dafan baad-e-qatal,
Mere pate se khalaq ko kyon tera ghar mile?

3. Saqi gari ki sharm karo aaj warna ham,
Har shab piya hi karte hain, mai jis qadar mile.

4. Tujh se to kuchh kalaam nahin lekin ai nadim!
Mera salaam kaheyo agar naama bar mile.

5. Tum ko bhi ham dikhaenge Majnun ne kya kiya,
Fursat kashaakash-e-gham-e-pinhaan se gar mile.

6. Laazim nahin ke khizar ki ham pairwi karen,
Maana ke ek bazurg hamen ham safar mile.

7. Ai saaknaan-e-kucha-e-dildaar dekhna,
Tum ko kahin jo Ghalib-e-aashufta sar mile.


1.      zikr us pareewash kaa, aur phir bayaaN apnaa
ban gayaa raqeeb aaKHir thaa jo raazdaaN apnaa

[pareewash=angel/beauty/fairy, raqeeb=enemy, raazdaaN=friend]

2. Main wo kyoN bahut peete bazm-e-ghair meN yarab
Aaj hi hua manzoor un ko imtihaaN apna

3. manzar ik bulandee par aur ham banaa sakte
'arsh se idhar hotaa kaash ke makaaN apnaa

['arsh=heaven]

4. De woh jis qadar zillat hum haNsee meN taleNge
Baarey Aashna nikla unka paasbaN apna


5. dard-e-dil likhooN kab tak?  jaaooN unko dikhlaa dooN --
uNgliyaaN figaar apni KHaamaa_KHooN chakaaN apnaa

[ figaar=wounded/sore, KHaam=inexpert/green/raw/immature,
  KHaama_KHooN=young blood, chakaaN=dripping]

6. ghiste ghiste mit jaata aap ne ????? badla
naNg-e-sajdaH se mere sang-e-aastaN apna

7. ta kare na ghammazee, kar liya hai dushman ko
dost kee shikayat meN hum ne hum-zabaaN apna

8. ham kahaaN ke daanaa the?  kis hunar meiN yaktaa the?
be_sabab huaa 'GHalib' dushman aasmaaN apnaa

[daanaa=wise/learned, yaktaa=unique]



Here are some comedy shayaries for to, just to make your day; Please read
each and every Shayari. I repeat read each and every Shayari, without
missing even one. Coz all are very interesting, and I bet that you will
laugh on each of it.

Sher-o-Shayari

VOH SADAK KE IS PAAR THI
HUM SADAK KE US PAR THE
KUCH HUM AAGE BADHE, KUCH VOH AAGE BADHI
HUM KUCH AUR AAGE BADHE, VOH BHI KUCH AUR AAGE BADHI
HUM KUCH AUR AAGE BADHE, VOH BHI KUCH AUR AAGE BADHI
AB HUM SADAK KE US PAR THE, AUR VOH SADAK KE IS PAR THI.

Gum woh cheez hai ...
-- Wah ! Kya dard hai ! --
Gum woh cheez hai ...
jisse paper chipkaya jaata hai

Ye teri aankhen hain ya gehari jheel
Ye teri aankhen hain ya gehari jheel
Big Deal ! Big deal !

Aapne mere man se khela
aapne mere tan se khela
aapne mere dhan se khela
aapne mere tan, man, dhan se khela ...
well played! w! ell played! well played!!

Door se dekha to Baarish ho rahi thi
Door se dekha... to Baarish ho rahi thi
Paas ja kar dekha to Bheeg gaya

Door se dekha to Patthhar dikhta tha......
Door se dekha.. to Patthharr dikhtaa thaa.......
Paas jake dekha to... suchmuch Patthhar hi thaa......

Jab tak tu apne dil ki baat mujhe samjhayegi
meri shaadi kahin aur ho jayegi

Kyon apni kabra khod raha hai galib
La, phawda mujhe de..

Tum aa gaye ho ; Noor aa gaya hai
Chalo teeno picture chalen.....

Mein tere pyar mein paagal hua chha! liye
Mein tere pyar mein paagal hua chhaliye,
iodex maliye kaam pe chaliye

Tum har raat mere khwabon mein aao,
Tum har raat mujhe yuunhi satao,
Melody khao khud jaan jao........

Door se dekha to kuchh dikha nahi......
Dooor se dekhaaa.. to kuchh dikha nahi....
Paas jake dekhaa to kuchh tha hi nahi

Dharti so rahi hai, Aasman so raha hai
Dharti so rahi hai,Aasman so raha hai
Nonsense! yeh sab kya ho raha hai?

Main hu yahan, tu hai wahan
Main hu yahan, tu hai wahan
Lifebouy hai jahan, tandurusti hai wahan

before marrige
--------------
takdir hai magar kismat nahi khulti
tajmahal banana chahata hoon
lekin mumtaz nahi milti

after marriage
--------------
takdir hai magar kismat nahi khulti
tajmahal banana chahata hoon
lekin mumtaz nahi marti

Aaj ! aasmaan mein taare aise chamak rahe hain
Aaj aasmaan mein taare aise chamak rahe hain....
JAISE KAL CHAMAK RAHE THE !!!

Maine tumse pyar kiya, tere baap ne muzhe pita
Maine tumse pyar kiya, tere baap ne muzhe pita
Tan ki shakti, manki shakti, Bournvita

Khud ko kar buland itnaa
Ke' Himaalay ki choti pe jaa pahunche
aur khuda tumse puche
'Abe sale gadhe. ab utrega kaise

LAL DIWAR PAR CHUNE SE LIKHA THA GHALIB NE
LAL DIWAR PAR CHUNE SE LIKHA THA GHALIB NE
YAHAN LIKHANA MANA HAI.

Maine tujhe dekha
Dekhta raha, Dekhta hi gaya
Phir mujhe chashma lag gaya

Yusuf ka husn, Zulekha ka ghumaar dekha hai
Kuch is tarah se Haseenon ka pyaar dekha hai
Unhe khilane pilaane main hui hai yeh haalat
Kasm khuda ki..Cinema bhi udhaar dekha hai...

Woh jab chalti hai to raahon main 100-100 ke note bichata hoon
Woh chaali jati hai tab uthaa leta hoon...

kabootar ke do par
    (wah wah)
kabootar ke do par....
ek idhar ek udhar

ja raha tha jindagi ki raah me galib ki mod aaya
    (bahut  khoob)
to     ja raha tha jindagi ki raah me galib ki mod aaya

aur mein mud gaya.

aasman mein char tare
aasman mein char tare
do tumhare do hamare


  Aur bhi cheezain bohat si lutt chukin hain dil kei saath.
  Yeh batayaa doston nei ishq furmanei kei baad.
  Ab kamray ki ek ek cheez check karta hoon mein.
  Ek tere aane se pehley ek tere jaane kei baad.


  Kon rakh ta hai yaad naamo ko,
  logh chaharo ko bhool jatey hai,
  tum samader kee baat karti ho,
  logh ankho mein doob jatey hai,
  Mohabat jisney ker ni ho.
  wo mohabat kya janey,
  Mera dil tumhi ab bhi chahata hai...
  teray dil ko khuda jaanay!!


  Shareefo mein koyi chor nahi hotha
  Kavvo mein koyi mor nahi hotha
  Naya patang ko koyi dor nahi hotha
  Naya patang ko koyi dor nahi hotha
  Arre yaaro... ishq par koyi zor nahi hotha" !


  Eed ke din aap khadi na hone chhat par
  Eed ke din aap khadi na hona chhat par
  kahi log roza na chod de aapku chand samaj kar


  Wo gulab hi kya hai jisme laali naho
  Wo gulshan hi kya hai jisme maali naho
  Wo gulab hi kya hai jisme laali naho
  Wo gulshan hi kya hai jisme maali naho
  Wo SASURAL  hi kya kai jisme SAALI naho
  Arre yaaro wo program hi kya hai jisme Taali naho


  Banane mein mazaa hai wo karkhaane jaanthe hai
  Pilane mein jo mazaa hai wo meh khaane jaanthe hai
  Jalne mein jo mazaa hai wo  parwaane jaanthe hai
  Arre yaaro pyar mein jo mazaa hai wo deewaane jaanthe hai


  Math pee  ghalib sharab masjid mein baith kar
  Math pee ghalib sharab masjid mein baith kar
  Ek hi bothal hai kahi khuda na maang le


  Hamhe to apnon ne mara
  Gairon main kahan dham ta
  Meri kashti doobi wahan
  Jahan paaani kam tha




  Us falak ke teer ka kya nishana tha
  Jahan thee meri manzil wahin mera aashiyana tha
  Bas pahunch hi rahi thi Kashti saahil pe
  Is toofan ko bhi abhi hi aana tha


  Bewafa sanam se to cigarette achi hai,
  Bewafa sanam se to cigarette achi hai,
  Dil jalati hai, par hoto se to lagti hai
  Wah....Wah...................
 


Zindagi ek phool hai aur mohabbat us ka shehed
Pyar Ek Dariya Hai, Aur Mehboob uski sarhad

Raste Main Gire Hain Phool, Uthata Hai Koi Koi
Muhabbat Karte Hain Sabhi, Nibhata Hai Koi Koi

Dhoondhta Phirta Hoon Main Logon Main Shabahat Uski
Ke Woh Khwabon Main Bhi Lagti Hai Khyalon Jaisi

Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par
Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi

Pyar main jadoo bhi kya maza hai
Lagta hai ke ek khubsurat saza hai

Tapish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko Parta Hai
Qusur Aankhon Ka Hota Hai, Tarapna Dil Ko Parta Hai

Toot Jaate Hain Sabhi Rishte Magar
Dil Se Dil Ka Raabta Apni Jagah
Dil Ko Hai Tujh Se Na Milne Ka Yaqeen
Tujh Se Milne Ki Dua Apni Jagah
Mast Nazron se dekh lenaa tha
Agar tamanna thi aazmane ki
Hum to behust youn hi ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki

Chehrey Per Banawat Ka Gussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai

Kal Mila Waqt To Zufain Teri Suljha Doonga
Aaaj Uljha Hoon Zara Waqt Ke Sulajhne Main
Yoon To Sulajh Jatee hain Uljhee Zulfain
Umar Kat Jati Hai Waqt Ke Sulajhne Main

Dil Ko Manana Gar Hota Aaasaaan
Na Karta Kisi Ko Yoon Ye Pareshaan
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Main
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Bayaan

Khudaa jab husn deta hai
nazaakat aaa hi jati hai
Kadam chun chun kar rakhti ho
kamar balkha hi jaati hai


  vo dil hii kyaa tere milane kii jo duaa na kare
mai.n tujh ko bhuul ke zi.ndaa rahuu.N Khudaa na kare

rahegaa saath teraa pyaar zi.ndagii ban kar
ye aur baat merii zi.ndagii vafaa na kare

ye Thiik hai nahii.n marataa ko_ii judaa_ii me.n
Khudaa kisii se kisii ko judaa na kare

sunaa hai us ko mohabbat duaae_N detii hai
jo dil pe choT to khaaye magar gilaa na kare

zamaanaa dekh chukaa hai parakh chukaa hai use
"Qateel" jaan se jaaye par iltijaa na kare
jab bahar aae too sehra ke taraf chal nikla....
sehn-e-gul choor gaya...dil mera pagal nikla...
jab bahar aae too sehra ke taraf chal nikla....
jab bahar aae too....

jab ussay dhoondne niklaay too nishaan tak na milaa....
dil mae mojood raha...aankh se oojhaal nikla...
jab bahar aae too sehra ke taraf chal nikla....
sehn-e-gul choor gaya...dil mera pagal nikla...
jab bahar aae too sehra ke taraf chal nikla....
jab bahar aae too....

ek mulakaat thee jo dil ko sadaa yaad rahee....
hum jisse umrr samajhtaay thaay wo ek pal nikla...
jab bahar aae too sehra ke taraf chal nikla....
sehn-e-gul choor gaya...dil mera pagal nikla...
jab bahar aae too sehra ke taraf chal nikla....
jab bahar aae too....

wo jo afsana-e-gham sunn ke hansa kertaay thaay...
itna rooae hain k sab aankh ka kajal niklaa...
jab bahar aae too sehra ke taraf chal nikla....
sehn-e-gul choor gaya...dil mera pagal nikla...
jab bahar aae too sehra ke taraf chal nikla....
jab bahar aae too....

hum sakoon dhoondnaay niklaay thaay preshaan rahaay...
shehar too shehar hae jangal bhi na jangal nikla...
jab bahar aae too sehra ke taraf chal nikla....
sehn-e-gul choor gaya...dil mera pagal nikla...
jab bahar aae too sehra ke taraf chal nikla....
jab bahar aae too...
MAIN SHAYAR BADNAAM
My Favorite Links:
Yahoo!
Yahoo! Games
Yahoo! Photos
Yahoo! Greetings
My Info:
Name: manoj kumar varma
Email: manojvarma@rediffmail.com
Google