malik-ul-mulk la shareeq-allah hoo
wahadahu la ilaha illaahu
shams-tabrez 'gar Khuda talabee khushbu kaa(?) lailaaha illahu

konain ka, masjood hai, ma'bood hai tu
har sha'e teri shaahid hai, ki mashhood hai tu
har ek ke lab par hai teri humd-o-sanaa
har soz me.n, har saaz me.n maujood hai tu

tu agar chaahe to qatre ko samundar karde
chashma-e-chashm ke har ashq ko gauhar karde
tu gadaa ko jo nawaaze.n to shah-en-shaah bane
aur jo chaahe to yateemo.n ko payambar karde
tere hee naam se har ibtidaa' hai
tere hee naam tak har intehaan hai
teri humd-o-sana alhamdolillah ki tu mere mohammed ka Khuda hai

allah hoo allah hoo allah hoo

ye zameen jab na thee, ye jahaa.n jab na tha
chaand suraj na the, asmaa.n jab na tha
raaz-e-haq bhi kisee par ayyaa.n jab na tha
tab na thaa kuch yahaa.n thaa magar tu hi tu

allah hoo allah hoo allah hoo

pahunche me'raj me.n arsh tak mustafa
jab na ma'bood-o-bande me.n parda raha
tab malaa'ik ne hazrat se jhuk kar kaha
"saari maKhlooq me.n haqq-numa tu hi tu"

teri raboobiyat ki adaa ka kamaal hai
<fix me>

har sha'e teri jamaal ki aainadaar hai
har sha'e pukaarti hai  tu parvar-digaar hai
teri raboobiyat ki ada ka kamaal hai <fix me>

allah hoo allah hoo allah hoo

tu jo har aan nayi shaan dikha deta hai
deedah-e-shauq ko hairaan banaa deta hai
Daali Daali teri takhleeq ke gun gaata hai
patta patta teri kudrat ka pataa deta hai

la-ilaaha teri shaan ilaa wahadahu
tu khayaal-o-tajassus, tu hi arzoo
aa.nkh ki roshni, dil ki awaaz tu
tha bhi tu, hai bhi tu, hoga bhi tu hi tu

kyo.n piyaa ibn-e-haider ne jaam-e-fanaa
khaal khi.nchwaayi tabrez ne kyo.n bhala
daar par chaD ke mansoor ne kya kaha
sab banate khilone, le raha tu hi tu