fasle gul hai, sharaab peelijiye
zid na keejiye janaab peelijiye

shaikhji thodi see peelo aaj to
kaun dekhega andheri raat hai
musquraa'o bahaar ke din hai
gul khilaa'o bahaar ke din hai
mai nahin hai to ashq-e-Gum hi sahi
pee bhi jaa'o bahaar ke din hai

kuch der to bekhudi mein jeelo jeelo
maikhaane ki Khairaat hai peelo peelo

aage chalkar hisaab hona hai
isliye be-hisaab peelijiye

do to qatre hai.n jaam ke andar
karke zere(?) naqaab peelijiye

jo peeye chupke wo munafiq hai
be-takalluf sharaab peelijiye

dil ka sheesha hai aur <fixme> ki mai
ab to 'aali-janaab peelijiye

jaa.nvidaanee suroor aayega
aasmanee gulab peelijiye

aap aur itni zid adam-sahib
harz kya hai sharaab peelijiye