unki mahfil me.n jab koi jaaye
pahle nazare.n wo apni jhukaaye
wo sanam jo Khuda ban gaye hai
unka deedaar
karna manaa hai
jaag uThenge to aahe.n bharenge
husn-waalo.n ko ruswaa
karenge
so gaye.n hai.n jo furqat
ke maare
unko be-daar
karna manaa hai
hum ne kee arz, "E banda-parwar
kyo.n sitam Dhaa rahe ho ye hum par"
baat sun kar hamaari wo bole
"hum se taqraar karna manaa hai"
saamne jo khula hai jharokaa
khaana jaana kahi.n unka dhoka
abhi apne liye us galee me.n
shaukh-e-deedaar karna manaa hai