barq si girgayi, kaam hee kargayi
aag aisee lagaayi mazaa aagaya
jaam me.n ghol kar husn kee mastiyaa.n
chaandni musquraayi mazaa aagaya
chaand ke saye me.n, aiy mere saaqiya,
tu ne aisee pilayi mazaa aagaya
nasha sheeshe me.n ang'daayi lene laga
bazm-e-rinda me.n saaghar khanak ne laga
maikade pe barasne lagi mastiyaa.n
jab ghaTa gir ke chaayi mazaa aagaya
behijaabaana (?) wo saamne aagaye
aur jawaani jawaani se taqraagayi
aa.nkh unki laDee yoo.n meri aa.nkh se
dekh kar ye laDaa'i mazaa aagaya
aankh me thee hayaa har mulaaqaat par
surKh aariz
hu'e vasl kee baat par
usne sharmaake mere sawaalat pe
aise gardan jhukaayi mazaa aagaya
sheikh sahib ka imaan bik'hee gaya
dekhkar husn-e-saaqi bigal hee gaya
aaj se pehle ye kitne maghroor the
lutgayi (?????) mazaa aagaya
Aiy fana shukr hai aaj paad-e-fana(?)
usne rakhlee mere pyaar kee aabroo
apne haatho.n se usne mere qabr par
chaadar-e-gul chaRhaayi mazaa aagaya